FILMI GEET SHAYARI

ENCHANTING SHAYARIS INSPIRED BY BOLLYWOOD SONGS

Discover a compilation of shayaris that pay tribute to bollywood songs. Let these poetic verses encapsulate the essence and sentiments of filmi geet, evoking the magic and emotion of hindi film music.

vatan kii raah me.n vatan ke naujavaa.n shahiid ho
pukaarte hai.n ye zamiin-o-aasmaa.n shahiid ho
vatan kii laaj jis ko thii 'aziiz apnii jaan se
vo naujavaan jaa rahaa hai aaj kitnii shaan se


is ik javaa.n kii khaak par har ik javaa.n shahiid ho
hai kaun khush-nasiib maa.n ki jis kaa ye charaag hai
vo khush-nasiib hai kahaa.n ye jis ke sar kaa taaj hai
amar vo desh kyo.n na ho ki tuu jahaa.n shahiid ho


shahiid terii maut hii tire vatan kii zindagii
tire lahuu se jaag uthegii is chaman me.n zindagii
khile.nge phuul us jagah pe tuu jahaa.n shahiid ho
gulaam uth vatan ke dushmano.n se intiqaam le


in apne dono.n baazu.o.n se khanjaro.n kaa kaam le
chaman ke vaaste chaman ke baagbaa.n shahiid ho
pahaa.d tak bhii kaa.npne lage tire junuun se
tuu aasmaa.n pe inqalaab likh de apne khuun se


zamii.n nahii.n tiraa vatan hai aasmaa.n shahiid ho

- raja-mehdi-ali-khan