BEWAFA SHAYARI

EMOTIONAL SHAYARIS ON BEWAFA

Discover a touching collection of shayaris dedicated to bewafa. Let these verses resonate with the sentiments of betrayal and heartbreak, expressing the pain through poetic words.

दोस्त बन कर भी नहीं साथ निभाने वाला वही अंदाज़ है ज़ालिम का ज़माने वाला

-



رفاقت کچھ عرصہ رفاقت کے بعد اُس نے سوری کہا مری ساری محبت کو مٹی کے اندر ملایا اور چپکے سے اپنی منزل کی جانب رواں ہوگئی مرزا عبدالعلیم بیگ

-


फरमाइश की उसने वहाँ
टूटा यहाँ दिल हमारा
मदहोशी की हालत उनकी
पर पी तो हमने है।

-


Suna hai bahut barish ho rahi tumhare sahar men Jayda bhigna mat agar dhul gyi sari galat famiyan to yaad bahut aayegi humari

-


Bewafai pe teri jee hai fida

qahar hota jo bewafa hota!

-


Hum ko unse hai wafa ki umeed
jo nahi jaante wafa kya hai!

-


Wafa tujh se aey bewafa chahta hun

mere sadgi dekh kya chahta hun!

-


Aap daulat ke tarazu mein dilon ko taulen

hum mohabbat se mohabbat ka sila dete hain!

-


Hum se zindagi ki haqeeqat na pucho wasi

buhat pur khaloos log the jo tanha kar gaye!



* pur khaloos: sincere

-


Zara sa bewafa sa ho gaya hun

teri sohbat ki ye tasir hai kya!

-


Tere baad is jahan mein koi doosra nahi tha

are be-misaal tujh sa koi bewafa nahi tha!

-


Zindagi ik saza lage hai mujhe

jab se tu bewafa lage hai mujhe!

-


Dil se niklegi na mar kar bhi vatan ki ulfat

meri mitti se bhi khushbu-e-wafa aayegi!

-


Rehne de yeh kitaab tere kaam ki nahi

iss mein likhe hue hain wafaaon ke tazkare!

-


Yeh bewafa zindagi bhi tumhare naam karte hain 'faraz'

suna hai khoob banti hai bewafa se bewafa ki!

-


Dushmanon ki jafa ka khauf nahin

doston ki wafa se darte hain!

-


Apne usool kabhi yun bhi todne pade

khata uski thi hath mujhe jodne pade!

-


Woh nikal gaye mere raaste se is kadar ki

jaise ki woh mujhe pehchante nahi



kitne zakham khaye hain mere is dil ne

phir bhi hum us bewafa ko bewafa mante hi nahi!

-


Taras gaye hain thodi si wafa ke liye

kisi se pyaar na karenge khuda ke liye



jab bhi lagti hai ishq ki aadalat

hum hi chune jaate hain sazaa ke liye!

-


Hum toh tamam umar teri hi ada rahe

ye kya hua ki phir bhi hum bewafa rahe!

-


Ek ek baat mein sachchayi hai us ki lekin

apne vaadon se mukar jaane ko ji chahta hai!

-


Aap chheden na wafa ka qissa

baat mein baat nikal aati hai!

-


Gila likhun main agar teri bewafai ka

lahoo mein gharq safeena ho ashnayi ka!

-


Aashiqui mein bahut zaruri hai

bewafai kabhi kabhi karna!

-