GEET SHAYARI
HARMONY OF WORDS AND EMOTIONS
Experience the enchanting world of geet shayari where each verse is a musical journey that speaks to the soul. Let the melodic flow of poetic expressions weave a tapestry of emotions that resonate with your innermost feelings. Whether you seek solace in the rhythm of words or wish to express your deepest sentiments, geet shayari offers a platform to connect with your emotions and express them in a melodious way.
ek anjaan hasina se mulaqat ki raat
hae wo reshmin zulfon se barasta pani
phul se galon pe rukne ko tarasta pani
dil mein tufan uthae hue jazbaat ki raat
zindagi-bhar nahin bhulegi wo barsat ki raat
dar ke bijli se achanak wo lipatna us ka
aur phir sharm se bal kha ke simatna us ka
kabhi dekhi na suni aisi tilismat ki raat
zindagi-bhar nahin bhulegi wo barsat ki raat
surkh aanchal ko daba kar jo nichoda us ne
dil pe jalta hua ek tera sa chhoda us ne
aag pani mein lagate hue haalat ki raat
zindagi-bhar nahin bhulegi wo barsat ki raat
mere naghmon mein jo basti hai wo taswir thi wo
naujawani ke hasin khwab ki tabir thi wo
aasmanon se utar aai thi jo raat ki raat
zindagi-bhar nahin bhulegi wo barsat ki raat
- sahir-ludhianvi
falak se pukara
ki din hua aakhir
ujala hai musafir
ab aaya andhiyara
wo pahla pahla tara
wo tara nind ka paigham
rahat ki khabar laya
wo sari raat jagega
hamara ban ke rakhwala
bikhere ujyara
baja ke iktara
wo lori sunae
wo hum ko sulae
sulae jag sara
wo pahla pahla tara
ye suraj chand tare ye hawa ye phul ye patte
ye sab paigham dete hain magar hum sun nahin sakte
ye pyar sikhaen
ye rah dikhaen
ye hum ko sikhaen
ki bante hain kaise
dilon ka sahaara
ye pahla pahla tara
- raza-ali-abidi
sundar hai aakash ki rangat
meinh se dhul kar nikhri surat
dhanush kaman khinchi hai kaisi
rang rangili pyari sajili
hum bhi apna rang jamaen
aao sakhi barsat manaen
sat rangon ki rani nikli
pi kar meinh ka pani nikli
nach rahi hai rangon ki malika
odhe hai sat rang chandariya
barkha rani ke gun gaen
aao sakhi barsat manaen
- ishrat-rahmani
jhum rahi hai dali dali
dal raha hai suraj dore
jhalak rahe hain tal katore
jhum rahi hai dali dali
bahti hai purwa matwali
bansi koi bajata ban mein
daud rahi bijli jiwan mein
jis ko dekho wo muskae
pada hua jaise kuchh pae
rag sunae koyal kali
jhum rahi hai dali dali
bahti hai purwa matwali
- ishrat-rahmani
ye nanhe nanhe tare hain sare dost hamare
hain sare dost hamare
aao mil kar hum khelen dukh ghairon ke sab le len
khushiyan har-su phaila kar kahlaen raj-dulare
hain sare dost hamare
bant ke sukh sare jag mein rahat hum paen
kirnon se ujyara kar den is dharti ke tare
hain sare dost hamare
duniya mein hain jitne insan sab se pyar karen hum
khushiyan bhi hain ek hamari gham bhi sanjhe
hain sare dost hamare
- nayyar-rani-shafaq
biscuit toffee aur zarda
sab ko man ka mit likha
main ne bhi kya git likha
chhutti sathi wonderful
gend kabaddi shor-o-ghul
un sab ko sangit likha
main ne bhi kya git likha
maktab teacher aur kitab
wo algebra ho ki hisab
sab ko purani rit likha
main ne bhi kya git likha
jab bhi ki padhne mein bhul
thokam thak hui maqul
us ko sachchi prit likha
main ne bhi kya git likha
jab na mila koi inam
ho gaya sara khel tamam
apni haar ko jit likha
main ne bhi kya git likha
- shaukat-pardesi
hai ek ke pichhe ek hai ek ke pichhe ek
rawan-dawan rawan-dawan chale hain ek qatar mein
jo so gae wo kho gae
jo chal pade wo pa gae
ye jagat ka hai chalan
chale chalo chale chalo
