faqat chand nusKHon ka hai wo safinaShayari By 03 Feb 2021 01:31:56 PMMasnaviifaqat chand nuskhon ka hai wo safina chale aae hain jo ki sina-ba-sina na un ko nabaatat se aagahi hai na aslan khabar madiniyyat ki hai [...] Continue Reading... Share on:
holiAdmin01 Jan 2017 12:30:00 PMMasnaviimuhayya sab hai ab asbab-e-holi utho yaro bharo rangon se jholi idhar yar aur udhar khuban saf-ara tamasha hai tamasha hai tamasha chaman mein dhum-o-ghul chaaron taraf hai idhar dholak udhar aawaz-e-daf hai idhar aashiq udhar mashuq ki saf nashshe mein mast o har yak jam-ba-kaf gulal abraq se sab bhar bhar ke jholi pukare yak-ba-yak holi hai holi lagi pichkariyon ki mar hone har ek sun rang ki bauchhaar hone koi hai sanwari koi hai gori koi champa baran umron mein thodi Continue Reading... Share on:
holiAdmin01 Jan 2017 12:30:00 PMMasnaviiaaj hai roz-e-wasant ai dostan sarw-qad hai bostan ke darmiyan bagh mein hai aish-o-ishrat raat din gul-rukhan bin nain guzarti ek din sab ke tan mein hai libas-e-kesri karte hain sad-barg sun lab ham-sari khub-ru sab ban rahe hain lal zard bagh ka bazar hai is waqt sard chand jaisa hai shafaq bhitar ayan chehra sab ka az-gulal aatish-fishan har chhabeli az-libas-e-kesari taza karti hai bahaare-e-jafri nachti ga ga ke holi dam-ba-dam jyun sabha indar ki dar bagh-e-iram az kabir-o-rang-e-kesar aur gulal abr chhaya hai safed-o-zard-o-lal jiyun jhadi har su hai pichkari ki dhaar daudti hain nariyan bijli ke sar josh-e-ishrat ghar-ba-ghar hai har taraf nachti hain sab takalluf-bar-taraf Continue Reading... Share on: