dastan ahl-e-mohabbat ki hai har shaKHs ko yaad

By akhtar-bastaviApril 22, 2023
dastan ahl-e-mohabbat ki hai har shakhs ko yaad
ilm mahbus hai tarikh ke aiwanon mein
ishq walon ke sahife na hue bosida
gard jamti rahi duniya ke kutub-khanon mein


81524 viewsqitaEnglish