IZHAAR SHAYARI: LET YOUR EMOTIONS RADIATE
CONVEY YOUR INNERMOST FEELINGS THROUGH IZHAAR SHAYARI
Immerse yourself in the enchanting realm of izhaar shayari where your emotions find a voice through eloquent verses. Let the poetry illuminate the beauty of expressing your deepest sentiments, desires, and emotions, resonating with the soul-stirring power of heartfelt words. Explore the art of communication and connection through izhaar shayari, allowing your feelings to shine and touch the hearts of others in a profound and meaningful way.
Daag itraye hue phirte hain aaj
shayad unki aabru hone lagi!
itraye: flaunt
strut
aabru: respect
shayad unki aabru hone lagi!
itraye: flaunt
strut
aabru: respect
-
Sina hai ek yaas ka sahra liye hue
dil rang-e-gulsitan-e-tamanna liye hue!
dil rang-e-gulsitan-e-tamanna liye hue!
-
Daag itraye hue phirte hain aaj
shayad unki aabru hone lagi!
itraye: flaunt
strut
aabru: respect
shayad unki aabru hone lagi!
itraye: flaunt
strut
aabru: respect
-
Abhi mazaar par ahbaab fatiha padh len
phir is qadar bhi hamara nishaan rahe na rahe!
mazaar: grave
ahbaab: friends
fatiha: prayer for the dead
phir is qadar bhi hamara nishaan rahe na rahe!
mazaar: grave
ahbaab: friends
fatiha: prayer for the dead
-
Zulm hai gar na do sakun ki daad
qahar hai gar karo na mujhko pyaar!
qahar hai gar karo na mujhko pyaar!
-
Apne haathon se saja aur mujhe sandal kar de
dil ki basti mein ajab pyaar ki hulchal kar de!
dil ki basti mein ajab pyaar ki hulchal kar de!
-
जिस पे तेरा करम यार है।
फिर कहाँ उस को ग़म यार है।
हर घङी तू ने हर हाल में।
मेरा रक्खा भरम यार है।
मंजिले-इश्क़ में राहबर।
तेरा नक़्शे क़दम यार है।
शोहरतेंजो हैं हासिल मुझे।
'सब ये तेरा करम यार है।'
पी के अमृत नज़र से तिरी।
बेअसर मुझ पे सम यार है।
कैसे तेरा क़सीदा लिखूँ।
मेरा आजिज़ क़लम यार है।
तेरी चौखट का जो है गदा।
वो गदा मोहतरम यार है।
नाम लब पर है जब से तिरा।
दूर हर एक ग़म यार है।
ज़ाकिरों में है तेरे
क़मर। ये करम कोई कम यार है।
क़मर। ये करम कोई कम यार है।
-
Aankhon ki zubaan woh samajh nahi paate
honth magar kuch bhi keh nahi paate
apni bebasi kis tarah kahe
koi hai jis ke bina hum reh nahi paate!
honth magar kuch bhi keh nahi paate
apni bebasi kis tarah kahe
koi hai jis ke bina hum reh nahi paate!
-
Main chahta hun aik aasiyana ho
jo wabasta sirf tum se ho!
jo wabasta sirf tum se ho!
-
Unhe chahana hamari kamzori hai
unse keh nahi pana hamari mazboori hai
wo kyon nahi samajhte hamari khamoshi ko
kya pyaar ka izhaar karna zaroori hai!
unse keh nahi pana hamari mazboori hai
wo kyon nahi samajhte hamari khamoshi ko
kya pyaar ka izhaar karna zaroori hai!
-
Use.e mohabbat hai hum se lekin kabhi zabaan se kaha nahi hai
nigaah padhne mein hum hain maahir use ye shayad pata nahi hai!
nigaah padhne mein hum hain maahir use ye shayad pata nahi hai!
-
Tujhe bhool jana to mumkin nahin hai
magar bhool jane ko jee chahata hai!
magar bhool jane ko jee chahata hai!
-
Ab tere zikar pe hum baat badal dete hain
kitni raghbat thi tere naam se pehle-pehle!
kitni raghbat thi tere naam se pehle-pehle!
-
Log har mod pe ruk-ruk ke sambhalte kyon hain
itna darte hain to phir ghar se nikalate kyon hain
main na jugnu hun na diya hun na koi tara hun
roshni wale mere naam se jalte kyon hain!
itna darte hain to phir ghar se nikalate kyon hain
main na jugnu hun na diya hun na koi tara hun
roshni wale mere naam se jalte kyon hain!
-
Mustaqil ab bujha bujha sa hai
akhir is dil ko ye hua kya hai!
akhir is dil ko ye hua kya hai!
-
Agar main sach kahun to sabar hi ki azmaish hai
ye mitti imtihan pyare ye paani azmaish hai!
ye mitti imtihan pyare ye paani azmaish hai!
-
Bhanp hi lenge ishara sar-e-mehfil jo kiya
tadne wale qayamat ki nazar rakhte hain!
tadne wale qayamat ki nazar rakhte hain!
-
Jaane kab aapki aankhon se izhaar hoga
aapke dil mein humare liye pyaar hoga
guzar rahi hai yeh raat aapki yaad mein
kabhi toh aapko bhi humara intezaar hoga!
aapke dil mein humare liye pyaar hoga
guzar rahi hai yeh raat aapki yaad mein
kabhi toh aapko bhi humara intezaar hoga!
-
Khwahish aisi karo ki aasman tak ja sako
dua aisi karo ki khuda ko pa sako
yun toh jeene ke liye pal bahut kam hain
jiyo aise ki har pal mein zindagi pa sako!
dua aisi karo ki khuda ko pa sako
yun toh jeene ke liye pal bahut kam hain
jiyo aise ki har pal mein zindagi pa sako!
-
Kal par hi rakho wafa ki baatein
main aaj bahut bhuja hua hun!
main aaj bahut bhuja hua hun!
-
Kab unki palkon se izhaar hoga
dil ke kisi kone mein hamare liye pyar hoga
guzar rahi hai raat unki yaad mein
kabhi to unko bhi hamara intezar hoga
dil ke kisi kone mein hamare liye pyar hoga
guzar rahi hai raat unki yaad mein
kabhi to unko bhi hamara intezar hoga
-
Aao mere karib itna
Ki tujh apna bana lon mein
Kar ke pyar ka izhaar aaj
Seene se tujh laga lon mein.
Ki tujh apna bana lon mein
Kar ke pyar ka izhaar aaj
Seene se tujh laga lon mein.
-
Har shaam se tera izhaar kiya karte hai
har khawab mein tera deedar kiya karte hai
deewane hi to hai ham tere
jo har waqt tere milne ka inetzaar kiya karte hai.
har khawab mein tera deedar kiya karte hai
deewane hi to hai ham tere
jo har waqt tere milne ka inetzaar kiya karte hai.
-
Zakhm itna gehra hai izhaar kya kare
hum khud nishana ban gaye waar kya kare
soo gaye hum magar khuli rahi aankhen
iss se zyada hum unka intezaar kya kare.
hum khud nishana ban gaye waar kya kare
soo gaye hum magar khuli rahi aankhen
iss se zyada hum unka intezaar kya kare.
-
Apne hato se yu chahere ko chupate kyu ho
mujse sharmate ho to saamne aate he kyu ho
kabhi tum bhi kar lo meri tarha izhaar e pyar ka
pyar karte ho to phir pyar ko chupate bhi kyu ho.
mujse sharmate ho to saamne aate he kyu ho
kabhi tum bhi kar lo meri tarha izhaar e pyar ka
pyar karte ho to phir pyar ko chupate bhi kyu ho.
-