KAH-MUKARNIYAN SHAYARI: DELVE INTO WITTY VERSES

EXPERIENCE THE CHARM OF IRONY IN KAH-MUKARNIYAN SHAYARI

Embark on a journey into the realm of kah-mukarniyan shayari where irony takes center stage in clever and humorous verses. Explore the art of blending wit and sarcasm in poetic expressions that not only entertain but also stimulate the intellect. Let the words of kah-mukarniyan shayari provoke a smile, evoke contemplation, and showcase the beauty of irony in its most delightful form.

tahziibo.n kii shaan hai is me.n
saaraa hindostaan hai is me.n
duniyaa bhar me.n jis kii khushbuu
ai sakhii english


naa sakhii urdu

- aadil-aseer-dehlvi


miithii chiize.n khaa.e.nge ham
na.e na.e kap.de laa.e.nge ham
jab bhii hogii us kii diid
ai sakhii mela


naa sakhii iid

- aadil-aseer-dehlvi


dekhuu.n to miraa jii lalchaa.e
na.e ra.ng aur svaad me.n aa.e
naariyal choklet aam aur kaafii
ai sakhii biscuit


naa sakhii toffee

- aadil-aseer-dehlvi


baarish me.n vo naach dikhaa.e
dau.de jhuume par phailaa.e
chi.diyaa ghar me.n jis kaa shor
ai sakhii koyal


naa sakhii mor

- aadil-aseer-dehlvi


mai.n jo karuu.n vo kar ke dikhaa.e
naqal utaare shor machaa.e
uchhle kuude baahar andar
ai sakhii bachcha


naa sakhii bandar

- aadil-aseer-dehlvi


khet me.n upje ja.d kahlaa.e
bachcha buu.dhaa shauq se khaa.e
ghar me.n vo aatii hai aksar
ai sakhii muulii


naa sakhii gaajar

- aadil-aseer-dehlvi


pe.do.n par bhii vo cha.dh jaa.e
shahd kaa chhattaa to.d ke khaa.e
bhaate nahii.n hai.n us ko aaluu
ai sakhii bandar


naa sakhii bhaaluu

- aadil-aseer-dehlvi


narm mulaa.em jii lalchaa.e
mu.nh me.n mere paanii aa.e
dekh ke us kaa pyaaraa jalva
ai sakhii ladduu


naa sakhii halva

- aadil-aseer-dehlvi


khuub hare patto.n kii sabzii
khuun ba.dhaane vaalii sabzii
shauq se khaa.e har ik baalak
ai sakhii shaljam


naa sakhii paalak

- aadil-aseer-dehlvi


mausiiqii kaa maahir bhii thaa
suufii bhii thaa shaa.ir bhii thaa
ko.ii us kaa naam to buujho
ai sakhii gaalib


naa sakhii 'khusrav'

- aadil-aseer-dehlvi


jab ja.ngal me.n bhaage hai vo
dau.d me.n sab se aage hai vo
sher bhii is se dau.d na jiitaa
ai sakhii hirnii


naa sakhii chiitaa

- aadil-aseer-dehlvi


coat paint kii shaan ba.dhaa.e
sardii bhii kuchh duur bhagaa.e
gale me.n jis ko baa.ndhe bhaa.ii
ai sakhii muflar


naa sakhii tie

- aadil-aseer-dehlvi