MAZAHIYA SHAYARI
SPREADING LAUGHTER THROUGH POETRY
Enter the amusing world of mazahiya shayari, where laughter and joy abound in every verse. This collection of shayaris is designed to entertain and amuse, offering a delightful break from the everyday routine. Let the playful and witty lines of mazahiya shayari brighten your day and bring a smile to your face.
shash-jihat nuh falak aaenge nazar do-bata-tin
chhe-bata-nau ke barabar hai agar do-bata-tin
do khilaune jo kabhi hum ne tipai pe dhare
aa gae saf muhandis ko nazar do-bata-tin
talib-e-khair na honge kabhi insan se hum
nam us ka hai bashar us mein hai shar do-bata-tin
munhasir quwwat-e-bazu pe hai daulat-mandi
dekh lo zor mein maujud hai zar do-bata-tin
malak-ul-maut se duniya mein hirasan nahin kaun
jis ko kahte hain nidar us mein hai dar do-bata-tin
biswin raat mahine ki jab aa jati hai
gham mein rah jata hai ghul ghul ke qamar do-bata-tin
zalimo khauf karo aah ko samjho na haqir
lafz-e-allah mein hai is ka asar do-bata-tin
khoti manzil kiye deti hai teri yaad nadim
rah-rau ka abhi baqi hai safar do-bata-tin
do-bata-tin ki rakkhi hai jo ai 'josh' radif
she'r bhi nikle hain maqbul-e-nazar do-bata-tin

- josh-malsiani
ye mahfil-e-sukhan thi may ke mahine mein
shaer sabhi nahae hue the pasine mein
zinda rahenge hashr tak un shairon ke nam
jo is mushaira mein sunae gae kalam
sadr-e-mushaira ki janab-e-'khumar' the
bekas the be-watan the gharib-ud-dayar the
'mahir' the be-qarar to 'ahqar' the bad-hawas
'kausar' pukarte the ki pani ka ek glass
'shauq' o 'nushur' o 'sahir' o 'shaer' 'figar' o 'raaz'
ek maqbare mein dafn the jumla shahid-e-naz
aisa bhi ek waqt nazar se guzar gaya
jab 'sabri' ke sabr ka paimana bhar gaya
ye mehman the aur koi mezban na tha
in all-indiyon ka koi qadr-dan na tha
garmi se dil-girafta na tha sirf ek 'amir'
kitne hi shairon ka wahan uth gaya khamir
ro ro ke kah raha tha ek ustad-e-dhampur
mara dayar-e-ghair mein mujh ko watan se dur
al-qissa shairon ki wo mitti hui palid
shaer samajh rahe the ki hum ab hue shahid
wo shaeron ka jamm-e-ghafir ek hall mein
dam todte hon jaise mariz aspatal mein
wo tishnagi wo habs wo garmi ki al-aman
munh se nikal padi thi ek ustad ki zaban
shaer the band ek cinema ke haal mein
panchhi phanse hue the shikari ke jal mein
wo pyas thi ki jam-e-qaza mangte the log
wo habs tha ki lu ki dua mangte the log
mausam kuchh aisa garm kuchh itna kharab tha
shaer jo bazm-e-sher mein aaya kabab tha
bazm-e-sukhan ki raat qayamat ki raat thi
hum shaeron ke haq mein shahadat ki raat thi
kuchh ahl-e-zauq lae the sath apne tauliya
nange badan hi baithe the kuchh pir o auliya
pajama o qamis na aaya badan ko ras
baithe the log pahne hue qudrati libas
kaise kahun wo ahl-e-adab bewaquf the
itna zarur hai ki wo mausam-proof the
garmi se muztarib the ye shaer ye samain
kahte the hum pe rahm kar ai rabb-e-alamin
ye aakhiri gunah to ho jae dar-guzar
ab hum mushaira mein na jaenge bhul kar
ye hosh kis ko tha ki wahan kis ne kya kiya
sab ko ye fikr thi ki mile jald khun-baha
haalanki jaan bachne ki surat na thi koi
hukm-e-khuda ki apni qaza multawi hui

- dilawar-figar
