MAUSAM SHAYARI

EXPRESSING NATURE'S BEAUTY IN WORDS

Explore the enchanting realm of mausam shayari where nature's beauty is celebrated through poetry. Each shayari in this collection beautifully portrays the charm and emotions associated with changing seasons, allowing you to immerse yourself in the poetic expressions of weather and its impact on our lives.

Barsat ke aate hi tauba na rahi baaki

badal jo nazar aaye badli meri niyat bhi!

-


Ab bhi barsat ki raaton mein badan toota hai

jaag uthti hain ajab khwahishen angdai ki!

-


Barsaat tham chuki hai magar har shajar ke paas

itna to hai ki aap ka daman bhigo sake!

-


Barfeeli chattan par ped khada muskaye

sara mausam sard hai jism aag barsaye!

-


Ab udaas phirte ho sardiyon ki shamon mein

is tarah to hota hai is tarah ke kaamon mein!

-


Agar tum ho to ghabrane ki baat thodi hai

zara si boonda-bandi hai barsaat thodi hai!

-


Puchte the na kitna pyaar hai tumhein hum se

lo ab gin lo baarish ki ye boonde!

-


Barsaat ka mausam to guzar geya

aankhon mein nami magar ab bhi hai!

-


Jo khulus se milta hai baras jata hun

main barsaat ka ik badal aawara-sa hun!

-


Tera ghar aur mera jungle bheegta hai sath-sath

aisi barsatein ke badal bheegta hai sath sath!

-