GHAZAL SHAYARI

ARTISTRY OF LYRICAL EXPRESSION

Indulge in the mesmerizing realm of ghazal shayari where each verse is a masterpiece that resonates with the soul. Let the rhythmic flow of poetic expressions transport you to a world of emotional depth and artistic beauty. Whether you seek solace in the mellifluous cadence of words or wish to immerse yourself in the intricate tapestry of emotions, ghazal shayari offers a profound and unforgettable experience.

phirte hain ab bhi dil ko gareban kiye hue
jin wahshiyon pe hain tere ehsan kiye hue
tajdid-e-'ishq kya ho ke barson guzar gae
tujh se koi sukhan bhi meri jaan kiye hue


ab tujh se kya gila ho ke ek 'umr ho gai
hum ko bhi qasd-e-kucha-e-jaanan kiye hue
dil se hui hai phir tere bare mein guftugu
tar aansuon se dida-o-daman kiye hue


ji manta nahin hai ki hum bhi bhula chuken
teri tarah se wa'da-o-paiman kiye hue
kuchh zid mein nasehon ki tujhe chahte rahe
kuchh pasdari-e-dil-e-nadan kiye hue


hum wo ki tujh ko she'r mein taswir kar diya
surat-garan-e-shahr ko hairan kiye hue
bazar sard tha na kharidar kam-nazar
hum khud the apne aap ko arzan kiye hue


ai 'ishq hum se aur bhi honge zamane mein
achchhe-bhale gharon ko bayaban kiye hue
kuchh hum se na-murad ki phirte hain ku-ba-ku
dil ko kisi faqir ka daman kiye hue


wa'da kiya tha us ne kisi sham ka kabhi
hum aaj tak hain ghar mein charaghan kiye hue
ab us ke jaur se bhi gae hum ki jab se hain
apne kiye pe us ko pasheman kiye hue


ye ratjage qubul ki aaram se to hain
rakhte the warna khwab pareshan kiye hue
hum wo asir hain ki zamane guzar gae
band apne aap par dar-e-zindan kiye hue


tark-e-wafa ke ba'd hawas ikhtiyar ki
is karobar mein bhi hain nuqsan kiye hue
jaan-e-'faraaz' marg-e-tamanna ke bawajud
bhule nahin hamin tere ehsan kiye hue


- ahmad-faraz


'umr bhar paikar-e-ehsas mein dhaale na gae
hum wo wahshi the jo khud se bhi sanbhaale na gae
pattharon ko bhi kahan sahl tha patthar hona
ye bhi hassas the jab tak ki uchhaale na gae


kuchh hawaon mein tapish thi so badan jalne laga
aur phir aisa jala jism ke chhaale na gae
aaina-saz tha wo dhaalta tha aaine
aisa dhaala ki mere 'aks nikale na gae


log khush hote rahe dekh hasin maujon ko
hum samundar the kabhi dil se khangale na gae
raat bhar hum bhi safar karte rahe chand ke sath
dagh kuchh hum pe ubhar aae nikale na gae


- ahmad-ayaz


sukut-e-jism ka ehsas jis paikar pe rakkha tha
darin-asna wo jism-e-khak ek mehwar pe rakkha tha
bahut manus si lagne lagi wo lams ki hiddat
larazte hath ko main ne jab us ke dar pe rakkha tha


haqiqat kya 'ayan hoti kisi taswir-e-‘aksi se
wo ek jhuta nazara tha wo jis manzar pe rakkha tha
yaqin mohkam tha wo hai be-hisi ki murti lekin
ye sar phir bhi 'aqidat se usi patthar pe rakkha tha


chhalak jaana tha aankhon se lahu meri kahani par
mere mazi ka har lamha kisi khanjar pe rakkha tha
jab us ko dekhni thi bhid mein bazar ki raunaq
tab us bachche ne ghar ka bojh apne sar pe rakkha tha


