qadir-nama-e-ghaalib

qadir aur allah aur yazdan khuda
hai nabi mursal payambar rahnuma

peshwa-e-din ko kahte hain imam
wo rasulullah ka qaem-maqam

hai sahabi dost khalis nab hai
jama us ki yaad rakh ashab hai

bandagi ka han ibaadat nam hai
nek-bakhti ka saadat nam hai

kholna iftar hai aur roza saum
lail yani raat din aur roz yaum

hai salat ai mehrban ism-e-namaz
jis ke padhne se ho raazi be-niyaz

ja-namaz aur phir musalla hai wahi
aur sajjada bhi goya hai wahi

ism wo hai jis ko tum kahte ho nam
kaba makka wo jo hai bait-ul-haram

gird phirne ko kahenge hum tawaf
baith rahna goshe mein hai etakaf

phir falak charkh aur gardun aur siphar
aasman ke nam hain ai rashk-e-mehr

mahr suraj chand ko kahte hain mah
hai mohabbat mehr lazim hai nibah

gharb pachchhim aur purab sharq hai
abr badli aur bijli barq hai

aag ka aatish aur aazar nam hai
aur angare ka akhgar nam hai

tegh ki hindi agar talwar hai
farsi pagdi ki bhi dastar hai

newla rasu hai aur taus mor
kabk ko hindi mein kahte hain chakor

khum hai matka aur thiliya hai subu
aab pani bahr dariya nahar ju

chah ko kahte hain hindi mein kuan
dud ko hindi mein kahte hain dhuan

dudh jo pine ka hai wo shir hai
tifl ladka aur budha pir hai

sina chhati dast hath aur pa panw
shakh tahni barg patta saya chhanw

mah chand akhtar hain tare raat shab
dant dandan hont ko kahte hain lab

ustukhwan haddi hai aur hai post khaal
sag hai kutta aur gidad hai shaghaal

til ko kunjad aur rukh ka gal kah
gal par jo til ho us ko khal kah

kekda sartan hai kachhwa sang-pusht
saq pindli farsi mutthi ki musht

hai shikam pet aur baghal aaghosh hai
kahni aarnej aur kandha dosh hai

hindi mein aqrab ka bichchhu nam hai
farsi mein bhaun ka abru nam hai

hai wahi kazdam jise aqrab kahen
nish hai wo dank jis ko sab kahen

hai ladai harb aur jang ek chiz
kab takhna aur shatalang ek chiz

nak bini parra nathuna gosh kan
kan ki lau narma hai ai mehrban

chashm hai aankh aur mizhgan hai palak
aankh ki putli ko kahiye mardumak

munh pe gar jhurri pade aazang jaan
farsi chhinke ki to aawang jaan

massa aazakh aur chhaala aabla
aur hai dai janai qabla

unt ushtur aur ashghar siyah hai
gosht hai lahm aur charbi piya hai

hai zanakh thodi zaqan bhi hai wahi
khad hai chil aur zaghan bhi hai wahi

phir ghaliwaz us ko kahiye jo hai chil
chyunti hai mor aur hathi hai fil

lomdi rubah aur aahu hiran
shams suraj aur shua us ki kiran

asp jab hindi mein ghoda nam pae
taziyana kyon na kuda nam pae

gurba billi mush chuha dam jal
rishta taga jama kapda qaht kal

khar gadha aur is ko kahte hain ulagh
degdan chulha jise kahiye ujagh

hindi chidiya farsi gunjishk hai
meingni jis ko kahen wo pishk hai

taba hai bhai tawe ki farsi
aur tihu hai loi ki farsi

nam makdi ka qallash aur ankabut
kahte hain machhli ko mahi aur hut

pishsha machchhar aur makkhi hai magas
aashiyana ghonsla pinjra qafas

bhediya gurg aur bakri gospand
mesh ka hai nam bhed ai khud-pasand

nam gul ka phul shabnam os hai
jis ko naqqara kahen wo kus hai

saqf chhat hai sang patthar int khisht
jo bura hai us ko hum kahte hain zisht

khar kanta dagh dhabba naghma rag
sim chandi mas hai tanba bakht bhag

zar hai sona aur zar-gar hai sunar
mauz kela aur kakdi hai khayar

rish dadhi much sablat aur burut
ahmaq aur nadan ko kahte hain ut

zindagani hai hayat aur marg maut
shawe khawind aur hai anbagh saut

jumla sab aur nisf aadha ruba pao
sarsar aandhi cell nala baad baw

hai jarahat aur zakhm aur ghaw rish
bhains ko kahte hain bhai gaw mesh

haft sat aur hasht aath aur bast bis
si agar kahiye to hindi us ki tis

hai chahal chaalis aur panjah pachas
na-umidi yas aur ummid aas

dosh kal ki raat aur imroz aaj
ird aata aur ghalla hai anaj

chahiye hai man ko madar jaanna
aur bhai ko baradar jaanna

phaoda bail aur daranti was hai
farsi kah aur hindi ghas hai

sabz ho jab tak use kahiye gayah
khushk ho jati hai tab kahte hain kah

chaksa pudiya kise ka thaili hai nam
farsi mein dhappe ka saili hai nam

akhalkandu jhunjuna nero hai zor
baadfar phirki hai aur hai duzd chor

angbin shahd aur asal ye ai aziz
nam ko hain tin par hai ek chiz

aajil aur aarogh ki hindi dakar
mai sharab aur pine wala mai-gusar

rui ko kahte hain pamba sun rakho
aam ko kahte hain anba sun rakho

khana ghar hai aur kotha baam hai
qila dazh khai ka khandaq nam hai

hai binaula punba-dana la-kalam
aur tarbuz-e-hind dana la-kalam

gar daricha farsi khidki ki hai
sarzanish bhi farsi jhidki ki hai