rahimullah hua achchha to us ne
ye dekha ho chuki hai partition
gae kuchh bhag aur kuchh mar chuke hain
na neta-singh baqi hai na bhishan
sune is dastan ke jab fasane
to ghusse ne banaya us ko majnun
tadap uttha ki le kaise wo badla
piye in kafiron ka kis tarah khun
na kyun kahla saka wo mard-e-ghazi
na jab ye mil saka wo khub roya
yaka-yak us ke sab palte khayalat
to us ne daman-e-islam chhoda
kinara-kash hua sab bhaiyon se
nae mazhab se rishta apna joda
kai din baad jab nikla wo ghar se
to us ke munh pe dadhi sar pe the baal
nihaala-singh ab tha nam us ka
liye kirpan wo ghusse se tha lal
hazaron khun-fishan arman le ke
khada tha aaj wo masjid ke aage
pakadne ke liye us ko namazi
namazen chhod kar masjid se bhage
laga kar ek nara wahshat-alud
wahi kirpan jhat us ne nikali
laga kar qahqaha phir ek falak-ras
man sine mein apne ghonp dali
tamanna thi ki ek sikh main bhi marun
ye puri tu ne ki allah-taala
bahut khush hun rahimullah-khan ne
nihaala-singh-ji ko mar dala
ye dekha ho chuki hai partition
gae kuchh bhag aur kuchh mar chuke hain
na neta-singh baqi hai na bhishan
sune is dastan ke jab fasane
to ghusse ne banaya us ko majnun
tadap uttha ki le kaise wo badla
piye in kafiron ka kis tarah khun
na kyun kahla saka wo mard-e-ghazi
na jab ye mil saka wo khub roya
yaka-yak us ke sab palte khayalat
to us ne daman-e-islam chhoda
kinara-kash hua sab bhaiyon se
nae mazhab se rishta apna joda
kai din baad jab nikla wo ghar se
to us ke munh pe dadhi sar pe the baal
nihaala-singh ab tha nam us ka
liye kirpan wo ghusse se tha lal
hazaron khun-fishan arman le ke
khada tha aaj wo masjid ke aage
pakadne ke liye us ko namazi
namazen chhod kar masjid se bhage
laga kar ek nara wahshat-alud
wahi kirpan jhat us ne nikali
laga kar qahqaha phir ek falak-ras
man sine mein apne ghonp dali
tamanna thi ki ek sikh main bhi marun
ye puri tu ne ki allah-taala
bahut khush hun rahimullah-khan ne
nihaala-singh-ji ko mar dala
- raja-mehdi-ali-khan
'lanhga-sangha' kalma padh
la-ilaha aage padh
aage aap bata dije
meri jaan bacha lije
aage mujhe agar aata
tum se main kyun padhwata
soch na ab be-kar 'rahim'
mar is ko talwar rahim
dur hon us ke sab dukhde
kar de is ke do tukde
la-ilaha aage padh
aage aap bata dije
meri jaan bacha lije
aage mujhe agar aata
tum se main kyun padhwata
soch na ab be-kar 'rahim'
mar is ko talwar rahim
dur hon us ke sab dukhde
kar de is ke do tukde
- raja-mehdi-ali-khan
mahshar mein gae shaikh to aamal nadarat
jis mal ke tajir the wahi mal nadarat
jis mal ke tajir the wahi mal nadarat
- machis-lakhnavi
adab ko jins-e-bazari na karna
ghazal ke sath badkari na karna
ghazal ke sath badkari na karna
- dilawar-figar
duniya taraqqiyon pe hai mabud ki qasam
insan kar raha hai taraqqi qadam qadam
rakkhenge is tarah qad-e-baala ko medium
lambe manush se bandh ke nate ki ab qalam
dhal jaenge shabab se pahle jo apne sin
gamlon mein boe jaenge bachche bhi ek din
insan ne aasman pe qabza dikha diya
is aadmi ke khun ko us mein chadha diya
aurat ka maghz mard ke sar par laga diya
is tajribe ne qais ko laila bana diya
bimar dil ke aap jo motor lagaenge
aashiq firaq-e-yar mein bhonpu bajaenge