- ahmad-ayaz


pahle ek parda hamare samne dala gaya
is tarah dilkash nazara aankh se tala gaya
mustaqil aankhon mein itni raushni dali gai
jis ki phir binai se binai ka haala gaya


chandni bhi tirgi mein tirgi se ja mili
jugnuon ko paikar-e-zulmat mein yun dhaala gaya
dil ke har goshe mein pahle ashk-e-khun boe gae
tab kahin ja kar dilon mein 'ishq ko pala gaya


jism ke sare 'anasir muntashir hone lage
jab mohabbat ko hisar-e-'aql se tala gaya
aakhirash jab raaz sare fash hone wale the
tab kahani mein naya kirdar ek dala gaya


- ahmad-ayaz


mohabbaton ki shakh pe jo khil raha gulab hai
kisi nigah-e-'ishq ki du'a-e-mustajab hai
teri nigah-e-mast ka koi to aaina bane
ye kya ki chashm-e-nam mein bas ki aab hai sarab hai


ulajh gaya na sho’bda-garon ke makr-chakr mein
kaha nahin tha kya tujhe ye rasta kharab hai
sada-e-‘ishq marhaba sada-e-kun zah-e-nasib
khuda ke hum sab aur 'ishq hamara intikhab hai


hamari dhadkanen zara thahar gain to kya hua
hamare bazuon ko tera lams dastyab hai
kabhi to is pe kan rakh kabhi to is ko padh zara
siraat-e-mustaqim ki jo aakhiri kitab hai


bala ki wahshaten liye bala ki naghmagi liye
zamin-e-dil pe roz sham utarta mahtab hai

- ahmad-ayaz


mizaj rakhte ho sha'irana to pas aana
sukhan-sarai ho mo’jizana to pas aana
tawil qurbat mein 'aib-jui ke masale hain
so dur rah kar ho pas aana to pas aana


farar hone ko meri yaadon ki dastaras se
na dhund pao koi bahana to pas aana
bharam hai tum ko tumhaare dar par khade milenge
jo meri rahon pe chal ke aana to pas aana


ki jhut makr-o-fareb se hai gurez mujh ko
jo baat karte ho munsifana to pas aana
khamosh dariya ke paniyon mein bhanwar hain kitne
agar ye chaho tum aazmana to pas aana


masarraton ne kaha tha hans kar 'ayaz' ek din
udasiyon se jab ub jaana to pas aana

- ahmad-ayaz


mausam-e-girya-e-sarshaar mein ro padte hain
khush-nigar kucha-e-aghyar mein ro padte hain
dard jab had se guzar jae to hum ahl-e-sukhan
muskuraate hue ash'ar mein ro padte hain


kitna be-arth hai ye aadmiyon ka jangal
log sad-raunaq-e-bazar mein ro padte hain
dhup mein jab nahin dikhte hain shajar udte parind
baith kar saya-e-diwar mein ro padte hain


khak ho jate hain kuchh phul chaman-zaron mein
aur kuchh tut ke gulzar mein ro padte hain
muntazir jis ke liye thi ye nazar salha-sal
us se milte hue be-kar mein ro padte hain


tang ho jati hai jab sari zamin aadam-zad
sar jhuka kar teri sarkar mein ro padte hain

- ahmad-ayaz


maskh alfaz ko jaise ho ma'ani darkar
meri rudad ko hai ek kahani darkar
mujh mein main hun ya koi aur hai shamil mujh mein
ab meri zat ko hai koi nishani darkar


koi parchhai hatae ki girani hai bahut
jism-e-khasta ko hai ab naql-e-makani darkar
kya 'ajab hai ki samundar hai jahan aab-e-hayat
tishna-lab ko hai usi pani mein pani darkar


kuchh ziyaada hi qarin hai wo chhuri shah-rag se
aur rag rag mein lahu ko hai rawani darkar
is se pahle ki koi khwab dhuan ho jae
chashm-e-tar ko hai mere ashk-fishani darkar


