main hun mushtaq-e-jafa mujh pe jafa aur sahi

By mirza-ghalibSeptember 25, 2023
main hun mushtaq-e-jafa mujh pe jafa aur sahi
tum ho bedad se khush is se siwa aur sahi
ghair ki marg ka gham kis liye ai ghairat-e-mah
hain hawas-pesha bahut wo na ho aur sahi


tum ho but phir tumhein pindar-e-khudai kyon hai
tum khudawand hi kahlao khuda aur sahi
husn mein hur se badh kar nahin hone ke kabhi
aap ka shewa-o-andaz-o-ada aur sahi


tere kuche ka hai mail dil-e-muztar mera
ka'ba ek aur sahi qibla-numa aur sahi
koi duniya mein magar bagh nahin hai wa'iz
khuld bhi bagh hai khair aab-o-hawa aur sahi


kyon na firdaus mein dozakh ko mila len yarab
sair ke waste thodi si faza aur sahi
mujh ko wo do ki jise kha ke na pani mangun
zahr kuchh aur sahi aab-e-baqa aur sahi


mujh se 'ghaalib' ye 'alai' ne ghazal likhwai
ek bedad-gar-e-ranj-fiza aur sahi
88532 viewsunpublished-ghazalEnglish