ye zindagi ke qafile chale hain ek qatar mein
hai ek ke pichhe ek hai ek ke pichhe ek
rawan-dawan rawan-dawan chale hain ek qatar mein
na past himmaten karo
na unch-nich se daro
hawaen bhi hain gamzan
badhe chalo badhe chalo
ye zindagi ke qafile chale hain ek qatar mein
hai ek ke pichhe ek hai ek ke pichhe ek
rawan-dawan rawan-dawan chale hain ek qatar mein
- unknown
main ne dekha rup nirala dil mein apne tera
sham ki chidiyan pankh pasare git sunati aaen
sanjh pade nadiyan bhi ruk kar shor machati aaen
baalam teri chaukhat par hai mera rain-basera
chamak chamak kar suraj ubhra chhaya prem sawera
main ne dekha rup nirala dil mein apne tera
ye din aur ye raat ka chakkar ye jina ye marna
ye mandir masjid ye shiwale kya kya qisse karna
pyare teri simran japna dharm hai ab to mera
chamak chamak kar suraj ubhra chhaya prem sawera
main ne dekha rup nirala dil mein apne tera
chhota sa ek bij zamin mein kya kya rang dikhae
ubhre phute phul khilae duniya ko mahkae
duniya tu ne mujh se basai bagh hun main bhi tera
chamak chamak kar suraj ubhra chhaya prem sawera
main ne dekha rup nirala dil mein apne tera
mera pyara mere tan mein jalwe dil ke andar
kis ko dhundun kis ko dekhun man hai khud ek mandar
is mandir mein wo hai har-su us ka ek main dera
chamak chamak kar suraj ubhra chhaya prem sawera
main ne dekha rup nirala apne dil mein tera
- naseem-amrohvi
mil mil gaen jam jam jam
hanse hansaen sugam sugam
aao mil kar khelen hum
chik chik chik bam bam bam
baadal garje kam kam kam
warsha barse chham chham chham
chaaron or baje sargam
aao mil kar khelen hum
chik chik chik bam bam bam
suraj manzil manzil jae
dube sitare laut ke aae
rut hai suhani man lahrae
aao mil kar khelen hum
chik chik chik bam bam bam
- unknown
o pyare bhagwan o pyare bhagwan
jalwe tere chhae chaman mein
ganga jamuna brindaban mein
tera pyara nam zaban par
tera sundar rup hai man mein
teri nirali shan
o pyare bhagwan o pyare bhagwan
zarron se maidan banae
bundon se tufan banae
kanton se phulon ko sajaya
mitti se insan banae
man tujh par qurban
o pyare bhagwan o pyare bhagwan
tu hi rahim aur ram hai malik
tera darshan aam hai malik
sab ke ji mein yaad hai teri
rahmat tera kaam hai malik
nam tera rahman
o pyare bhagwan o pyare bhagwan
dariya tere prem ke dhaare
sab ka jiwan tere sahaare
har parde mein tu hi tu hai
koi tujhe mandir mein pukare
koi padhe quran
o pyare bhagwan o pyare bhagwan
- naseem-amrohvi
ai khaliq kartar
tu ne sab sansar banaya
apna anokha rup dikhaya
tu ne jade aakash mein tare
dharti ko phulon se sajaya
khak bani gulzar
tu hi palan-haar hai sab ka tu hi palan-haar
ai khaliq kartar
teri har dam shan hai nyari
rahmat ki hai ganga jari
sab ki tujh se aas lagi hai
tere dar ke sab hain bhikari
tera sab sansar
tu hi palan-haar hai sab ka tu hi palan-haar
ai khaliq kartar
ye masjid ye math ye shiwale
ram bhagat aur allah wale
hindu muslim sikh isai
chhote bade aur gore kale
sab par tera pyar
tu hi palan-haar hai sab ka tu hi palan-haar
ai khaliq kartar
tu hi mare tu hi jilae
sab ke bigde kaam banae
biphre hue tufan ke andar
dubti nayya tu hi tirae
sab ka beda par
tu hi palan-haar hai sab ka tu hi palan-haar
ai khaliq kartar
maula bhi bhagwan bhi tu hai
ram bhi tu rahman bhi tu hai
jaan bhi teri dil bhi tera
har dil ka arman bhi tu hai
to hai sab ka yar
tu hi palan-haar hai sab ka tu hi palan-haar
ai khaliq kartar
- naseem-amrohvi
chhoti-chhoti nannhi-nannhi pyari-pyari kaliyan
le kante main sach-much kah dun