kuchh din ke baad aur karenge taraqqiyan
ladke banenge tin ke shishe ki ladkiyan
sar par lagai jaengi diesel ki tankiyan
starter ka kaam karengi dolattiyan
kuchh din ke baad dekhna smart ho gaya
cick marne se aadmi start ho gaya
scienci mojizat
adaon mein dekhna
computeron ka kaam wafaon mein dekhna
pahiye lagae jaenge panw mein dekhna
aabaad honge shahr khalaon mein dekhna
ustad apna man ke shaer machine ko
godenge tracktor se ghazal ki zamin ko
insan cartoon hai putla hansi ka hai
gurde hamare
jism tira
sar kisi ka hai
afsos ka maqam nahin hai khushi ka hai
pandit ke sar mein maghz kisi maulwi ka hai
koshish bhi kar rahe hain hamin ittihad ki
insan jadon ko kat raha hai fasad ki
faulad ki machine haqiqat bataegi
kitni hai tere dil mein mohabbat bataegi
kaise kategi ye shab-e-furqat bataegi
jo haal hai shabab ka haalat bataegi
ab apni aarzu se na hum ko dabaenge
ab ladkiyon ke nakhre crenen uthaenge
heater se shoala husn ka bhadkaya jaega
ab ishq bhi machine se farmaya jaega
shauhar bhi ek machine hai samjhaya jaega
aashiq ko bhi machine se tadpaya jaega
kuchh din ke baad dekhna scienci den se
jannat ko bheje jaenge murde plane se
puchhenge hum se log to hum kya bataenge
kis shakl ka tha aadmi photo dikhaenge
bachchon ko madrason mein na murgha banaenge
rocket bana ke un ko mudarris udaenge
denge dua buzurg ye tifl-e-zahin ko
beta nazar lage na tumhaari machine ko
insan kya tha
bhul na jaen aziz log
insan aur machine mein rakkhen tamiz log
ban kar machine ho gae behad laziz log
mumkin hai pith par likhen horn-please log
'saghar' agar machine se yunhi judenge log
daen se baen hath dikha kar mudenge log
computeron se ja ke mahurat le aaenge
bhagwan ke bhajan bhi recorder sunaenge
pandit bechaare rotiyan kis shai ki khaenge
mandir mein khali baith ke ghanta bajaenge
matlab rahega koi na mulla ke din se
padh lenge log ghar pe namazen machine se
jab se huzur ye kalen ijad ho gain
kitni kalaen hath ki barbaad ho gain
ghundon ke ghar chali gain aabaad ho gain
kitni hi ladkiyan yahan nashad ho gain
khat aashiqi ke likhti nahin dil ke khun se
milne ka wada karti hain ab telephone se
talim de rahe hain to wo bhi machine se
pate hain ab sazaen bhi qaidi machine se
mana ki kaam hota hai jaldi machine se
mazdur ki kharab hai mitti machine se
motor hai jin ke pas wo ahl-e-yaqin hain
paidal hain jitne log wo kaudi ke tin hain

- saghar-khayyami
us ke rukhsar pe hai aur tere hont pe til
tilmilane ki ijazat nahin di jaegi
tilmilane ki ijazat nahin di jaegi
- inayat-ali-khan
lawn mein tin gadhe aur ye notice dekha
ghas khane ki ijazat nahin di jaegi
ghas khane ki ijazat nahin di jaegi
- inayat-ali-khan
subh taqrir yahan sham ko taqrir wahan
chikhte chikhte leader ka gala baith gaya
har gali-kuche mein din raat lagata hai sada
jo de us ka bhi bhala jo na de us ka bhi bhala
chikhte chikhte leader ka gala baith gaya
har gali-kuche mein din raat lagata hai sada
jo de us ka bhi bhala jo na de us ka bhi bhala
- inayat-ali-khan
jaise islam mein hai rasm musalmani ki
waise hi ishq mein hai chaak-garebani ki
gat yahi khun ki hoti hai jo hai pani ki
