bas dekha aur phir bhul gae jab husn nigahon mein aaya man-sagar mein tufan utha tufan ko chanchal dekh dari aakash ki ganga dudh-bhari aur chand chhupa tare soe tufan mita har baat gai dil bhul gaya pahli puja man mandir ki murat tuti din laya baaten anjaani phir din bhi naya aur raat nai pitam bhi nai paremi bhi naya sukh sej nai har baat nai ek pal ko aai nigahon mein jhilmil karti pahli sundarta aur phir bhul gae mat jaano hamein tum harjai harjai kyun kaise kaise kya dad jo ek lamhe ki ho wo dad nahin kahlaegi jo baat ho dil ki aankhon ki tum us ko hawas kyun kahte ho jitni bhi jahan ho jalwagari us se dil ko garmane do jab tak hai zamin jab tak hai zaman ye husn o numaish jari hai is ek jhalak ko chhichhalti nazar se dekh ke ji bhar lene do hum is duniya ke musafir hain aur qafila hai har aan rawan har basti har jangal sahra aur rup manohar parbat ka ek lamha man ko lubhaega ek lamha nazar mein aaega har manzar har insan ki daya aur mitha jadu aurat ka ek pal ko hamare bas mein hai pal bita sab mit jaega is ek jhalak ko chhichhalti nazar se dekh ke ji bhar lene do tum is ko hawas kyun kahte ho kiya dad jo ek lamhe ki ho wo dad nahin kahlaegi hai chand falak par ek lamha aur ek lamha ye sitare hain aur umr ka arsa bhi socho ek lamha hai