NAZM SHAYARI
EMBRACING THE ART OF POETIC EXPRESSION
Immerse yourself in the captivating world of nazm shayari, where each verse tells a unique story and portrays a spectrum of emotions. Through structured and eloquent compositions, nazm shayari beautifully captures the essence of human experiences, making it a timeless form of poetic expression.
nazar padti hai jis par bhi darakhshan dekhta hun main
fazaon mein khushi ka raqs-e-'uryan dekhta hun main
watan ko is ghadi farhat-badaman dekhta hun main
'ilaj-e-tangi-e-daman-e-yaran chahta hun main
nifaq-e-kufr-o-iman ko gurezan chahta hun main
munawwar sina ho jae farogh-e-sham'-e-ulfat se
dil-e-ahl-e-watan ko bhi farozan chahta hun main
andhera ghar mein ho bahar ujala ho to kya hasil
watan walo dilon mein bhi ujala chahta hun main
- abdul-qayyum-zaki-aurangabadi
mujhe tum ghaur se dekho
meri aankhon mein jhanko tum
meri zulfon se uljho tum
taqaze ruh ke apne
taqaze jism ke apne
karo pure ijazat hai
magar tum ko ijazat ye
faqat khwabon ki had tak hai
- abdul-mannan-samadi
dhup mein sab ke chehre kale
kaisi garmi kaisi dhup
sab ne badla apna rup
thodi der thahar kar chalna
thanda pani munh par malna
sar par apne kapda rakhna
rakhsha le kar aage badhna
garmi se behaal hue hain
sukhe sare tal hue hain
pet ka indhan yun na bharna
aise waise kaam na karna
nam khuda ka har dam lena
us ki qudrat rozi dena
rikshe wale rikshe wale
dhup mein sab ke chehre kale
- abdul-mannan-samadi
to ye sochta hun
ki kyon sabz aankhen
tumhaari mujhe dekhti hain
agar ho sake to unhen ye
bata do
ki mahram nahin hun
main un ke liye
- abdul-mannan-samadi
nigahen tak rahi hain
kyon
mujhe kyon der se sab ki
isi main
soch mein gum tha
achanak phir
kisi ne kan mein
aa kar
kaha dhire se
ye mujh se
are 'mannan'
'ainak
kahin gum ho gai
kya
- abdul-mannan-samadi
ya'ni sab ki aankh ka tara mera chhota bhai hai
bandar ban kar bhaalu ban kar
sab ko nach dikhata hai
gali gali ka ek ek bachcha
us ka sath nibhata hai
aangan aangan shor macha kar
dil sab ka bahlata hai
bowling karna sikh gaya hai
bating karna sikh gaya hai
chauke chhakke mar raha hai
jit raha hai haar raha hai
us ki subh hai us ki sham
ghar ghar jaana us ka kaam
ghar walon ki jaan hai wo
khud apni pahchan hai wo
nanha munna pyara pyara mera chhota bhai hai
ya'ni sab ki aankh ka tara mera chhota bhai hai
- abdul-mannan-samadi
kya main gudiya dikhai deti hun
mera apna wujud koi nahin
meri goyai meri binai
sirf dhoka nazar ka dhoka hai
bhar gaya dil to taq mein rakh kar
bhul jate ho tum
ki main kya hun
- abdul-mannan-samadi
ki mere be-sabab
hansne ki aakhir wajh kya hai
jaante ho tum
ki diwana nahin hun main
magar phir bhi kabhi ghamgin nahin hota
udasi mere chehre se
kabhi zahir nahin hoti
main khud hairan hun
kya hai
bala hai
ya khuda ka mo'jiza hai
- abdul-mannan-samadi
jo aksar mujh se milti hai
jis ka ki nurani chehra
jis ki nili nili aankhen
tum se milti-julti hain
soch raha hun
tum se puchhun
kaun hai wo
tum ya aur koi
- abdul-mannan-samadi
tumhein dekha nahin hai
ek muddat se
magar main puchhta hun
apne dil se
chhalak uthti hain kyon aankhen
tumhaari yaad aate hi
- abdul-mannan-samadi
zindagi teri ziya