hai kahani ki fasana farsi
aur shoale ki zabana farsi

nal dar aatish usi ka nam hai
jo ki bechain aur be-aram hai

past aur sattu ko kahte hain sawiq
zharf aur gahre ko kahte hain amiq

tar tana paud bana yaad rakh
aazmudan aazmana yaad rakh

yusa machchhi chahna hai khwastan
kam hai andak aur ghatana kastan

khush raho hansne ko khandidan kaho
gar daro darne ko tarsidan kaho

hai harasidan bhi darna kyon daro
aur jangidan hai ladna kyon lado

hai guzarne ki guzashtan farsi
aur phirne ki hai gashtan farsi

wo sarodan hai jise gana kahen
hai wo aawurdan jise lana kahen

zistan ko jaan-e-man jina kaho
aur noshidan ko tum pina kaho

daudne ki farsi hai takhtan
khelne ki farsi hai bakhtan

dukhtan sina daridan phadna
kashtan bona hai raftan jhadna

kashtan bona hai aur kashtan bhi hai
katne ki farsi rashtan bhi hai

hai tapakne ki chakidan farsi
aur sunne ki shunidan farsi

kudna jastan buridan katna
aur yasidan ki hindi chatna

dekhna didan ramidan bhagna
jaan lo bedar budan jagna

aamdan aana banana sakhtan
dalne ki farsi andakhtan

sokhtan jalna chamakna taftan
dhundhna justan hai pana yaftan

bandhna bastan kushadan kholna
dashtan rakhna hai sakhtan tolna

tolne ko aur sanjidan kaho
phir khafa hone ko ranjidan kaho

farsi sone ko khuftan jaaniye
munh se kuchh kahne ko guftan jaaniye

khinchne ki hai kashidan farsi
aur ugne ki damidan farsi

unghna puchho ghunudan jaan lo
manjhna chaho zadudan jaan lo

hai qalam ka farsi mein khama nam
hai ghazal ka farsi mein chama nam

kis ko kahte hain ghazal irshad ho
han ghazal padhiye sabaq gar yaad ho

subh se dekhenge rasta yar ka
jum'e ke din wada hai didar ka

wo churawe bagh mein mewa jise
phand jaana yaad ho diwar ka

pul hi par se pher lae hum ko log
warna tha apna irada par ka

shahar mein chhadiyon ke maile ki hai bhid
aaj aalam aur hai bazar ka

lal diggi par karega ja ke kya
pul pe chal hai aaj din itwar ka

gar na dar jao to dikhlaun tumhein
kat apni kath ki talwar ka

wah be ladke padhi achchhi ghazal
shauq abhi se hai tujhe ashaar ka

to suno kal ka sabaq aa jao tum
pozi afsar aur dumchi pardum

chhalni ko ghirbaal parwizan kaho
chhed ko tum rakhna aur rauzan kaho

che ke mani kya chagoyam kya kahun
man shum khamosh main chup ho rahun

baz khwahm raft main phir jaunga
nan khwaham khurd roti khaunga

farsi kyon ki chira hai yaad rakh
aur ghantala dara hai yaad rakh

dasht sahra aur jangal ek hai
phir sah-shamba aur mangal ek hai

jis ko nadan kahiye wo anjaan hai
farsi bengan ki bazinjaan hai

jis ko kahte hain jamai faza hai
jo hai angdai wahi khamyaza hai

yarah kahte hain kade ko hum se puchh
pad hai talar ek aalam se puchh

jis tarah gahne ki zewar farsi
us tarah hansuli ki pargar farsi

bhid ki bhai farsi zambur hai
dispana unbar hai aur anbur hai

farsi aaina hindi aarsi
aur hai kanghe ki shana farsi

hing anguza hai aur arzir rang
saz baja aur hai aawaz bang

zauja joru yazna bahnoi ko jaan
khashm ghusse aur bad-khui ko jaan

lohe ko kahte hain aahan aur hadid
jo nai ho chiz use kahiye jadid

hai nawa aawaz saman aur ol
narkh qimat aur baha ye sab hain mol

sir lahsan torob muli turah sag
kha bakhur barkhez uth ba-gurez bhag

rui ki puni ka hai paghunad nam
dok takle ko kahenge la-kalam

geti aur gihan hai duniya yaad rakh
aur hai naddaf dhuniya yaad rakh

koh ko hindi mein kahte hain pahad
farsi gulkhan hai aur hindi hai bhad

takiya baalish aur bichhauna bistara
asl bistar hai samajh lo tum zara

bistara bolen sipahi aur faqir
warna bistar kahte hain barna-o-pir

pir budha aur barna hai jawan
jaan ko albatta kahte hain ruwan

int ke gare ka nam aazand hai
hai nasihat bhi wahi jo pand hai

pand ko andarz bhi kahte hain han
arz hai par marz bhi kahte hain han

kya hai arz aur marz tum samjhe zamin
unuq gardan aur peshani jabin

aas chuki aasiya mashhur hai
aur faufal chhaaliya mashhur hai

bansuli nai aur jalajil jhanjh hai
phir satarwan aur 'aqima banjh hai

kuhl surma aur salai mil hai
jis ko jholi kahiye wo zambil hai

paya qadir name ne aaj ikhtitam
ek ghazal tum aur padh lo wassalam

sher ke padhne mein kuchh hasil nahin
manta lekin hamara dil nahin

ilm se hi qadar hai insan ki
hai wahi insan jo jahil nahin

kya kahen khai hai hafiz ji ki mar
aaj hanste aap jo khil-khil nahin

kis tarah padhte ho ruk ruk kar sabaq
aise padhne ka to main qail nahin

jis ne qadir nama sara padh liya
us ko aamad nama kuchh mushkil nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close