na bhula iztirab-e-dam-shumari intizar apna

na bhula iztirab-e-dam-shumari intizar apna
ki aakhir shisha-e-saat ke kaam aaya ghubar apna

zi-bas aatish ne fasl-e-rang mein rang-e-digar paya
charagh-e-gul se dhundhe hai chaman mein shama khar apna

asir-e-be-zaban hun kash ke sayyaad-e-be-parwa
ba-dam-e-jauhar-e-aina ho jawe shikar apna

magar ho mane-e-daman-kushi zauq-e-khud-arai
hua hai naqsh-band aaina-e-sang-e-mazar apna

daregh ai na-tawani warna hum zabt-ashnayan ne
tilism-e-rang mein bandha tha ahd-e-ustuwar apna

agar aasudgi hai muddaa-e-ranj-e-betabi
niyaz-e-gardish-e-paimana-e-mai rozgar apna

'asad' hum wo junun-jaulan gada-e-be-sar-o-pa hain
ki hai sar-panja-e-mizhgan-e-ahu pusht-khar apna


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close