DARD SHAYARI

EMOTIONAL SHAYARIS ON DARD

Discover a heartfelt collection of shayaris dedicated to dard. Let these verses resonate with the emotions of pain, sorrow, and heartache, conveying the depth of these feelings through poetic words.

लफ्ज़ो से कह नहीं सकता ये बात बहोत गंभीर है उसकी गली के बाहर उसकी पहचान का फकीर है फकीर का दर्द उसका मेहबूब भी समझ ना सका उस फकीर का मेहबूब भी कितना बेरहम बे-पीर है

-


समझ न सके उन्हें हम क्योकि इश्क़ के नशे में चूर थे जान लुटाते थे जिस पर वो दिल तोड़ने के लिए मशहूर थे खुशी से दिल तोड़ दिया एक रोज़ उन्होंने मेरा खेल खेल में माथे हाथ फेरते हुए बोले यार हम तो आदत से मजबूर थे Rajat Akela Dil https://www.facebook.com/rajatakeladil29

-


दर्द को इतना जिया कि दर्द मुझसे डर गया
और फिर हंसकरके बोला
यार मैं तो मर गया -संजय ग्रोवर Dard ko itna jiya ki dard mujhse dar gaya
Aur fir hans karke bola


yaar main toh mar gayaa -Sanjay Grover

-


Yun meri ummeedon ke mahal ho gaye mismar

jis tarah koi ret ki deewar na thahre



pahuncha naye halat ke dhare pe safina

mumkin hai mere haath mein patvar na thahre!



*mismar: ruined
*safina: boat

-


Apni marzi se kahan apne safar ke hum hain

rukh hawaon ka jidhar ka hai udhar ke hum hain!

-


Khamoshi se musibat aur bhi sangeen hoti hai

tadap ai dil tadapne se zara taskeen hoti hai!



*taskeen: satisfaction
comfort

-


Main tha wafa-sarisht mujhe thi wafa aziz
wo tha bahana-ju use khu-e-baha na thi

yun koi mere paas se ho kar guzar gaya



jaise kabhi nazar se nazar ashna na thi!

* wafa-sarisht: disposition of constancy


* bahana-ju: one who seeks an excusedi

-


Kachhe makaan jitne the barish mein beh gaye

varna jo mera dukh tha vo dukh umar bhar ka tha!

-


Woh khushi thi umeed thi ik ehsaas tha

baad mein ye ghuman hua bas pal do pal ka sath tha



rehta hai aaj bhi intezar is aankh ko kisi apne ka

woh ja kar aaj bhi saath hai jo kabi hamare pass tha!

-


Paani se bhari aankhen lekar mujhe ghoorta hi raha

wo aaine mein khada shakhs pareshan bahut tha!

-


Judaiyon ke zakhm dard-e-zindagi ne bhar diye

tujhe bhi nind aa gayi mujhe bhi sabr aa gaya!

-


Us ne barish men bhi khidki khol ke dekha nahin

bhigne valon ko kal kya kya pareshani hui!

-


Sun chuke jab haal mera le ke angdayi kaha

kis ghazab ka dard zaalim tere afsane mein tha!

-


Dil par chot padi hai tab to aah labon tak aayi hai

yun hi chhan se bol uthna to sheeshe ka dastur nahi!

-


Bheegi mitti ki mehak pyaas badha deti hai

dard barsat ki bundon mein basa karta hai!

-


Rote jo aaye the rula ke gaye

ibtida inteha ko rote hain!

-


Hawa ne phaad di tasveer lekin

abhi ek keel seene mein gadi hai!

-


Aisi to na thi qismat apna bhi koi hota

kyon khud ko mohabbat ka haqdar samajh baithe!

-


Mujh se kehte nahi banta ki sitam kam kije

phir na aisa ho kisi roz mera gham kije!

-


Patthar paani ho jaate hain

log kahani ho jaate hain



naye naye chehre wale bhi

baat purani ho jaate hain!

-


Hoshiyari dil-e-nadan bahut karta hai

ranj kam sehta hai elaan bahut karta hai!

-


Kalam karte hain log khud se

bhadas dil ki nikal rahi hai!

-


Us ko rukhsat to kiya tha mujhe maloom na tha

sara ghar le gaya ghar chhod ke jaane wala!

-


Hamare haath se wo bhi nikal gaya aakhir

ki jis khayal mein hum muddaton se khoye the!

-


Ja baithe nadi kinare raat aur main

donon ik duje ke sahare raat aur main!

-