HUSN SHAYARI: CELEBRATE THE ALLURE OF BEAUTY

EXPLORE THE CHARM OF HUSN SHAYARI

Immerse yourself in the enchanting realm of husn shayari and let your verses portray the splendor of beauty. Express your awe and appreciation for the mesmerizing grace and elegance that surrounds you. Let the poetry of husn shayari celebrate the allure and charm of beauty, painting a vivid picture of the captivating world of aesthetics and admiration.

Meri aankhen aur deedar aap ka

ya qayamat aa gayi ya khwab hai!

-


Ab aur der na kar hashr barpa karne mein

meri nazar tere deedar ko tarasti hai!

-


Jab tere nain muskurate hain

zeest ke ranj bhool jate hain!

-


Fizao ka mausam jaane ke baad baharo ka mausam aaya

gulab se gulab ka rang tere gaalon par aaya



tere naino ne kaali ghata ka jab kajal lagaya

jawani jo tum par aayi to nasha meri aankhon mein aaya!

-


Chand sa tera masoom chehra tu haya kee ek murat hai

tujhe dekh ke kaliyan bhi sharmaye tu itni khoobsurat hai!

-


Jheel achhi
kanwal achha ki jaam achha hai

teri aakhon ke liye kaun sa naam achha hai!

-


Khushbu bikharti hui gulab ki kali ho

titli si udti hui naazo se pali ho



sangmarmari badan liye sancho mein dhali ho

kitno ko loot liya tum wo manchali ho!

-


Sirf aankhon ko dekh ke kar li unse mohabbat

chhod diya apne muqaddar ko uske naqaab ke peeche!

-


Koi aag jaise kohre mein dabi dabi si chamke

teri jhilmilati aankhon mein ajeeb sa samaa hai!

-


Meri nigah-e-shauq bhi kuch kam nahi magar

phir bhi tera shabab tera hi shabab hai!

-


Abhi kamsin ho
rehne do
kahin kho dogi dil mera



tumhare hi liye rakha hai
le jaana jawaan ho kar!

-


Kitna hasin chaand sa chehra hai

uspe shabab ka rang gehra hai



khuda ko yakin na tha wafa pe

tabhi to ek chaand pe hazaaro taaro ka pehra hai!

-


Yeh udi udi si rangat ye khilay khilay se ghaisu

teri subah keh rahi hai teri raat ka fasana!

-


Ek toh husn bala us pe banawat aafat

ghar bigdenge hazaron ke sanwarne wale!

-


Bhanp hi lenge ishara sar-e-mehfil jo kiya

taadne wale qayamat ki nazar rakhte hain!

-


Gulaab aankhein sharab aankhein

yahi to hai lajawab aankhein



inhi mein ulfat inhi mein nafrat

sawal aankhein jawaab aankhein!

-


Tum phir usi ada se angdayi le ke hans do

aa jayega palat kar guzra hua zamana!

-


Hum hue tum hue ki 'meer' hue

us ki zulfon ke sab aseer hue!



*aseer: prisoner
captive

-


Husn baaton mein bhi paida kijiye

saamne aaina rakha kijiye !

-


Hasrat hai sirf humein tumhe paane kee

aur koi khawahish ab nahi is deewane kee



shikwa humein tumse nahi khuda se hai

kya zarurat thi tumhe itna khoobsurat banane kee!

-


Fizao ka mausam jaane ke baad baharo ka mausam aaya

gulab se gulab ka rang tere gaalon par aaya



tere naino ne kaali ghata ka jab kajal lagaya

jawani jo tum par aayi to nasha meri aankhon mein aaya!

-


Chand sa tera masoom chehra tu haya kee ek murat hai

tujhe dekh ke kaliyan bhi sharmaye tu itni khoobsurat hai!

-


Zindagi bahut khoobsurat hai sab kehte hain

jis din tujhe dekha yakeen aa geya!

-


Jheel achhi
kanwal achha ki jaam achha hai

teri aakhon ke liye kaun sa naam achha hai!

-


Khushbu bikharti hui gulab ki kali ho

titli si udti hui naazo se pali ho



sangmarmari badan liye sancho mein dhali ho

kitno ko loot liya tum wo manchali ho!

-