tere sare patte-watte meri sari kaliyan
ya-allah main subh ko paun
tahni-tahni achchhi-achchhi bhaari-bhaari kaliyan
git 'afsar' ka aisa gaun
jaise mere paudon wali nyari-nyari kaliyan
- afsar-merathi
yun samjho kisi ke ho baithe
hum aaj kahin dil kho baithe
har dam jo koi pas aane laga
bhed ulfat ke samjhane laga
nazron se nazar ka takrana
tha dil ke liye ek afsana
hum hathon se dil ko kho baithe
hum aaj kahin dil kho baithe
aankhon mein samaya koi magar
kaun aaya kisi ko kya ye khabar
puchho to yahi hai us ka pata
chanchal nainan aur shokh ada
hum dil ki nayya dubo baithe
hum aaj kahin dil kho baithe
- majrooh-sultanpuri
jawan hai rut saman hasin
kahan hai dil kise pata
kahan hun main khabar nahin
main kho gaya yahin kahin
yun kisi se hua samna
dil ne aawaz di thamna
jaane kya kah gai wo nigah-e-naznin
main kho gaya yahin kahin
haal-e-dil kah to dun jhum ke
pyar se zulf ko chum ke
sochta hun magar wo khafa na ho kahin
main kho gaya yahin kahin
dhun jo rahi pyar ki
ho rahegi meri wo kabhi
mere dil mere dil thahar ja machal nahin
main kho gaya yahin kahin
- majrooh-sultanpuri
ek chand ka tukda rahta hai
afsos ye hai ki wo mujh se
kuchh ukhda ukhda rahta hai
jis roz se dekha hai us ko hum shama jalana bhul gae
dil tham ke aise baithe hain kahin aana jaana bhul gae
ab aath pahar in aankhon mein
wo chanchal mukhda rahta hai
mere samne wali khidki mein
ek chand ka tukda rahta hai
barsat bhi aa kar chali gai baadal bhi garaj kar baras gae
are us ki ek jhalak ko ai husn ke malik taras gae
kab pyas bujhegi aankhon ki
din raat ye dhadka rahta hai
mere samne wali khidki mein
- majrooh-sultanpuri
aaj yun milte hain jaise kabhi pahchan na thi
wo jo milte the kabhi hum se diwanon ki tarah
dekhte bhi hain to yun meri nigahon mein kabhi
ajnabi jaise mila karte hain rahon mein kabhi
is qadar un ki nazar hum se to anjaan na thi
wo jo milte the kabhi hum se diwanon ki tarah
ek din tha kabhi yunhi jo machal jate the
khelte the meri zulfon se bahal jate the
wo pareshan the meri zulf pareshan na thi
wo jo milte the kabhi hum se diwanon ki tarah
wo mohabbat wo shararat mujhe yaad aati hai
dil mein ek pyar ka tufan utha jati hai
thi magar aisi to uljhan mein meri jaan na thi
wo jo milte the kabhi hum se diwanon ki tarah
- majrooh-sultanpuri
mujhe aap kis liye mil gae
main akele yunhi maze mein tha
mujhe aap kis liye mil gae
yunhi apne apne safar mein gum
kahin dur main kahin dur tum
chale ja rahe the juda juda
mujhe aap kis liye mil gae
na main chand hun kisi sham ka
na charagh hun kisi baam ka
main to raste ka hun ek diya
mujhe aap kis liye mil gae
mujhe dard-e-dil ka pata na tha
mujhe aap kis liye mil gae
- majrooh-sultanpuri
jo bhi pyar se mila hum usi ke ho liye
hum hain rahi pyar ke hum se kuchh na boliye
dard bhi hamein qubul chain bhi hamein qubul
hum ne har tarah ke phul haar mein piro liye
jo bhi pyar se mila hum usi ke ho liye
dhup thi nasib mein dhup mein liya hai dam
chandni mili to hum chandni mein so liye
jo bhi pyar se mila hum usi ke ho liye
dil ka aasra liye hum to bas yunhi jiye
ek qadam pe hans liye ek qadam pe ro liye
jo bhi pyar se mila hum usi ke ho liye
rah mein pade hain hum kab se aap ki qasam
dekhiye to kam se kam boliye na boliye
jo bhi pyar se mila hum usi ke ho liye
- majrooh-sultanpuri
giton mein chhupa lun bain sajan tum so jao
sham dhale se bhor bhae tak jag ke jab katti hai ghadiyan
madhur milan ki os mein bas kar khilti hain jab jiwan ki kaliyan