rut badal jati hai jab fitrat-e-insani ki
hashr mein ho gai sehhat maraz-e-isyan se
ek khurak dawa pi ke pashemani ki
sukh kar ho chuka hai zard mariz-e-gham-e-hijr
fasl ab katne hi wali hai pareshani ki
donon darkhwasten us shokh ne kharij kar din
pahle to wasl ki aur phir nazar-e-sani ki
zindagi kat di jal jal ke jahan mein 'machis'
waqai tu ne badi ishq mein qurbani ki

nazm-e-jahan ko zer-o-zabar dekhta hun main
mada ke ikhtiyar mein nar dekhta hun main
aankhon pe ban rahi hai agar dekhta hun mein
ye jaanta hun un ko magar dekhta hun main
main dekhta nahin hun agar dekhte hain wo
wo dekhte nahin hain agar dekhta hun main
waiz ne mujh mein dekhi hai iman ki kami
waiz mein sirf dum ki kasar dekhta hun main
ab ye hui hai jalwa-numai ki intiha
wo samne date hain jidhar dekhta hun main
allah-re roab-o-dab-e-junun bhagta hai wo
jis ki taraf utha ke nazar dekhta hun main
kahti hai har girah ki rihai muhaal hai
jab chonch se tatol ke par dekhta hun mein
jis waqt mil ke padhte hain donon kitab-e-ishq
wo zer dekhte hain zabar dekhta hun main

abhi to tujhe ek phenti lagi hai
abhi to tere imtihan aur bhi hain
abhi to tere imtihan aur bhi hain
- abeer-abuzari
mushaira mein sunun kaise subh tak ghazlen
ki ghar ko chhod ke fursat se main nahin aaya
ki ghar ko chhod ke fursat se main nahin aaya
- dilawar-figar
mujh se phir meri car tu mange
ek ya do hazar tu mange
is se pahle udhaar tu mange
main tera shahr chhod jaunga
git filmon ke gungunane mein
road par ladkiyan patane mein
is se pahle pitun main thane mein
main tera shahr chhod jaunga
ban na jae khabar badi koi
is se pahle ki phuljhadi koi
phunk de dil ki jhonpadi koi
main tera shahr chhod jaunga
meri khatir kharid le dande
is se pahle kirae ke ghunde
tod den dant mere mustande
main tera shahr chhod jaunga
ek ya do hazar tu mange
is se pahle udhaar tu mange
main tera shahr chhod jaunga
git filmon ke gungunane mein
road par ladkiyan patane mein
is se pahle pitun main thane mein
main tera shahr chhod jaunga
ban na jae khabar badi koi
is se pahle ki phuljhadi koi
phunk de dil ki jhonpadi koi
main tera shahr chhod jaunga
meri khatir kharid le dande
is se pahle kirae ke ghunde
tod den dant mere mustande
main tera shahr chhod jaunga
- ahmad-alvi
aankhen nikal aai hain meri sans ruki hai
jald aa ki teri yaad gala ghunt rahi hai
dawat ki teri bazm mein kyun dhum machi hai
kya baat hai kya koi nai jeb kati hai
waiz ko jo dekho to ghata-top andhera
saqi ko jo dekho to kiran phut rahi hai
kya hai jo nahin ye asar-e-rabt-e-mohabbat
roe to hain wo aur meri aawaz padi hai
sae ki tamanna mein jahan baith gaya hun
chandiya pe wahin tak ke diwar giri hai
chhute nahin chhutti hai tere wasl ki hasrat
ye jonk mere dil ka lahu chus rahi hai
wo un ka zamana tha jahan aql badi thi
ye mera zamana hai yahan bhains badi hai
phir kya hai jo 'machis' nahin ye soz-e-mohabbat
ek barq si rag rag mein mere kaund rahi hai

tuta tha ghar mein kya kya ye arz phir karunga
phir ghar mein kya hua tha ye arz phir karunga
itna bada lifafa aur kaam tha zara sa
kya kaam tha zara sa ye arz phir karunga
mulla na kya kiya tha mulla na kya kya hai
