HAMD SHAYARI: EXPRESS YOUR PRAISES AND GRATITUDE
EXPERIENCE THE REVERENCE OF HAMD SHAYARI
Dive into the divine realm of hamd shayari and let your words overflow with admiration, praises, and thankfulness. These poetic expressions serve as a medium to convey your devotion and reverence. Discover the beauty and power of hamd shayari as it fills your heart with gratitude and spirituality. Allow the essence of this poetic form to elevate your soul and connect you with the divine presence through the power of words.
ai zamiin aasmaan ke maalik
saarii duniyaa jahaan ke maalik
tere qabze me.n sab khudaa.ii hai
tere hii vaaste ba.daa.ii hai
aa.ii mausam se tang jab khilqat
tuu ne mausam kii dii badal suurat
garmiyaa.n ho ga.ii.n ajiiran jab
tuu ne barsaat bhej dii yaa-rab
sab ke garmii se the khataa ausaan
me.nh barasne se aa.ii jaan me.n jaan
ga.e jab log me.nh se sab ghabraa
hukm se tere chal pa.dii pachhu.aa
jaa.daa aa pahu.nchaa aur ga.ii barsaat
dam ke dam me.n badal ga.e din-raat
phir lagii pa.dne jab bahut sardii
mushkil aasaan tuu ne phir kardii
jaa.daa aakhir hu.aa aur aa.ii bahaar
jangal aur tiile ho ga.e gulzaar
tuu yuu.nhii rut pe rut badaltaa rahaa
yuu.nhii duniyaa kaa kaam chaltaa rahaa
saarii duniyaa jahaan ke maalik
tere qabze me.n sab khudaa.ii hai
tere hii vaaste ba.daa.ii hai
aa.ii mausam se tang jab khilqat
tuu ne mausam kii dii badal suurat
garmiyaa.n ho ga.ii.n ajiiran jab
tuu ne barsaat bhej dii yaa-rab
sab ke garmii se the khataa ausaan
me.nh barasne se aa.ii jaan me.n jaan
ga.e jab log me.nh se sab ghabraa
hukm se tere chal pa.dii pachhu.aa
jaa.daa aa pahu.nchaa aur ga.ii barsaat
dam ke dam me.n badal ga.e din-raat
phir lagii pa.dne jab bahut sardii
mushkil aasaan tuu ne phir kardii
jaa.daa aakhir hu.aa aur aa.ii bahaar
jangal aur tiile ho ga.e gulzaar
tuu yuu.nhii rut pe rut badaltaa rahaa
yuu.nhii duniyaa kaa kaam chaltaa rahaa
- altaf-hussain-hali