raushni ya saeban
aasmanon si rida
zindagi ek shor hai
khamushi bhi ek sada
bandagi bhi tishnagi
kis qadar dilkash ada
ye jahan taskhir kar le
wo jahan hai mawara
- ahmar-sahaab
sadaqat se apne watan ko sajao
tumhaare liye ne'maten hain jahan ki
chalo sath mil ke nasib aazmao
khudi bhi tumhaari khuda bhi tumhaara
khuda ke liye jaan par khel jao
tumhein rahmaton ka sahaara milega
mohabbat se mehnat ka jadu jagao
phir aawaz iflas ki aa rahi hai
badho apni dharti pe sona ugao
khayalat ko ek markaz pe lao
utho naujawano watan ko bachao
ye amn-o-aman ke talabgar bande
ye mazdur bande ye ji-dar bande
ye sabir ye shakir ye zakir ye zahid
ye din-e-ilahi ke me'mar bande
abhi ro rahe the abhi hans rahe hain
ye majbur bande ye mukhtar bande
nigahon mein apne samae hue hain
fareb-e-nazar mein giraftar bande
gulistan mein hain jo gulon ke muhafiz
unhen aaj un ki haqiqat batao
gae waqt ka aaina bhi dikhao
utho naujawano watan ko bachao
mohabbat mein nafrat se bach kar chalenge
kudurat mitegi to saghar chalenge
zabardast hain zer-daston pe hawi
ki teghon ke sae mein khanjar chalenge
mohabbat ko bhi harf-e-akhir na samjho
mohabbat se aage bhi soz-e-sukhan hai
jahannum ke sho'le bhadakne se pahle
sada aa rahi hai ki tan ko bachao
kharabe se sehn-e-chaman ko bachao
utho naujawano watan ko bachao
idhar inqilabi taqaddus badhega
udhar chand taron ke chakkar chalenge
ujale mein har khel khelo khushi se
andhere se pahle magar chal chalenge
dar-e-mai-kada band hone na dena
agar tod sakte nahin tut jao
phir apne khuda ko sahaara banao
utho naujawano watan ko bachao
yahi pak dharti hamara watan hai
isi ki taraqqi hamari lagan hai
jiyale jawanon ki danishwaron ki
yahi anjuman hai yahi anjuman hai
shuja'at ke qisse kahan tak sunaun
jawani ki khushbu chaman-dar-chaman hai
- abul-fitrat-meer-zaidi
har ek ba-wafa mila
jise tha pas-e-dosti
wahi utha badha mila
nashist jis ki dur thi
qarib aa gaya mila
peshawar aane ka mujhe
sahi jo lutf tha mila
hansi mili khushi mili
khudi mili khuda mila
raqib tha khicha khicha
habib tha ghula mila
nazar nazar ada ada
main dekhta chala gaya
gulon mein zindagi mili
chaman mein dilkashi mili
khushi gale lagi mili
mili hansi khushi mili
chaman chaman rawish rawish
bahaar husn ki mili
kahin banawaten milin
kahin pe sadgi mili
kahin pe zulmaten milin
kahin pe raushni mili
nazar kisi nigah se
kabhi hati kabhi mili
na tha koi jo tokta
main dekhta chala gaya
har ek samt khan hain
shakil hain jawan hain
na nun hain na nan hain
ye sab ke sab pathan hain
jihad in ki shan hai
jihad ki ye shan hain
ye ghaziyon ke hain pisar
mujahidon ki jaan hain
ye sab khuda-parast hain
khudi ke tarjuman hain
badi badi haweliyan
bade bade nishan hain
nazara-ha-e-dilruba
main dekhta chala gaya
'ajib chiz hai yahan
hasin raat ka saman
nigah jis taraf karo
chamak rahi hain bijliyan
hasin log chaar-su
sadak pe hain rawan-dawan
'imaraton ke samne
jhuka hua hai aasman
ki dekhne ki chiz hain
idhar udhar yahan wahan
secretariyon ki motaren
kamishnaron ki kothiyan
bahaar thi nikhaar tha
main dekhta chala gaya
ye khush-libas ladkiyan
hasin hasin jawan jawan
husul-e-‘ilm ke liye
qadam qadam rawan-dawan