mulla karega kya kya ye arz phir karunga
dekha jo shaikh-ji ne bole ki mukhtasar hai
wo kya hai mukhtasar sa ye arz phir karunga
shanon pe jo pada tha kahne ko tha dupatta
kya kuchh dhaka chhupa tha ye arz phir karunga
ladki classici ki thi ladka classical tha
kaisa tha wo do-shakha ye arz phir karunga
araqunnisa ka nuskha mehrunnisa ne likkha
nuskhe mein kya likha tha ye arz phir karunga
be-wazn sab the shair ruqe magar the wazni
roqon ka wazn kya tha ye arz phir karunga
ladki ne bhi qubula ladke ne bhi qubula
donon ne kya qubula ye arz phir karunga
kuchh arz kar diya hai kuchh arz phir karunga
kya arz phir karunga ye arz phir karunga

- ameerul-islam-hashmi
kahin goli likha hai aur kahin mar
ye golimar likkha ja raha hai
ye golimar likkha ja raha hai
- dilawar-figar
bahut mazlum hai is shahr mein shair ki ghar wali
mohabbat ki ghiza se ab tak us ka pet hai khali
ye gori raat ki tanhaiyon mein ho gai kali
karachi mein jo rahti hai ye aisi hai miyan-wali
'nadim' o 'faiz' ke naqsh-e-qadam par taj hai is ka
adab ki khak par baitha hua sartaj hai is ka
ye us shair ki biwi hai jo shair khandani hai
ghazal jis ki zamin-e-tang mein bhi aasmani hai
is international shair mein dariya ki rawani hai
dubai jeddah abu-dhabi tak is ne khak chhani hai
ghazal padhne se bilkul actor malum hota hai
badhi hain is qadar zulfen 'jigar' malum hota hai
guzarti hai hamesha ghar se bahar zindagi is ki
bahut mahdud ho kar rah gai hai family us ki
sada katti hai bazm-e-shairi mein raat bhi us ki
sahar ke chhe baje hoti hai aksar wapsi us ki
magar shair ki biwi phir bhi us ki nam-lewa hai
jo din mein to suhagan hai magar raaton ko bewa hai
guzarti hai badi mushkil se bechaari ki raat aakhir
kalam-e-'josh' padh ke gham se pati hai najat aakhir
rahegi ghar mein tanha kab talak aurat ki zat aakhir
na ho shauhar to padh leti hai yaadon-ki-baraat aakhir
kalam-e-'josh' tanhai mein ye rozana padhti hai
ki jo rizwan padhta hai wahi rizwana padhti hai
abhi guddu hua hai aur abhi ummid-e-sima hai
jo qabl-az-waqt aa pahunche ye ek aisa zamima hai
bana de ghar ko tarikhi yahi shair ka ima hai
agar shair ka ghar dekho to aasar-e-qadima hai
numaish is tarah shair ne bachchon ki lagai hai
ki jaise us ke majmue ki rasm-e-ru-numai hai
kaha shair ne biwi se ki tum meri qayafa ho
mere bachche mera mazmun hain tum khali lifafa ho
hudud-e-zindagi mein ghair-mamuli izafa ho
mere dil ki hukumat ka tumhin dar-ul-khilafa ho
na jis se pyas bujh pae wo k-m-c ka nal tum ho
haqiqat ye hai meri ghair-matbua ghazal tum ho

- khalid-irfan
hamare sath ki sab ladkiyan ab naniyan hongi
kabhi biscuit thin lekin ab wo baqar-khaniyan hongi
hamare rahnumaon ne kuchh aise bij boe hain
jahan tarbuz ugte the wahan khubaniyan hongi
tumhin socho ki phir baraatiyon ka haal kya hoga
agar shadi mein jackson-heights ki biryaniyan hongi
election phir wo zil-hijj ke mahine mein karaenge
to kya do dant ke woter ki phir qurbaniyan hongi
ajab andaz se jannat mein wo huron pe jhaptenge
magar mullaon ko pakde hue mullaniyan hongi
mere daman mein khush-daman ne ek hira jo dala hai
ye daulat hai to phir kya be-sar-o-samani hongi
