MISCELLANEOUS SHAYARI

EMBRACING VERSATILITY IN POETRY

Indulge in a varied array of shayari that encapsulates a range of emotions and topics. Whether you seek expressions of love, musings on nature, moments of humor, or words of inspiration, this collection offers a blend of sentiments to resonate with diverse experiences. Immerse yourself in the art of poetry as it captures the essence of life in its many hues.

कुछ अफसानों ने आदमी को बहला रखा है ना वजूद यहाँ फरिश्तों का ना मौजूद खुदा है

-


Kab tak aakhir jalenge khud hi is aag mein

dost ab andaz-e-jauhar badalna chahiye



katl hone se koi darta nahi hai is shehar main

par shart ye ki har dafa khanjar badalna chahiye!

-


Janazaa rok kar mera wo is andaaz se boley

gali humne kahi thi tum to duniya hi chorey jaatey ho!

-


Har shaam guzarti hoon main teri gali se

daaman magar taar hota hai aankhon ki nami se



jis-jis lamhe mein tu na raha mere rubaroo

nafrat hai mujhe us har ek ghari se!

-


Nisaar main teri galliyon ke aye wattan

ke jahan chali hai rasm ke koi na sar utha ke chaley!

-


Abhi mujhko nahi karna hai aitraaf-e-shikast

main sab tasleem kar lunga
ye charcha aam hone do



meri hasti nahi anmol
phir bhi bik nai sakta



wafaaen bech lena
per zara neelam hone do!

-


Teri khaamosh mijaji mujhe jeene nahi degi

iss daur mein jeena hai to kohraam macha de!

-


Umeed-e-hoor ne sab kuchh sikha rakhha hai waaiz ko

yeh hazrat dekhne mein seedhe saadhe
bhole bhaale hain!

-


Kisi ke dil mein basna bura toh nahi

kisi ko dil mein basana khata toh nahi



hain ye zamane ki nazar me bura toh kya hua

zamane wale bhi insaan hai khuda toh nahi!

-


Diyon ki roshni se jhilmilata aangan ho

patakhon ki goonjon se aasman roshan ho



aisi aaye jhum ke yeh diwali

har taraf kushiyon ka mausam ho!

-


Dil ke liea dard bhi roz naya chahiye

zindagi tu hi bata kaise jeena chahiea



maano meri kazmi
tum ho bhaley aadmi

phir bhi wohi aawargi


kuch to haya chahiye!

-


Yoon kehne ko toh hum bade khush mijaz hain lekin

rula deti hai apno ki pyaar ki hasrat kabhi kabhi!

-


Baskeh dushwar hai har kam ka aasa'n hona

aadmi ko bhi muyassar nahi'n insaa'n hona!

-


Kisi faqeer ki jholi mein jab maine ek sikka dala

tab yeh jaana ke iss mehangayi ke zamaane mein



dua'en aaj bhi kitni sasti hein!

-


Diyon ki roshni se jhilmilata aangan ho

patakhon ki goonjon se aasman roshan ho



aisi aae jhum ke yeh diwali

har taraf kushiyon ka mausam ho!

-


Pal pal sunhare phool khile

kabhi na ho kaanton ka saamna



zindagi aapki khushiyon se bhari rahe

dipawali par hamaari yahi shubhkaamna!

-


Rota hoon to ahbaab bura maante hain

hansta hun to mujrim mujhe maante hain



har haal mai aetraaz karne waale

nadaan mere halaat kahan jaante hain!

-


Chand nikale kisi janib teri zebai ka

rang badle kisi surat shab-e-tanhai ka!

-


Wo ajj jo bhaite hain hukmaran ho kar

na jane kyon so ja jate hain bezaban ho kar



koi mar jae unko koi fikar nahi

jabain apni bhar lee hain
abro kho kar!

-


Kitne majboor hain taqdeer ke hathon

na use pane ki aas rakhte hain aur na use khone ka hosla!

-


Jaadu hai ya tilism tumhaari jubaan mein

tum jhooth keh rahe the
mujhe aitbaar tha!

-


Saza na do mujh ko be-qasoor hoon mein

tham lo mujko ghamon se choor hoon mein



tere pyar ne kar diya pagal sa mujhe

aur logon ka kehna hai kitna maghror hoon mein!

-


Ghar ka darwaza is andaaz se khola usne

ke jaise main nahi koi aur tha aane wala!

-


Woh meri gazal padh kar pehloo badal ke bole

koi chhene qalam iss se yeh to jaan le chalaa hai!

-


Waqt ka har ik chalan badal dein

chalo nizaam-e-kohan badal dein



banaein nayzon ko lafz aur hum

ada-e-shair-o-sukhan badal dein!

-