manzur hai guzarish-e-ahwal-e-waqai apna bayan husn-e-tabiat nahin mujhe sau pusht se hai pesha-e-aba sipah-gari kuchh sha'iri zariya-e-'izzat nahin mujhe aazada-rau hun aur mera maslak hai sulh-e-kul hargiz kabhi kisi se adawat nahin mujhe kya kam hai ye sharaf ki 'zafar' ka ghulam hun mana ki jah-o-mansab-o-sarwat nahin mujhe ustad-e-shah se ho mujhe parkhash ka khayal ye tab ye majal ye taqat nahin mujhe jam-e-jahan-numa hai shahanshah ka zamir saugand aur gawah ki hajat nahin mujhe main kaun aur rekhta han is se muddaa juz imbisat-e-khatir-e-hazrat nahin mujhe sahra likha gaya zara imtisal-e-amr dekha ki chaara ghair-e-itaat nahin mujhe maqta' mein aa padi hai sukhan-gustarana baat maqsud is se qat'-e-mohabbat nahin mujhe ru-e-sukhan kisi ki taraf ho to ru-siyah sauda nahin junun nahin wahshat nahin mujhe qismat buri sahi pe tabi'at buri nahin hai shukr ki jagah ki shikayat nahin mujhe sadiq hun apne qaul mein 'ghaalib' khuda gawah kahta hun sach ki jhut ki 'adat nahin mujhe