ASHRA SHAYARI

HEARTFELT SHAYARIS ON ASHRA

Discover a beautiful collection of shayaris dedicated to ashra. Let the verses resonate with your feelings and express the depth of your emotions through poetry.

vo sab me.n nemate.n taqsiim kar ke khush rahtaa
magar khudaa.ii kaa da.avaa nahii.n kiyaa us ne
vo maa.n kaa haath bataataa thaa ghar ke kaamo.n me.n
pa feminasty kaa charchaa nahii.n kiyaa us ne


jo qarz farz nahii.n the adaa kiye vo bhii
kisii se ko.ii taqaazaa nahii.n kiyaa us ne
banaa.ii zindagii jin kii vo us kii maut bane
ye dukh mujhe hai ki achchhaa nahii.n kiyaa us ne


phir ek asr vo masjid kii sii.dhiyo.n pe dhalaa
to bujhte dil se bhii shikva nahii.n kiyaa us ne

- idris-babar


khaa.nsii aur hichkii kaa farq
gair vaazeh hotaa hai
avaam ke masiihaa.o.n aur khudaa ke vakiilo.n ko
mu.akkil aur dastaane nahii.n milte


zamiin ko ventilator lagaane vaalo.n ko
zamiin ko ventilator lagaane kii himmat nahii.n hotii
hujuum kii bhuuk me.n khauf
aur khauf kii maut me.n bhuuk nahii.n hotii


do mohabbat karne vaalo.n ke darmiyaan
do mohabbat karne vaale nahii.n hote

- arsalan-ahmad


baabaa-e-kul-aqvaam puurii sadii
snooker khelte rahe
snooker kii sab se behtariin ge.nde.n
gen.de ke sii.ng se bantii rahii.n


kuchh arsa pahle
aakhirii safed gai.ndaa maaraa gayaa
sukuut-e-gai.ndaa se
kisii qaum ko farq nahii.n pa.daa


aakhirii insaan marne se
kisii sayyaare ko farq nahii.n pa.dne vaalaa

- arsalan-ahmad


kaun pahlii mohabbat nahii.n thaa
kaun aakhirii mohabbat nahii.n
kaun hai jo pahlii aur aakhirii mohabbat hai
kaun saa bachcha kis kii aulaad hai


kaun sii daulat kis par halaal hai
kis qatl kaa suraag kis zamiin me.n hai
musallas kab se hai aur kin tiin me.n hai
vabaa ke dino.n me.n


zaruurii hotaa hai
vasiyyat likh rakhnaa

- arsalan-ahmad


mukhtasar kar jaatii hai zindagii ko har mulaaqaat
ban jaataa hai murkkab khauf-e-khudaa me.n khauf-e-vabaa
ba.dh jaatii hai ahmiyat me.n mohabbat se mudaafa.at
kho baithte hai.n currency note tak apnii vaq.at


rah jaataa hai jam.a bahut saa maut ke ba.ad kaa raashan
chalii jaatii hai.n naqaabo.n tale khulii muskuraahate.n
mit jaatii hai musaafho.n aur mu.aanqo.n kii mulamma.a-kaarii
ruuth jaataa hai badan se lams kaa rizq


duur ho jaataa hai apnaa chehra apne haath se
mukammal hotii hai vabaa ke dino.n me.n tanhaa.ii

- arsalan-ahmad


vabaa ke dino.n me.n mayyat kaa gusl
janaaze kaa kandhaa
aur aakhirii lamhe kaa diidaar nahii.n hotaa
lekin yahii nahii.n


in dino.n qabr ke phuulo.n kii
gul-qand nahii.n banaa.ii jaatii
laash ke baalo.n kii vig nahii.n bantii
kafan plastic kaa hotaa hai


jo chorii nahii.n hotaa
aur ko.ii aadam-khor zinda nahii.n bachtaa

- arsalan-ahmad