- ahmad-ayaz


karb hai soz hai girani hai
hasb-e-ma'mul zindagani hai
din to kata hai jaise taise abhi
raat se khud-kushi hatani hai


aable yun nahin hain aankhon mein
khub sahra ki khak chhani hai
dost hote to sab khabar rakhte
puchhte kya ho kya kahani hai


muskurane pe chot lagti hai
aur ye chot bhi chhupani hai
apne mazi se dur jaane ko
haal se jang hum ne thani hai


- ahmad-ayaz


kahni hai koi baat to mujh se kaha karen
har 'am-o-tam se na mera tazkira karen
kahti hai shab-nawardi ki tanha guzaren raat
tanhai kah rahi hai chalo rabta karen


bashindagan-e-shahr hain pahle se bad-guman
rai ko dhun ke aur na parbat khada karen
bahrupiyon ke shahr mein khoya hai mera dost
mardum-shanas jo bhi hain chal kar pata karen


zindan-e-ishtiyaq mein jis ne guzari hai
aankhon ko us ke chum len panchhi riha karen
baitha hai ek wahshi parinda jo ped par
wo chahta hai ruh ko tan se juda karen


hum ko udasiyon se pare aur bhi hain kaam
kyunkar darun-e-zat se har dam lada karen

- ahmad-ayaz


jalte hue charagh ki lau se bujha hun main
ya'ni ki tirgi se bana dast-o-pa hun main
itni bhi be-rukhi se na tu darkinar kar
mana ki mawara hun magar masala hun main


mana ki kam-sukhan hun magar be-zaban nahin
ek marhale ke ba'd ghazab bolta hun main
meri kitab-e-rukh ko agar padh sako padho
har lafz lafz dil ki girah kholta hun main


- ahmad-ayaz


hirs-e-duniya jo teri aankh ka tara hua hai
ye kisi ka na hamara na tumhaara hua hai
silwaten yun hi nahin khak-e-badan par hain mere
waqt ke hath ne paikar ye sanwara hua hai


masala sirf meri zat se wabasta nahin
dahr mein har koi taqdir ka mara hua hai
raqs karta hai junun shauq-e-farawani par
jab se ye 'ishq meri jaan dobara hua hai


kanp utthi hai sar-e-sham charaghon ki lau
han kisi ne to mera nam pukara hua hai
us ne toda hai ubalte hue dariya ka ghurur
nakhuda jo abhi manjdhaar se haara hua hai


yun hi honton pe nahin ubhre tabassum ke nuqush
bazm mein to kisi jaanib se ishaara hua hai
yun hi sine se lagata nahin koi bhi 'ayaz'
khak chhani hai to ye dasht hamara hua hai


- ahmad-ayaz


dil se afrang ho gaya hun main
han magar tang ho gaya hun main
rang koi bhi ab nahin chadhta
jab se be-rang ho gaya hun main


fasle hain meri jabin pe naqsh
mil ka sang ho gaya hun main
meri aankhon mein sab ma'ani dekh
misl-e-farhang ho gaya hun main


us ke sae mein jazb rangon ko
dekh kar dang ho gaya hun main
ghaur se dekhte ho kya ai dost
itna be-dhang ho gaya hun main


khud ko pane ki justuju mein 'ayaz'
bhid ka ang ho gaya hun main

- ahmad-ayaz


darun-e-zat teri dastaras mein aae baghair
hum apne aap se niklenge sar jhukae baghair
'ajib khwahish-e-ulfat hai dil-girafta ki
ki 'ishq badhta rahe dard ko badhae baghair


'ajib lams tha kandhe pe us ke rakhte hi sar
sisak ke ro pade hum haal-e-dil sunae baghair
ye ehtijaj-e-gulistan hai kyon ye khushbuen
shanakht pati nahin gul se dur jae baghair


jab un se sirf ishaaron mein baat hai mumkin
to shart rakh di hai kije nazar milae baghair
dilon ko jaanne wale dil-e-fasurda ki
kabhi to sun koi fariyaad hath uthae baghair


use bhi chain kahan mujh se ruth jaane par
mujhe sukun kahan us ko bhi manae baghair

