putli ki ewaz hun but-e-rana-e-banaras

By hatim-ali-mehrNovember 25, 2023
putli ki ewaz hun but-e-rana-e-banaras
allah phir in aankhon ko dikhlae banaras
rota hun banaras ke tasawwur mein shab-o-roz
ai hinduo dekho ye hai dariya-e-banaras


meri ye wasiyyat se ki mar jaun agar main
to baad-e-saba khak ko pahunchae banaras
hai kaba-e-maqsud faqat kucha-e-dil-dar
kafir hun jo mujh ko ho tamanna-e-banaras


nazim ho mohammad ka agar lucknow jaun
is mulk mein hun madilat-ara-e-banaras
kabe mein du'a mangunga main apne khuda se
yarab but-e-kafir mujhe bulwae banaras


bangal ko rawana hun raqiban-e-siyah-ru
mere liye ho maskan-e-mawa-e-banaras
main khush hun tu aabaad rahe warna ilahi
phir pipe se barut ke odh jae banaras


jab se mujhe qismat ne banaras se chhudaya
rahta hai zaban par mere bas hae banaras
ek gesuon wale ki mohabbat ka pada pech
pahle to na tha mujh ko ye sauda-e-banaras


ai 'mehr' tawarud hon jo mazmun to baja hai
main aur 'hazin' donon hain shohda-e-banaras
18807 viewsuunique-radeef-shayariEnglish