aaj nahin wo rain sajan tum so jao
phiki pad gai chand ki jyoti dhundle pad gae dip gagan ke
so gain sundar sej ki kaliyan so gae khilte bhag dulhan ke
khul kar rolen nain sajan tum so jao
jag ke tan ki agni so gai badh ke tham gai man ki halchal
apna ghunghat aap ulat kar khol di main panw ki pael
ab hai chain hi chain sajan tum so jao
- sahir-ludhianvi
aur jhank ke meri aankhon mein bite din yaad dilate ho
mastana hawa ke jhonkon se har bar wo parde ka hilna
parde ko pakadne ki dhun mein do ajnabi hathon ka milna
aankhon mein dhuan sa chha jaana sanson mein sitare se khulna
raste mein tumhaara mud mud kar takna wo mujhe jate jate
aur mera thithak kar ruk jaana chilman ke qarib aate aate
nazron ka taras kar rah jaana ek aur jhalak pate pate
baalon ko sukhane ki khatir kothe pe wo mera aa jaana
aur tum ko muqabil pate hi kuchh sharmana kuchh bal khana
ham-sayon ke dar se katrana ghar walon ke dar se ghabrana
ro ro ke tumhein khat likhti hun aur khud padh kar ro leti hun
haalat ke tapte tufan mein jazbaat ki kashti kheti hun
kaise ho kahan ho kuchh to kaho main tum ko sadaen deti hun
main jab bhi akeli hoti hun tum chupke se aa jate ho
aur jhank ke meri aankhon mein bite din yaad dilate ho
- sahir-ludhianvi
mit chubhe shul se
lut gae singar sabhi bagh ke babul se
aur hum khade khade bahaar dekhte rahe
karwan guzar gaya ghubar dekhte rahe
nind bhi khuli na thi ki hae dhup dhal gai
panw jab talak uthe ki zindagi phisal gai
pat pat jhad gae ki shakh shakh jal gai
chah to nikal saki
na par umar nikal gai
git ashk ban gae
chhand ho dafn gae
sath ke sabhi diye dhuan dhuan pahan gae
aur hum jhuke jhuke
mod par ruke ruke
umr ke chadhaw ka utar dekhte rahe
karwan guzar gaya ghubar dekhte rahe
kya shabab tha ki phul phul pyar kar utha
kya sarup tha ki dekh aaina sihar utha
is taraf zamin uthi to aasman udhar utha
tham kar jigar utha ki jo mila nazar utha
ek din magar yahan
aisi kuchh hawa chali
lut gai kali kali ki ghut gai gali gali
aur hum lute lute
waqt se pite pite
sans ki sharab ka khumar dekhte rahe
karwan guzar gaya ghubar dekhte rahe
hath the mile ki zulf chand ki sanwar dun
honth the khule ki har bahaar ko pukar dun
dard tha diya gaya ki har dukhi ko pyar dun
aur sans yun ki sowarg bhumi par utar dun
ho saka na kuchh magar
sham ban gai sahar
wo uthi lahar ki dah gae qile bikhar bikhar
aur hum dare dare
nir nain mein bhare
odh kar kafan pade mazar dekhte rahe
karwan guzar gaya ghubar dekhte rahe
mang bhar chali ki ek jab nai nai kiran
dholaken dhamak uthin thumak uthe charan charan
shor mach gaya ki lo chali dulhan chali dulhan
ganw sab umad pada bahak uthe nayan nayan
par tabhi zahar bhari
gaj ek wo giri
punchh gaya sindur tar tar hui chunari
aur hum anjaan se
dur ke makan se
palki liye hue kahaar dekhte rahe
karwan guzar gaya ghubar dekhte rahe
- gopaldas-neeraj
mere sapnon ka jahan
is se pyar hai mujh ko
hansta gata jiwan is ka dhum machate mausam
ganga jamuna ki lahron mein sat suron ke sargam
taj elora jaise sundar taswiron ke album
ye hai mera hindostan
mere sapnon ka jahan
is se pyar hai mujh ko
din albele raaten is ki masti ki saudagar
dharti jaise phut bahi ho dudh ki kachchi gagar
unche unche parbat is ke nile nile sagar
ye hai mera hindostan
mere sapnon ka jahan
is se pyar hai mujh ko
baadal jhume barkha barse pawan jhakole khae
dharti ke phaile aangan mein yun kheti lahrae
jaise bachcha man ki god mein rah rah ke muskae
ye hai mera hindostan
mere sapnon ka jahan
is se pyar hai mujh ko