- ahmad-ayaz


ab jo dena hai mere dost mohabbat dena
yun bhi achchha nahin hota hai aziyyat dena
ab teri baat koi mujh ko bhali lagti nahin
chhodta kyon nahin tu yar nasihat dena


gar mujhe dena ho idrak-e-taghazzul ka nisab
mere maula mujhe sau sal ki khalwat dena
main tere lutf-o-‘inayat ka hami to nahin
ho sake to mujhe jaane ki ijazat dena


rasm-e-diwangi ki ek ada ye bhi hai
zakhm-e-taza ko na bharne ki suhulat dena
ab koi aur na yusuf bane farzand-e-chah
bani-ya'qub ko thodi si murawwat dena


'ishq wo qaid-e-masarrat hai ki har lamha 'ayaz'
dil ye kahta hai ye zanjir hata mat dena

- ahmad-ayaz


uljhi hui lakiron ka ye jal dekh kar
'amil bhi ro pada hai meri fal dekh kar
aisi lakir jis pe tera nam tha likha
wo mit gai hai waqt ki ye chaal dekh kar


lalach ke munh mein hirs ka pani sa aa gaya
ghurbat ki bastiyon mein pada kal dekh kar
hakim ki bachhen khil gain aankhon ke sath sath
qarzon ki mad mein aaya hua mal dekh kar


aankhon ki khidkiyon se taka chand ko bahut
hum ne manai 'id tera gal dekh kar
honton ki siskiyon ne chhua hont ko magar
sanson ki chikh dab gai wo khal dekh kar


din ne tere wujud se raushan kiya jahan
utri na shab mein raat tere baal dekh kar
din bhar pukarta hun tera nam leta hun
aaega tujh ko rahm mera haal dekh kar


- aftab-shah


shak mein jakde se sawalat kahan jaante hain
'ishq wale ye khurafat kahan jaante hain
aap waqif hain mere dost hasin lafzon se
badle lahjon ki karamat kahan jaante hain


aap ne dekha hai dariya ko magan bahte hue
is mein dube jo mazafat kahan jaante hain
jab wo bichhdega to sochon ka bhanwar kahta hai
apni hogi bhi mulaqat kahan jaante hain


aap ne jis ko bana rakkha hai bhola-bhaala
us ki masti ke kamalat kahan jaante hain
gham ki inton se makan apna banane wale
rasm-e-ulfat ke mazaraat kahan jaante hain


mang lete hain bharose pe ki wo de dega
hum khata-kar munajat kahan jaante hain

- aftab-shah


palken hain qafiye teri aankhen radif hain
honton ki nazmen bahr mein baham halif hain
chalne mein ek rawani hai uthna salis hai
misre badan ki shakh pe wahshi harif hain


mufrad hai teri zat murakkab ke husn se
dil ki ghazal mein dub ke fiqre latif hain
sharm-o-haya ki masnawi bandish ka wird hai
kafir adaen she'r mein jakdi nazif hain


matla' sa jism band hai tarkib-e-'ishq se
honton ke khal konon pe raushan kasif hain
rangat teri qaside ki tashbib se judi
qatil nuqush madh mein dhalte 'afif hain


'ilm-e-'aruz ne tujhe aisa kiya ki ab
mauzun khayal nasr ke lagte khafif hain

- aftab-shah


kitab aankhen fasana chehra ghazal nigahen hasin mukhda
radif rangat qawafi zulfen hansi safina nagin mukhda
rabab bandish badan qasida gurez joban bahaar fitna
shabab misra' jamal matla' qital maqta' matin mukhda


kamal lahja nafis baaten waqar fiqre buland aahang
sulagti qurbat pighalta nakhra adaen qatil mu’in mukhda
fasih abru baligh palken saqil joda salasi zulfen
zaqan latifi nazar rumuzi hasin ruba'i fatin mukhda


bayan shagufta khayal sada mizaj mantiq salis jumle
sarapa urdu latif jismi wujud nazmi sabin mukhda
jamil mukhda nazir mukhda ‘aqiq mukhda ‘atiq mukhda
nasim mukhda rafiq mukhda 'azim mukhda mubin mukhda