khushi se dil mahak uthe
nazar padi jahan-jahan
khuli hui kitab mein
sharafaton ki dastan
haqiqaten simat gain
thahar ke dam liya jahan
sharab ki misal hain
shabab ki ye surkhiyan
ye inqalab ki ada
main dekhta chala gaya
hakim bhi hain pir bhi
amir bhi kabir bhi
assembly mein jalwa-gar
bade bade wazir bhi
ki jin ke wotaron mein hain
aqil bhi kasir bhi
unhin ke dam se aaj hai
ye shahr-e-be-nazir bhi
hamare leaderon mein hain
shahir bhi basir bhi
muqim is maqam par
hain ek do safir bhi
yunhi bas ittifaq tha
main dekhta chala gaya
gharib log ba-wafa
amin-e-ghairat-o-haya
dhani hain apni baat ke
nahin hai khauf jaan ka
masarraton ki baat kar
musibaton ka zikr kya
kabhi jo waqt aa pada
bura bhala guzar gaya
dahi qadim baat hai
na kuchh ghata na kuchh badha
ki shukr jin ki shan hai
shikayaton se un ko kya
phata hua libas tha
main dekhta chala gaya
ye sha'iron ki bazm hai
ki 'arsa-gah-e-razm hai
tarah tarah ki boliyan
alag alag hain toliyan
sukhan mein koi fard hai
kisi ka rang zard hai
hain in mein shahsawar bhi
buzurg-e-ba-waqar bhi
sabhi mein ye kamal hai
har ek jagah ye haal hai
mariz ho ki ho maraz
mujhe kisi se kya gharaz
musha’era zarur tha
main dekhta chala gaya
- abul-fitrat-meer-zaidi
mohabbat din-e-fitrat ki zaban hai
mohabbat jazba-e-sidq-o-yaqin hai
mohabbat hi mohabbat ki amin hai
mohabbat talib-e-husn-o-jawani
mohabbat phul kanton ki kahani
mohabbat shahid-e-wahdaniyat hai
mohabbat jazba-e-insaniyat hai
mohabbat harf-e-shirin ki amanat
mohabbat jazba-e-dil ki sadaqat
mohabbat jism bhi hai jaan bhi hai
mohabbat fitrat-e-insan bhi hai
kaha jis ko farishton ne 'ibaadat
mohabbat hai mohabbat hai mohabbat
mohabbat dushman-e-rahbaniyat hai
mohabbat kalma-e-insaniyat hai
mohabbat rahnuma-e-admi hai
mohabbat soz-o-saz-e-zindagi hai
mohabbat 'ishq ka tufan bhi hai
mohabbat husn ka iman bhi hai
mohabbat falsafa hai dosti ka
mohabbat mein sabaq hai zindagi ka
mohabbat fateh-o-maftuh bhi hai
mohabbat hamid-o-mamduh bhi hai
mohabbat hai yaqin-e-kaamrani
mohabbat dar ki bhi hai kahani
mohabbat din-o-duniya ki talab hai
mohabbat fikr hai 'ilm-o-adab hai
mohabbat tarz bhi andaz bhi hai
mohabbat saz bhi aawaz bhi hai
mohabbat jaan-nisaron ki khushi hai
mohabbat husn ki zinda-dili hai
mohabbat ka nahin hai ek pahlu
mohabbat par na paya dil ne qabu
mohabbat naghma-e-roz-e-azal hai
mohabbat qazi-e-shahr-e-'amal hai
mohabbat dard hai diwangi hai
mohabbat farz hai mardangi hai
mohabbat imtihan-e-zindagi hai
mohabbat dewta ki murti hai
mohabbat rahmaton ki dastan hai
mohabbat mard-e-momin ki azan hai
mohabbat raunaq-e-duniya-o-din hai
mohabbat chand suraj ki zamin hai
mohabbat gul bhi hai aur gulsitan bhi
mohabbat kharzaron ki zaban bhi
mohabbat da'wat-e-ranj-o-alam bhi
mohabbat hai nawed-e-fikr-o-gham bhi
mohabbat walwalon ki intiha bhi
budhape mein jawani ki sada bhi
mohabbat hi khushi ka rasta hai
mohabbat hi mein duniya ka bhala hai
mohabbat qissa-e-jam-o-subu hai
mohabbat zindagi ki justuju hai
mohabbat aadam-o-hawwa ne ki hai
mohabbat ruh ki pakizgi hai
mohabbat chain hai sabr-o-sukun hai
mohabbat rahat-e-ahl-e-junun hai
mohabbat se hai raunaq mahfilon ki
mohabbat kab khata hai thud-dilon ki
