ESSENCE OF LIFE - ZINDAGI SHAYARI
EXPRESSING THE JOURNEY OF EMOTIONS
Delve into the world of zindagi shayari to explore the myriad facets of life through poetic verses that beautifully capture the emotions, experiences, and essence of existence. Let the poetic expressions resonate with the journey of life and evoke deep reflections on the intricacies of living.
Mombati ke andar ka dhaga bola
Main jalta hoon to tu kyon pighalti hai? Mombati boli
Jisko dil mein jagah di woh bichade to aansoo to niklenge hi.
Main jalta hoon to tu kyon pighalti hai? Mombati boli
Jisko dil mein jagah di woh bichade to aansoo to niklenge hi.
-
Ek lamha tha jo gujar chukee....
Ek lamha tha jo gujar chukee
Asar tha jo dher thak rehe
Us pal mein bheth gayi saari zindagi
-
Nikal kar khud se bahar bhagne se khud mein aane tak
farar aakhir hai ye kaisa ye kaisi aazmaish hai!
farar aakhir hai ye kaisa ye kaisi aazmaish hai!
-
Is liye dil bura kiya hi nahi
zindagi mera faisla hi nahi!
zindagi mera faisla hi nahi!
-
Tapta suraj shaam ko dhal jayega
waqt kaisa hi pade tal jayega!
waqt kaisa hi pade tal jayega!
-
Zindagi kya hai ek kahani hai
ye kahani nahi sunani hai!
ye kahani nahi sunani hai!
-
Sair kar duniya ki ghafil zindagani phir kahan
zindagi gar kuch rahi to ye jawani phir kahan!
zindagi gar kuch rahi to ye jawani phir kahan!
-
Nikal kar khud se bahar bhagne se khud mein aane tak
farar aakhir hai ye kaisa ye kaisi aazmaish hai!
farar aakhir hai ye kaisa ye kaisi aazmaish hai!
-
Pyaar ki jot se ghar ghar hai charaghan varna
ek bhi shama na roshan ho hawa ke darr se!
ek bhi shama na roshan ho hawa ke darr se!
-
Main tere dar ka bhikhari tu mere dar ka faqir
aadmi is daur mein khuddar ho sakta nahi!
aadmi is daur mein khuddar ho sakta nahi!
-
आखिर कौन चल पाया है नींद में दूर–– तलक
'अक्रम' ज़िन्दगी इक ख्वाब है हक़ीक़त न समझ!
-
Bana kar faqeeron ka hum bhes 'ghalib'
tamasha ehl-e-karam dekhte hain!
tamasha ehl-e-karam dekhte hain!
-
Aish hi aish hai na sab gham hai
zindagi ek haseen sangam hai!
zindagi ek haseen sangam hai!
-
Mohabbat ye bata kya silsila hai
ye manzil hai ki mera raasta hai!
ye manzil hai ki mera raasta hai!
-
Maut aayegi us se mil lenge
ab chalo zindagi se milte hain!
ab chalo zindagi se milte hain!
-
Nafraton ka aks bhi padne na dena zehan par
ye andhera jaane kitno ka ujala kha gaya!
ye andhera jaane kitno ka ujala kha gaya!
-
Saari duniya mein hai kis tarah ka manzar yaara
apne hi ghar mein hai har aadmi dar kar yaara!
apne hi ghar mein hai har aadmi dar kar yaara!
-
Lamba raasta nange paanv
jaana hai par apne gaanv!
jaana hai par apne gaanv!
-
Jo dil ko hai khabar kahin milti nahi khabar
har subah ek azab hai akhbar dekhna!
har subah ek azab hai akhbar dekhna!
-
Hum ko na mil saka to faqat ek sukun-e-dil
ai zindagi vagarna zamane mein kya na tha!
ai zindagi vagarna zamane mein kya na tha!
-
Zara si chaaye giri aur daagh daagh varaq
ye zindagi hai ki akhbar ka tarasha hai!
* varaq: paper
* tarasha: chiselled (cut
shaped)
ye zindagi hai ki akhbar ka tarasha hai!
* varaq: paper
* tarasha: chiselled (cut
shaped)
-
Manzilen hi manzilen hain har taraf
raaste ki ek nishani bhi nahi!
raaste ki ek nishani bhi nahi!
-
Ghar se nikla to mulaqat hui paani se
kahan milti hai khushi itni faravani se!
*faravani: abundance
plenty
kahan milti hai khushi itni faravani se!
*faravani: abundance
plenty
-
Ye mana zindagi hai chaar din ki
bahut hote hain yaaro chaar din bhi!
bahut hote hain yaaro chaar din bhi!
-
Zindagi shayad isi ka naam hai
dooriyan mazbooriyan tanhaiyan!
dooriyan mazbooriyan tanhaiyan!
-