- aftab-shah


hamare ghaw kabhi hum ko bhi dikhai den
'ilaj aisa karo khud ko hum sunai den
koi tabib bhi chaaragari pe raazi nahin
mazar-e-zist pe ab kis ko hum duhai den


mukar gaya hai mera yar apne wa'de se
mubaraki mein use kyon na hum mithai den
wafa ka sunte hi kuchh log mujh se kahte hain
janab aap bhi is ki kabhi safai den


ye kya ki faiz tera auron mein hi batta hai
kabhi to nain tere hum ko bhi rasai den

- aftab-shah


chand chhune ke tasawwur se machal jata hun
tujh ko sochun to usi waqt bahal jata hun
tum wo dhaga ho jo lipta hai mere sine se
aag lagti hai tumhein aur main jal jata hun


din ko saya sa bhatakta hun badan-zaron mein
raat padte hi kisi ruh mein dhal jata hun
na-khudaon se khudaon ke bharose pe sada
hadisa hota nahin aur badal jata hun


waise faulad hun ziddi hun iradon mein magar
samne ho wo to lamhon mein pighal jata hun
jis mein ghibat ko mohabbat se nikhaara jae
aisi majlis se sar-e-dast nikal jata hun


kar ke paband khuli aankh zamane ke liye
sochen izhaar ki chup-chap nigal jata hun
jaane kis karb se guzre hain mohabbat wale
un ki chikhon ko jo sunta hun dahal jata hun


dard badhta hai to lagta hai ki jaan le lega
teri aaghosh mein simtun to sanbhal jata hun

- aftab-shah


munhasir subh se ye sham kahin behtar hai
sone ke pinjre se turbat ka makin behtar hai
zist kahti hai bhanwar chhod kinare pe chalo
pyas kahti hai thahar jao yahin behtar hai


mujh se pahle meri khuddari madad-garon se
kahne lagti hai jahan hun main wahin behtar hai
jab bhi tute hue tare ko mili god is ki
tab sitare ko laga 'shams' zamin behtar hai


- aditya-tiwari-shams


meri ye zindagi had se ziyaada kya hogi
bahut ziyaada bhi hogi to bas fana hogi
kisi kam-‘aql ka kalima bhi hoga ek bakwas
kisi zahin ki gali bhi falsafa hogi


bhugat raha hun saza mazi ki main ban kar khar
aur aaj khar hun kal is ki bhi saza hogi
tumhaare ba'd mujhe maut se bhi kya hoga
tumhaare ba'd meri zindagi bhi kya hogi


mere jahan mein aane ka kya sabab hai 'shams'
mere jahan se jaane ki wajh kya hogi

- aditya-tiwari-shams


mere ham-sae ko mujh se ji churana aa gaya
jab main us ke samne jaisa tha waisa aa gaya
mutmain tha pure ghar mein raushni bhar dunga aaj
pahla dipak hi jala aur khud ka saya aa gaya


phir bataunga sabhi ko sar jhukane ka hunar
pahle khud hairan ho lun ye mujhe kya aa gaya
chhune ki zid mein use mahsus kar paya nahin
pyas hi le kar gaya tha aur pyasa aa gaya


kya andhera mit gaya sab ne faqat puchha yahi
kab kisi ko thi tasalli dip zinda aa gaya

- aditya-tiwari-shams


kaise khud hi kahun ki kya hun main
tum kaho tum ko kya laga hun main
ab ke jab hosh aa gaya mujh ko
un ke kuche se ja raha hun main


nind mein khwab dekhte hain sab
khwab mein nind dekhta hun main
tum to mere liye khade hote
tum ko ma'lum tha na kya hun main


'shams' dair-o-haram ki basti mein
ek hi mai-kada bacha hun main

- aditya-tiwari-shams