mohabbat har saliqe ka nishan hai
mohabbat har nafas ki dastan hai
mohabbat ma'ni-e-husn-e-sukhan hai
mohabbat allah walon ka chalan hai
mohabbat sahab-e-'ilm-ul-yaqin bhi
mohabbat ruh bhi ruh-ul-amin bhi
mohabbat 'ishq hai zarb-e-khudi hai
mohabbat zulfiqar-e-haidari hai
mohabbat bhed khole aarzu ke
mohabbat zindagi ke gham samete
mohabbat nafsiyati uljhanon se
waraq ulte sadaqat ke junun ke
mohabbat hai 'ilaj-e-zabt-e-insan
mohabbat imtihan-e-zabt-e-insan
mohabbat ki alag sab se hai boli
mohabbat ki girah fitrat ne kholi
mohabbat sahib-e-fikr-o-nazar hai
mohabbat mein raqabat ka bhi dar hai
mohabbat do-jahan mein surkh-ru bhi
mohabbat gul mohabbat rang-o-bu bhi
mohabbat mahtabon se bani hai
mohabbat inqilabon se bani hai
mohabbat ka nasha hai sab se behtar
mohabbat para-e-tasnim-o-kausar
mohabbat sho'la hai sho’la-numa hai
mohabbat hi haqiqat mein khuda hai
- abul-fitrat-meer-zaidi
sahra mein gulzar ko dekha
majburon ke pet ko dekha
qaid-e-azam gate ko dekha
kya samjhe kya jaane dekha
sab ko sina tane dekha
shalwaron se 'ari dekha
tah-bandon ko jari dekha
kaliyon ko sharmate dekha
khul kar dhola gate dekha
hotel wale 'arsh pe dekhe
hotel sare farsh pe dekhe
gahak aur byopari dekhe
duble dekhe bhaari dekhe
saf aur phaile phaile dekhe
kapde maile maile dekhe
ladke chhail-chhabile dekhe
har-su ret ke tile dekhe
tute phute nale dekhe
mukhlis tange wale dekhe
basti rasti basti dekhi
mulkon ki bhi hasti dekhi
gali gali dil-afza dekhi
thal walon ki duniya dekhi
mazduron ki mahfil dekhi
dur se kapde ki mil dekhi
begam dekhi bandi dekhi
dhan walon ki chandi dekhi
daulat 'izzat wali dekhi
jeb gharib ki khali dekhi
rahm ke talib bande dekhe
zardaron ke phande dekhe
'ilm-o-adab ke pale dekhe
shohrat ke matwale dekhe
sha'ir she'r sunate dekhe
same' sardi khate dekhe
dil badhte dil ghatte dekhe
murgh batere batte dekhe
haal mein dongda padte dekhe
bhuke sher ko ladte dekhe
ek taswir nirali dekhi
dane bhunne wali dekhi
sho'la dekha shabnam dekhi
phulon mein khushbu kam dekhi
duniya aankhen malte dekhi
waqt ki chakki chalte dekhi
nasuron ko riste dekha
insanon ko piste dekha
kuchh shatranj ki bazi dekhi
kuchh mehman-nawazi dekhi
ek taraf insan ko dekha
shaikh ko dekha khan ko dekha
pyaron ke andaz ko dekha
sufi ji ke naz ko dekha
ek ada-e-khas ko dekha
logon ke ikhlas ko dekha
sher afzal ki shan ko dekha
momin ke iman ko dekha
'adam' ne chhup kar saqi dekha
hum ne sab kuchh baqi dekha
- abul-fitrat-meer-zaidi
(rumi)
my voyage
phir ek din aisa aaega
aankhon ke diye bujh jaenge
hathon ke kanwal kumhlaenge
aur barg-e-zaban se nutq o sada
ki har titli ud jaegi
ek kale samundar ki tah mein
kaliyon ki tarah se khilti hui
phulon ki tarah se hansti hui
sari shaklen kho jaengi
khun ki gardish dil ki dhadkan
sab ragniyan so jaengi
aur nili faza ki makhmal par
hansti hui hire ki ye kani
ye meri jannat meri zamin
is ki subhen is ki shamen
be-jaane hue be-samjhe hue
ek musht-e-ghubar-e-insan par
shabnam ki tarah ro jaengi
har chiz bhula di jaegi
yaadon ke hasin but-khane se
har chiz utha di jaegi
phir koi nahin ye puchhega
'sardar' kahan hai mahfil mein
‘like grass
i've sprouted again and again.'