radha sita chandr gay gay indubaal
nainon mein kajal ke dore surkh gulabi gal
zulfon ki wo chhaya jaise shimla nainital
ye hai mera hindostan
mere sapnon ka jahan
is se pyar hai mujh ko
dholak jagi mehndi lagi rang rangila sawan
sakhiyan mil mil holi khelen sanwarya ke aangan
ghunghat mein gori sharmae piya milan ke karan
ye hai mera hindostan
mere sapnon ka jahan
is se pyar hai mujh ko
raja-rani gudda-guddi aur pariyon ki kahani
bachchon ke jhurmut mein sunae baith ke budhi nani
lori gay matha chume mamta ki diwani
ye hai mera hindostan
mere sapnon ka jahan
is se pyar hai mujh ko
albela punjab hai is ka rumanon ki basti
subh-e-banaras sham-e-awadh aur shaalimar ki masti
bambai jaise shahr hain is mein dilli jaisi basti
ye hai mera hindostan
mere sapnon ka jahan
is se pyar hai mujh ko
ghaalib aur tagore yahin ke mera kali-das
yahin hua tha sachchai ka gautam ko ehsas
yahin liya tha sath ram ke sita ne ban-bas
ye hai mera hindostan
mere sapnon ka jahan
is se pyar hai mujh ko
mandir masjid hain to kahin hain girja aur shiwale
mulla pandit gita aur quran ke hain matwale
hindu muslim sikh isai desh ke sab rakhwale
ye hai mera hindostan
mere sapnon ka jahan
is se pyar hai mujh ko
- zubair-rizvi
kahan hai mera hindostan
main us ko dhundh raha hun
mere bachpan ka hindostan
na bangladesh na pakistan
meri aasha mera arman
wo pura pura hindostan
main us ko dhundh raha hun
wo mera bachpan wo school
wo kachchi sadken udti dhul
lahakte bagh mahakte phul
wo mere khet mere khaliyan
main us ko dhundh raha hun
wo urdu ghazlen hindi git
kahin wo pyar kahin wo prit
pahadi jharnon ke sangit
dehati lahra purbi tan
main us ko dhundh raha hun
jahan ke krishn jahan ke ram
jahan ki sham saloni sham
jahan ki subh banaras dham
jahan bhagwan karen ashnan
main us ko dhundh raha hun
jahan the 'tulsi' aur 'kabir'
'jaysi' jaise pir faqir
jahan the 'momin' 'ghaalib' 'mir'
jahan the 'rahman' aur 'raskhan'
main us ko dhundh raha hun
wo mere purkhon ki jagir
karachi lahore o kashmir
wo bilkul sher ki si taswir
wo pura pura hindostan
main us ko dhundh raha hun
jahan ki pak pawitra zamin
jahan ki mitti khuld-nashin
jahan mahraj 'moinuddin'
gharib-nawaz hind sultan
main us ko dhundh raha hun
mujhe hai wo leader taslim
jo de yak-jehti ki talim
mita kar kumbon ki taqsim
jo kar de har qalib ek jaan
main us ko dhundh raha hun
ye bhuka shair pyasa kawi
sisakta chand sulagta rawi
ho jis mudra mein aisi chhawi
kara de 'ajmal' ko jalpan
main us ko dhundh raha hun
musalman aur hindu ki jaan
kahan hai mera hindostan
main us ko dhundh raha hun
- ajmal-sultanpuri
mujh ko na koi hosh na gham main nashe mein hun
sine se bojh un ke ghamon ka utar ke
aaya hun aaj apni jawani ko haar ke
kahte hain dagmagate qadam main nashe mein hun
wo bewafa hai ab bhi ye dil manta nahin
kambakht na-samajh hai unhen jaanta nahin
main aaj tod dunga bharam main nashe mein hun
fursat nahin hai rone-rulane ke waste
aae na un ki yaad satane ke waste
is waqt dil mein dard hai kam main nashe mein hun
- sahir-ludhianvi
gham-e-jahan se chhuda lo bahut udas hun main
ye intizar ka dukh ab saha nahin jata
tadap rahi hai mohabbat raha nahin jata
tum apne pas bala lo bahut udas hun main
bhatak chuki hun bahut zindagi ki rahon mein
mujhe ab aa ke chhupa lo tum apni banhon mein
mera sawal na talo bahut udas hun main
har ek sans mein milne ki pyas palti hai
sulag raha hai badan aur ruh jalti hai
bacha sako to bacha lo bahut udas hun main
- sahir-ludhianvi