DOSTI SHAYARI

HEARTFELT SHAYARIS ON DOSTI

Discover a collection of endearing shayaris celebrating the essence of friendship. Let these verses reflect the warmth and depth of true companionship, capturing the beauty of lasting bonds through poetic expression.

Aapki dosti ki ek nazar chahiye
dil hai beghar use ek ghar chahiye
bas yun hi saath chalte raho ae dost
yeh dosti hume umar bhar chahiye

-


Suna hai asar hota hai baaton mein
aap bhi bhul jaoge do-chaar mulakaton mein

lekin humse bachkar kahan jaoge


aapki dosti ki lakeer hai mere haathon mein

-


Sawaal paani ka nahi
pyaas ka hai

sawaal maut ka nahi


saans ka hai

dost to duniya mein bahut hain magar



sawaal dosti ka nahi vishwas ka hai

-


Phool aisa ho jo baag ko khushbu se bhar de
hamsafar aisa ho jo andheron ko roshan kar de
dost aisa ho zindagi ko khushi aur mobile ko sms se bhar de...

-


Daulat aur sohrat sabke pas hai

khushiya aur ghum sabke naseeb mein hai



pyar aur nafrat sabke dil mein hai

par khush-naseeb hai hum kyonki tum jaisa dost hamare pas hai

-


Sabne kaha dosti ek dard hai

humne kaha dard kabool hai



subne kaha is dard ke saath jee na paogay

humne kaha teri dosti ki saath marna kabool hai

-


Bade ajeeb hain ye zindagi ke raaste
anjane mod par kuchh log dost ban jate hain
milne ki khushi de ya na de bichhadne ka gam zarur de jate hain.

-


Aap pe kurbaan hmari yaari hai
hanske mar jaane ki tayyari hai

yeh silsila na khatam ho humaari dosti ka


humne to yaad kar liya ab aapki baari hai. 6

-


Kaun kehta hai dost
tumse hamari judaai hogi

yeh khabar kisi aur ne uddaie hogi



shaan se rahenge hum aapke dil mein

dosti ke iss khel mein humne



kuch toh jagah banai hogi!

-


Taaron mein akela chaad jagmagata hai

mushquilo mein akela insaan dagmagata hai



kaate se ghabrana mat mere dost

kyunki kaaton mein hi akela gulab muskurata hai!

-


Yaad karte hai tumhe tanhai mein

dil dooba hai gam ki gehraai mein



hume mat dhundna duniya ki bhid mein aye dost

hum milenge tumhe tumhari hi parchai mein!

-


Mehfil mein kuch to sunaana padta hai

apna gham bhul ke muskuraana padtaa hai



kabhi hum bhi unke dost hua karte the

ab ye humein unhe yaad dilaana padtaa hai!

-


Mere kuch dost mujhe yoon bhi sataane aaye

khud mujhe mera hi afsaana sunaane aaye



din ke dhalte hue lamhon ki kiran wo lekar

mere tareek-e-muqaddar ko jagaane aaye!

-


Bolti hai dosti chup rahta hai pyar

hasti hai dosti rulata hai pyar



milti hai dosti bichhadta hai pyar

phir na jane log kyon karte hain pyar!

-


Hum doston ko bhulte nahi hain

magar yeh baat jatate nahi hain



doston ko hamesha rakhte hain yaad

hum bhulne ke liye dost banate nahi hain!

-


Kamyabi kabhi badi nahi hoti

pane wale hamesha bade hote hai



darar kabhi badi nahi hoti

bharne wale hamesha bade hote hai



itihaas ke har panne par likha hai

dosti kabhi badi nahi hoti



nibhane wale hamesha bade hote hai!

-


Baatein karke rula na dijiyega

yoon chup rehke saza na dijiyega



na de sake khushi
to gam hi sahi

par dost bana ke uhi bhula na dijiyega!

-


Kash kuch aisa karishma hota

kisi ko banwane ke liye khuda ko order dena hota



tujh jaisa hi ek dost banwata mai khuda se khud ke liye

bhale hi uski keemat mein khud ko khona hota!

-


Kuch ehsason ke saye dil ko chu jate hain

kuch manzar dil mein utar jate hain



bejan gulshan mein bhi phool khil jate hain

jab zindagi mein aap jaise dost mil jate hain!

-


Bas ek baat se dar lagta hai doston

hum ajnabi na ban jaein doston



zindagi ke rangon mein dosti ka rang feeka na pad jaye

kahin aisa na ho doosre rishton ki bheed mein dosti dum tod jaye!

-


Wada karte hain dosti nibhayenge

koshish yahi rahegi tujhe na satyaenge



zarurat pade toh dil se pukarana

mar bhi rahe honge to mohlat lekar aayenge!

-


Dosti shayad zindagi hoti hai

jo har dil mein basi hoti hai



waise to jee lete hain sabhi akele magar

phir bhi zaroorat inn ki har kisi ko hoti hai!

-


Unhe yeh khauf ki har baat mujhse kar daali

mujhe ye weham koi khaas baat baaki hai!

-


Yaaron khud ka dil na dukhana

kabhi bhi aazmayish ko had se na guzarna



dosti ki bhi majbooriyan hoti hain
insaan ki bhi

ise samajhna bhoole se bhi ghalat na hume thehrana!

-


Mere liye meri jaan hai teri dosti

zindagi ka har armaan hai teri dosti



mujhko na koi umeed na koi shikwa hai zamane se

mujh par khuda ka ehsaan hai teri dosti!

-