-rumi
one such day will come again
when stars in eyes are extinguished
when lotuses in hands are wilted
and from tongue's leaf
the butterfly of sound ’n speech will fly away.
in the depths of a dark ocean
blooming like buds
laughing like flowers
all faces will disappear.
blood flow
heart beat
all melodies will go to sleep
and on the velvet blue air
this twinkling diamond sliver
my earth
my paradise
its mornings
its evenings
without knowing
without understanding
will weep
dew-like
on a fistful of dust that is man.
all things will be forgotten
from the beautiful temple of memories
all things will be removed
then no one will ever ask
where has sardar gone?
but i'll come here again
i'll speak through children's mouths
i'll sing in songs of birds
when seeds will smile in the earth
and tips of shoots
will tease layers of soil
in every leaf
in every bud
i'll open my eyes.
on my green palms
i'll collect drops of dew
like colour of henna
the rhythm of the ghazal
i'll become the manner of speech
like the face of a new bride
i'll shine through every veil.
when wintry breezes bring
autumn season to our valley
beneath the feet of young travellers
in the crunching of dried leaves
echoes of my laughter will float.
all golden streams of earth
all the blue lakes of sky
will be filled with my being
and the whole world will see
that every story is my story
every lover here is sardar
and every beloved is sultana.
i am a fleeting moment
in the magic house of time
i'm a restive water-bead
forever busy travelling
from the heart of past's wine jug
to the goblet of the future
i sleep
i wake
and slumber once again
for centuries i'm in play
death makes me immortal.
lekin main yahan phir aaunga
bachchon ke dahan se bolunga
chidiyon ki zaban se gaunga
jab bij hansenge dharti mein
aur konplen apni ungli se
mitti ki tahon ko chhedengi
main patti patti kali kali
apni aankhen phir kholunga
sarsabz hatheli par le kar
shabnam ke qatre taulunga
main rang-e-hina aahang-e-ghazal
andaz-e-sukhan ban jaunga
rukhsar-e-urus-e-nau ki tarah
har aanchal se chhan jaunga
jadon ki hawaen daman mein
jab fasl-e-khizan ko laengi
rah-rau ke jawan qadmon ke tale
sukhe hue patton se mere
hansne ki sadaen aaengi
dharti ki sunahri sab nadiyan
aakash ki nili sab jhilen
hasti se meri bhar jaengi
aur sara zamana dekhega
har qissa mera afsana hai
har aashiq hai 'sardar' yahan
har mashuqa 'sultana' hai
main ek gurezan lamha hun
ayyam ke afsun-khane mein
main ek tadapta qatra hun
masruf-e-safar jo rahta hai
mazi ki surahi ke dil se
mustaqbil ke paimane mein
main sota hun aur jagta hun
aur jag ke phir so jata hun
sadiyon ka purana khel hun main
main mar ke amar ho jata hun
- richard-j.-cohen
wo jo tujh se pahle ki rah thi
kahin subh-e-zat luti hui
kahin sham-e-ishq bujhi hui
kahin dopahar rah-e-mandagan pe tani hui
kahin chand pichhle visal ke
kahin mehr subh-e-kamal ke
kahin zulf-e-wasl-mizaj par tah-e-gard-e-hijr jami hui
kahin aas thi kahin pyas thi
kahin khushk halq mein tir tha
kahin saeban jala hua kahin baadban mein chhed tha
koi raaz tha koi bhed tha
jise mukhbiron jise tajiron ne raqam kiya
to kitab mein
mera hukm mere khilaf tha
mera 'adl meri nazir tha so haqir tha
