INTZAAR SHAYARI: WAITING IN HOPE

DISCOVER THE DEPTH OF EMOTIONS IN INTZAAR SHAYARI

Delve into the profound emotions of anticipation, yearning, and hope with intzaar shayari, where each verse unravels the essence of waiting in hopeful expectation. Let the intertwining feelings of longing and excitement permeate through the captivating poetry, resonating with the soul's patience and eagerness for what the future holds. Embrace the beauty and complexity of intzaar shayari as it captures the essence of waiting with optimism and anticipation for what is yet to unfold.

Itna aitbaar to apni dhadkanon par bhi humne na kiya

jitna aapki baaton par karte hain



itna intezar to apni saanson ka bhi na kiya

jitna aapke milne ka karte hain!

-


Jeene ki khwaish mein har roz marte hain

wo aaye na aaye hum intezaar karte hain



jutha hi sahi mere yaar ka vaada

hum sach maankar aitbar karte hain!

-


Wo jo hath bhar ka tha fansla
kai mausmon main badal gya

useh napte useh katte mera sara waqt guzar gya!

-


Aap ki nigah agar meharban ho jae

main jis zameen pe hoon woh asman ho jai



hai ab bhi aap ko shak mere dosti par

to phir ik baar mera imtehaan ho jai!

-


Jisne haq diya muje muskurane ka

ushe shauk hai ab muje rulane ka



jo lehron se cheen kar laya tha kinaro par

intzar ha use ab mere dub jane ka!

-


Kuch roz yeh bhi rang raha intezar ka

aankh uth gayi jidhar bas udhar dekhte rahe!

-


Bikhra pada hai tere hi ghar mein tera wajood

bekaar mehfilon mein tuje dhoondhta hun mein!

-


Tamaam raat mere ghar ka aik dar khulaa raha

mein raah dekhti rahi woh raasta badal geya!

-


Phir aaj koi gazal tere naam na ho jaye

kahin likhte likhte shaam na ho jaye



kar rahe hain intezaar teri mohabbat ka

isi intezaar me zindagi tamam na ho jaye!

-


Palkon pe ruk gaya hai samundar khumaar ka

kitnaa ajab nashaa hai tere intezaar ka!

-


Un ke khat ki arzoo hai
un ki aamad ka khayal

kiss qadar phaila hai karobaar-e-intezaar!

-


Main intezar ka qaayal na tha magar tum ne

lagaa diya mujhe deewaar se gharri ki tarah!

-


Intezar to bahut tha humein

lekin aaye na woh kabhi



hum to bin bulaaye hi aa jaate

agar hota unhe bhi intezar kabhi!

-


Roothi hui aankhon mein intezar hota hai

na chahte hue bhi pyar hota hai



kyun dekhte hain hum wo sapne

jinke tutne par bhi unke sach hone ka intezar hota hai!

-


Intezar rehta har shaam tera

yaadein katati hain le-le kar naam tera



muddat se baithe hain yeh aas paale dil mein

ki aaj aayega koi lekar paigaam tera!

-


Dil mein umeed kee shama jala rakhi hai

humne apni alag duniya basa rakhi hai



iss umeed ke saath ki aayega kabhi paigam aapka

humne to har pal darwaze par nazrein tika rakhi hain!

-


Ab in hudud mein laya hai intezar mujhe

wo aa bhi jayein to aaye na aitabar mujhe!



translation:
hudud = limits
boundries

-


Mat intezar karvao humse itna ki waqt ke faislon pe tumhe bhi afsos ho jaye

kya pta tum baat karne aao aur tab tak humari rooh hi khamosh ho jaye!

-


Intezar to bahut tha humein lekin aaye na woh kabhi

hum to bin bulaye hi aa jaate agar hota unhe bhi intezar kabhi!

-


Uske intezar ke maare hain hum

bas uski yaadon ke sahare hain hum



duniya jeet kar kya karna hai ab

jise duniya se jeeta tha
aaj usi se haare hain hum!

-


Marne ke baad bhi meri aankhein khuli rahin

aadat jo padh gayi thi tere intezar kee!

-


Kyun khud ko beqarar kiye ja rahe hain

kis bewafa ko pyaar kiye ja rahe hain



aaya jo na sanam kabhi
aur na ayega phir kabhi

kyun uska intezar hum muddat se kiye ja rahe hain!

-


Yeh na thi hamari kismat ki visaal-e-yaar hota

agar aur jeete rehte yahi intezar hota



tere vaade par jiye hum to yeh jaan jhooth jaana

ki khushi se mar na jaate agar aitbar hota!



translation:
it was never in my fate to be united with my beloved

if i had lived any longer


it would be nothing but more waiting.
waiting with those promises that i know to be falsities

had i belief in them


i would have died of joy.

-


Yun palke bicha kar tera intezar karte hain

yeh wo gunah hai jo hum baar baar karte hain



jalakar hasrat kee raah par chirag arzoo ke

hum subah aur sham tere milne ka intezar karte hain!

-


Dil kee baatein bata deti hain aankhein

dhadkano ko jaga deti hain aankhein



dil pe chalta nahi jadu chehron ka kabhi

dil ko tu deewana bana deti hain aankhein!

-