JUDAAI SHAYARI: EXPRESS THE PAIN OF SEPARATION

CONVEY THE EMOTIONS OF LOSS IN JUDAAI SHAYARI

Immerse yourself in the heart-wrenching realm of judaai shayari where the poignant feelings of separation, solitude, and sorrow are elegantly expressed through poetic verses. Let the words convey the profound pain of distance and longing, capturing the essence of heartbreak and the longing for togetherness. Explore the depth of emotions in judaai shayari as it articulates the anguish of separation and the fervent hope for a reunion that transcends the emptiness of solitude.

Ab ke hum bichhade toh shayad kabhi khwabon mein milen

jis tarah sookhe hue phool kitabon mein milen!

-


Dil abaad kahan reh paaye us ki yaad bhula dene se

kamra veeran ho jata hai ik tasveer hata dene se!

-


Mere khwabon se ojhal us ka chehra ho gaya hai

main aisa chahta kab tha par aisa ho gaya hai!

-


Milna tha ittefaq bichhadna naseeb tha

wo utni door ho geya jitna qareeb tha!

-


Yun to ek thikana mera bhi hai ai sanam

par tere bina main gumshuda sa mehsoos karta hun!

-


Us ko juda hue bhi zamana bahut hua

ab kya kahein yeh qissa purana bahut hua



hum khuld se nikal to gaye hain par ai khuda

itne se waqiye ka fasana bahut hua!

-


Mana ke gham ke baad milti hain muskurahtein

lekin jiyega kaun teri berukhi ke baad!

-


Chala gaya hai tassavuur ki sarhadon se pare

wo ek shakhs jo aksar raha hai aankhon mein!

-


Mohabbat ki to koi hadd
koi sarhad nahi hoti

hamare darmiyan ye fasle kaise nikal aaye!

-


Ye hadsa hai magar us taraf hua bhi nahi

judaa hua bhi to us se jo jaanta bhi nahi!

-


Safar mein aise kayi marhale bhi aate hain

har ek mod pe kuch log choot jaate hain!

-


Tere firaq mein ghutnon chali hai tanhai

khayal-o-khwab mein phuli-phali hai tanhai!

-


Kya jald guzarti hain shab-e-vasl ki ghadiyan

ik hijr ka din hai ki guzarta hi nahi hai!

-


Raat hai chand hai sitare hain

be-saharon ke sau sahare hain!

-


Hijr insan ke khad-o-khal badal deta hai

kabhi fursat mein mujhe dekhne aana mere dost!
* khad-o-khal - features


shape
physique

-


Khwab ki tarah bikhar jaane ko jee chahta hai

aisi tanhai ki mar jane ko jee chahta hai!

-


Jaate jaate un ka rukna aur mud kar dekhna

jaag utha aah mera dard-e-tanhai bahut!

-


Ek wahi shakhs mujhko yaad raha

jisko samjha tha bhool jaunga!

-


Main jata hun dil ko tere paas chore

meri yaad tujhko dilata rahega!

-


Zamaana mujh se juda ho gaya zamaana hua

raha hai ab to bichhadne ko mujh se tu baaki!

-


Juda kisi se kisi ka gharaz habib na ho

ye daagh wo hai ki dushman ko bhi naseeb na ho!

-


Mat puch ki kya haal hai mera tere peeche

tu dekh ki kya rang hai tera mere aage!

-


Mud ke dekha to humein chhod ke jati thi hayat

hum ne jana tha koi bojh gira hai sar se!

-


Ab ye sochun to bhanwar zehn mein pad jaate hain

kaise chehre hain jo milte hi bichhad jaate hain!

-


Kismat se halat badal jate hai
koshish se din raat badal jate hai aati hai musibat insaan pe to
dosto ke khayalat badal jate hai.....

-