mera baadshah bhi faqir tha
ye jo tere hone ka zikr hai
jo tere zuhur ki baat hai
meri baat hai
mera 'ishq hai mera dard hai
mere harf-o-saut ki zat hai
meri rah par meri chhanw hai
mere hat mein mera hat hai
- akhtar-husain-jafri
pine aae thandi coffee
ek do packet biscuit khae
thuns gae do darjan toffee
aalu chhole kha kar bole
barfi ek kilo hai kafi
ammi ji ki baat na mani
abbu se ki wa'da-khilafi
pet hua aape se bahar
sahma kar sab na-insafi
aisa khatka pet ka matka
allah mu'afi allah mu'afi
- ahmad-hatib-siddiqi
dudh piyen na ande khaen
phal tarkari ek na bhae
ghusse mein bas hont chabaen
dekh ke dastarkhwan pe machhli
panw patakhte bhage jaen
chawal roti gosht ki boti
dekhen to nakhre dikhlaen
din ka ho ya raat ka khana
roen piten shor machaen
duble patle rukhe sukhe
baat karo to ladne aaen
itne halke phulke se hain
fan chale to ud hi jaen
- ahmad-hatib-siddiqi
chuza uth kar padhta hai
chun-chun chun-chun
chun-chun chun-chun
pahle bismillah kahun
phir main apna sabaq padhun
subh sawere uthte hi
apne rab ko yaad karun
khane pine se pahle
chonch ragad kar saf karun
itna to hai yaad mujhe
ammi aage kya sikhun
murghi kat kat karti hai
khush ho kar yun kahti hai
mera chu chu shad rahe
shad rahe aabaad rahe
padhne hi se 'izzat hai
baat ye beta yaad rahe
jahil log zamane mein
khwar hue barbaad rahe
sikhen aur sikhaen jo
ban kar wo ustad rahe
bas tu bhi mehnat se padh
sab logon se aage badh
- ahmad-hatib-siddiqi
nasl-e-adam ka khun hai aakhir
jang mashriq mein ho ki maghrib mein
amn-e-alam ka khun hai aakhir
bam gharon par giren ki sarhad par
ruh-e-tamir zakhm khati hai
khet apne jalen ki auron ke
zist faqon se tilmilati hai
tank aage badhen ki pichhe haten
kokh dharti ki banjh hoti hai
fath ka jashn ho ki haar ka sog
zindagi mayyaton pe roti hai
jang to khud hi ek masala hai
jang kya masalon ka hal degi
aag aur khun aaj bakhshegi
bhuk aur ehtiyaj kal degi
is liye ai sharif insano
jang talti rahe to behtar hai
aap aur hum sabhi ke aangan mein
sham' jalti rahe to behtar hai
2
bartari ke subut ki khatir
khun bahana hi kya zaruri hai
ghar ki tarikiyan mitane ko
ghar jalana hi kya zaruri hai
jang ke aur bhi to maidan hain
sirf maidan-e-kisht-o-khun hi nahin
hasil-e-zindagi khirad bhi hai
hasil-e-zindagi junun hi nahin
aao is tira-bakht duniya mein
fikr ki raushni ko 'am karen
amn ko jin se taqwiyat pahunche
aisi jangon ka ehtimam karen
jang wahshat se barbariyyat se
amn tahzib o irtiqa ke liye
jang marg-afrin siyasat se
amn insan ki baqa ke liye
jang iflas aur ghulami se
amn behtar nizam ki khatir
jang bhatki hui qayaadat se
amn be-bas awam ki khatir
jang sarmae ke tasallut se
amn jamhur ki khushi ke liye
jang jangon ke falsafe ke khilaf
amn pur-amn zindagi ke liye
- sahir-ludhianvi
hansi ki halki phuwar bhi ho to kaam chal jae aadmi ka
mizah ki gar zara bhi his hai hansi ko aur qahqahe ko chhodo
chaman mein gar phul muskura de to dil bahal jae aadmi ka
musibaton ka muqabla jo hamesha hanste hue karega
jo waqt mushkil mein aane wala to wo bhi tal jae aadmi ka
kisi ko girne se tokna mat durusht lahje mein yaad rakkho
tabassum-amez ho nasihat qadam sanbhal jae aadmi ka
zamana achchha guzar gaya to ye din bure bhi nahin rahenge
