NAAT SHAYARI

EXPRESSING REVERENCE THROUGH POETRY

Celebrate the divine with naat shayari, a poetic form that pays tribute to the prophet muhammad and his teachings. Each verse in this collection exudes love, respect, and admiration for the prophet, conveying devotion and reverence through lyrical expressions.

aap mahbub-e-khuda ya-mustafa
ho gaya dil aap ka ya-mustafa
wo haqiqat mein kaha allah ne
aap ne jo kuchh kaha ya-mustafa


aap par aur aap ke farman par
jaan-o-dil se hum fida ya-mustafa
aap ke naqsh-e-qadam par hum chalen
aap sab ke rahnuma ya-mustafa


waliyan-e-mulk sultan tajwar
aap ke dar ke gada ya-mustafa
ummaton mein afzal ummat aap ki
aap shah-e-ambiya ya-mustafa


din-e-haq ki aap ne talim di
aap haq hain haq-numa ya-mustafa
aap hi ne to kiya insan ko
khud-nigar khud-ashna ya-mustafa


aap par hain khatm sari azmaten
tha na hoga aap sa ya-mustafa
har ghadi main aap par bhejun darud
dil kahe salle-ala ya-mustafa


- muzaffar-warsi


hum hain tumhaare tum ho hamare
mohammad pyare
tum ho chand aur hum hain tare
mohammad pyare


sab se achchha din tumhaara
hukm-e-khuda aain tumhaara
tum ne hamare zehn sanware
mohammad pyare


pyar sikhaya adl sikhaya
rang-o-nasl ka farq mitaya
dur kiye sare andhiyare
mohammad pyare


bandon ko maula se milaya
qatron ko dariya se milaya
mode tum ne waqt ke dhaare
mohammad pyare


gumrahon ko rah dikhai
qatil bhi thahre shaidai
tum jite aur dushman haare
mohammad pyare


sunnat aur quran pe chal ke
kahlaen shahkar amal ke
mangen dua hum mil ke sare
mohammad pyare


- muzaffar-warsi