jo s-m-s pe har ladke ko dars-e-ishq deti hain
wo sari ladkiyan collage mein kal ustaniyan hongi
yahan tum sajda-e-tazim-e-insan ko baja lao
wahan zanjir mein jakdi hui peshaniyan hongi

ye khatmal ye makkhi ye machchhar ki duniya
ye langur bhaalu ye bandar ki duniya
ye kutton gadhon aur khachchar ki duniya
ye duniya agar mil bhi jae to kya hai
ye aurat ye mardon ye chhakkon ki duniya
nihatton ki hathiyar-bandon ki duniya
ye daku police aur ghundon ki duniya
ye duniya agar mil bhi jae to kya hai
ye choron ye luchchon lafangon ki duniya
ye kamzoron ki aur dabangon ki duniya
tap-e-diq ke bimar changon ki duniya
ye duniya agar mil bhi jae to kya hai
ye bush-junior aur obaamon ki duniya
ye amrikiyon ke ghulamon ki duniya
ye mulla-umr aur usamon ki duniya
ye duniya agar mil bhi jae to kya hai
janabon ki izzat-maabon ki duniya
ye achchhon ki duniya kharabon ki duniya
ye chamchon ko milte khitabon ki duniya
ye duniya agar mil bhi jae to kya hai
ye banduq katon tamanchon ki duniya
ye football ki aur kanchon ki duniya
khushamad mein mashghul chamchon ki duniya
ye duniya agar mil bhi jae to kya hai
hawai jahazon ki railon ki duniya
hawalat ki aur jailon ki duniya
ye trakon ki duniya ye thelon ki duniya
ye duniya agar mil bhi jae to kya hai
raison ki duniya mein kadkon ki duniya
ye be-kar aawara ladkon ki duniya
traffic se bad-haal sadkon ki duniya

wasl ki raat jo mahbub kahe good night
qaeda ye hai ki english mein dua di jae
qaeda ye hai ki english mein dua di jae
- dilawar-figar
mahw-e-hairat hun ki wo setter tha kitna ba-kamal
ishq ke bare mein puchha jis ne parche mein sawal
aise hi setter agar do chaar paida ho gae
dekhna is mulk mein fankar paida ho gae
aam hogi aashiqi collage ke arz-o-tul mein
laila o majnun nazar aaenge ab school mein
ishq ke aadab ladkon ko sikhae jaenge
ghair-ashiq jo hain wo aashiq banae jaenge
aashiqon ko ilm mein perfect samjha jaega
ishq ek compulsory subject samjha jaega
imtihan hoga to puchhe jaenge aise sawal
apni mahbuba ke bare mein kuchh izhaar-e-khayal
ishq ek science hai ya art samjha kar likho
ya ye donon ishq ka hain part samjha kar likho
aaj apne mulk mein aashiq hain kitne fisadi
muntahi in mein hain kitne aur kitne mubtadi
kya talluq tibb-e-yunani ko hai ruman se
compare farhad o majnun ko karo luqman se
ishq kitne qism ka hota hai likho ba-wasuq
fi zamana kya hain aashiq ke faraez aur huquq
ek tahqiqi maqala likh ke samjhao ye baat
shakh-e-ahu par hi kyun rahti hai aashiq ki baraat
kuchh misalen de ke samjhao ye qaul-e-mustanad
ishq awwal dar-dil-e-mashuq paida mi shuad
sar ko kya nisbat hai sang-e-astan-e-yar se
tum ne sar phoda kabhi mashuq ki diwar se
kya sakun milta hai dil ko aah-e-shoala-bar se
garm nale arsh par jate hain kis raftar se
apne andaze se tul-e-sham-e-tanhai batao
sirf takhminan shab-e-hijran ki lambai batao
india ka ek naqsha apni copy par banao
aur phir us mein hudud-e-kucha-e-jaanan dikhao
wasl ki darkhwast par kis ki sifarish chahiye
ishq ke paude ko kitne inch barish chahiye
apni mahbuba ko ek darkhwast english mein likho
us se ye puchho jawab-e-arzu yes hai ki no
kaun se aale se dekhen husn-e-jaanana likho