na ho agar ye fareb-e-paiham to dam nikal jae aadmi ka
gunahgaron aur aasiyon ko azab-e-dozakh se waizo tum
darao be-shak magar na itna ki dil dahal jae aadmi ka
ibaadaton ke muawze mein milegi jo aabidon ko jannat
tum us ka naqsha kuchh aisa khincho ki dil phisal jae aadmi ka
naza se pahle kare jo tauba wo apni rahmat se bakhsh dega
ajab nahin hai ki marte marte bhi dil badal jae aadmi ka
ye daur make-up ka aa gaya hai wo husn-e-sada kahan mile ab
ki jis ki bas ek jhalak ko dekhe to dil machal jae aadmi ka
faza-e-masmum mein sans le kar koi jiya bhi to kya karega
zaif hone se qabl hi jab shabab dhal jae aadmi ka
na itni aasan shaeri ho ki jis ka mafhum hi na nikle
na itni mushkil ki jis ko sun kar zehn pighal jae aadmi ka
ye zindagi 'khwah-makhwah' itni azab-e-jaan aur tawil bhi hai
agar na hon mahfilen hansi ki to dam nikal jae aadmi ka
- ghaus-khah-makhah-hyderabadi
koi kyun kar harif-e-ilm-o-fan hai hum nahin samjhe
kisi bhi shama se be-zar kyun ho koi parwana
ye kya is daur ka diwana-pan hai hum nahin samjhe
bahut samjhe the hum is daur ki firqa-parasti ko
zaban bhi aaj shaikh-o-barhaman hai hum nahin samjhe
agar urdu pe bhi ilzam hai bahar se aane ka
to phir hindostan kis ka watan hai hum nahin samjhe
chaman ka husn to har rang ke phulon se hai 'rashid'
koi bhi phul kyun nang-e-chaman hai hum nahin samjhe
- rashid-banarasi
ek din jal mein chhaya dekhi chatte ho gae baal
papad jaisi huin haddiyan jalne lage hain dant
jagah jagah jhurriyon se bhar gai sare tan ki khaal
dekh ke apna haal hua phir us ko bahut malal
are main budhiya ho jaungi aaya na tha khayal
us ne socha
gar phir se mil jae jawani
jis ko likhte hain diwani
aur mastani
jis mein us ne inqalab lane ki thani
wahi jawani
ab ki bar nahin dungi koi qurbani
bas la-haul padhungi aur nahin dungi koi qurbani
dil ne kaha
kis soch mein hai ai pagal budhiya
kahan jawani
yani us ko guzre ab tak kafi arsa bit chuka hai
ye khayal bhi der se aaya
bas ab ghar ja
budhiya ne kab us ki mani
haalanki ab wo hai nani
zahir hai ab aur wo kar bhi kya sakti thi
aasman par lekin tare aankh-micholi khel rahe the
raat ke panchhi bol rahe the
aur kahte the
ye shayad us ki aadat hai
ya shayad us ki fitrat hai
- fahmida-riaz
farz karo diwane hon
farz karo ye donon baaten jhuti hon afsane hon
farz karo ye ji ki bipta ji se jod sunai ho
farz karo abhi aur ho itni aadhi hum ne chhupai ho
farz karo tumhein khush karne ke dhundhe hum ne bahane hon
farz karo ye nain tumhaare sach-much ke mai-khane hon
farz karo ye rog ho jhuta jhuti pit hamari ho
farz karo is pit ke rog mein sans bhi hum par bhaari ho
farz karo ye jog ba-jog ka hum ne dhong rachaya ho
farz karo bas yahi haqiqat baqi sab kuchh maya ho
dekh meri jaan kah gae bahu kaun dilon ki jaane 'hu'
basti basti sahra sahra lakhon karen diwane 'hu'
jogi bhi jo nagar nagar mein mare mare phirte hain
kasa liye bhabut ramae sab ke dware phirte hain
shair bhi jo mithi bani bol ke man ko harte hain
banjare jo unche damon ji ke saude karte hain
in mein sachche moti bhi hain
in mein kankar patthar bhi
in mein uthle pani bhi hain
in mein gahre sagar bhi
gori dekh ke aage badhna sab ka jhuta sachcha 'hu'
dubne wali dub gai wo ghada tha jis ka kachcha 'hu'
- ibn-e-insha