husn ki miqdar jo nape wo paimana likho
mother-e-laila ne to laila na byahi qais ko
tum agar laila ki man hote to kya karte likho
ek aashiq tin din mein chalta hai unnis mil
tin aashiq kitne din mein jaenge adtis mil
aap kar sakte hain in mein se koi barah sawal
bad-khati ke panch number hain rahe ye bhi khayal

post-man us but ka khat lata nahin
aur jo lata hai padha jata nahin
aashiqi se kyun hum istifa na den
hotalon ka bil diya jata nahin
shaikh-ji motor pe haj ko jaiye
ahd-e-nau mein unt kaam aata nahin
bosa len us sarw-qad ka kis tarah
tar par hum se chadha jata nahin
aashiqon par zulm karna chhod den
kyun-be qasid ja ke samjhata nahin
raat din farmaishen zewar ki hain
hum se ab aashiq raha jata nahin
jal gai cigarette se dadhi shaikh ki
ye magar fashion se baz aata nahin
farbahi ka tanz kyun mushtaq par
teri chakki se to piswata nahin
fees pahle jab talak rakhwa na le
doctor apne bhi ghar jata nahin
baikari mein naukri karni padi
wo siwae cake kuchh khata nahin
teri furqat mein bahut faqe kate
aa ki ab bhuka raha jata nahin
kab se hai mehman tu ai hijr-e-yar
bhai mere ghar se kyun jata nahin
o sitam-gar rokna motor zara
mere khachchar se chala jata nahin
laundry kholi thi us ke ishq mein
par wo kapde hum se dhulwata nahin
hazrat-e-ibn-e-batuta ki ghazal
zid ke mare wo sanam gata nahin
aur jo lata hai padha jata nahin
aashiqi se kyun hum istifa na den
hotalon ka bil diya jata nahin
shaikh-ji motor pe haj ko jaiye
ahd-e-nau mein unt kaam aata nahin
bosa len us sarw-qad ka kis tarah
tar par hum se chadha jata nahin
aashiqon par zulm karna chhod den
kyun-be qasid ja ke samjhata nahin
raat din farmaishen zewar ki hain
hum se ab aashiq raha jata nahin
jal gai cigarette se dadhi shaikh ki
ye magar fashion se baz aata nahin
farbahi ka tanz kyun mushtaq par
teri chakki se to piswata nahin
fees pahle jab talak rakhwa na le
doctor apne bhi ghar jata nahin
baikari mein naukri karni padi
wo siwae cake kuchh khata nahin
teri furqat mein bahut faqe kate
aa ki ab bhuka raha jata nahin
kab se hai mehman tu ai hijr-e-yar
bhai mere ghar se kyun jata nahin
o sitam-gar rokna motor zara
mere khachchar se chala jata nahin
laundry kholi thi us ke ishq mein
par wo kapde hum se dhulwata nahin
hazrat-e-ibn-e-batuta ki ghazal
zid ke mare wo sanam gata nahin
- akhtar-shirani
main ne kaha ki shahr ke haq mein dua karo
us ne kaha ki baat ghalat mat kaha karo
main ne kaha ki raat se bijli bhi band hai
us ne kaha ki hath se pankha jhala karo
main ne kaha ki shahr mein pani ka qaht hai
us ne kaha ki pepsi cola piya karo
main ne kaha ki car dakaiton ne chhin li
us ne kaha ki achchha hai paidal chala karo
main ne kaha ki kaam hai na koi karobar
us ne kaha ki shairi par iktifa karo
main ne kaha ki sau ki bhi ginti nahin hai yaad
us ne kaha ki raat ko tare gina karo
main ne kaha ki hai mujhe kursi ki aarzu
us ne kaha ki aayat-e-kursi padha karo
main ne kaha ghazal padhi jati nahin sahih
us ne kaha ki pahle rehearsal kiya karo
main ne kaha ki kaise kahi jati hai ghazal
us ne kaha ki meri ghazal ga diya karo
har baat par jo kahta raha main baja baja
us ne kaha ki yun hi musalsal baja karo