PAHELI SHAYARI

UNRAVELING MYSTERIES IN POETRY

Engage in the enigmatic world of paheli shayari, where each verse conceals a riddle, teasing the intellect while enchanting the heart. Immerse yourself in this collection of poetic conundrums that entertain and inspire, offering a delightful blend of wit, wisdom, and poetic flair.

kaun hai jis ko aate jate pate ho rozana tum
dekhte hi us ko pate ho apna apna chehra tum

- ata-abidi


chat baitha pat mara

- unknown


us tak ya us pas jo aae
us par jadu sa chal jae
bebas gum-sum kan dabae
sar teke be-sudh ho jae


- shaanul-haq-haqqi


bhun-bhan kar har koi khae
do mithon ka nam dohrae

- unknown


pani sharbat juice waghaira hum sab pite rahte hain
lekin kya hai jis ko sirf bahadur hi pi sakte hain

- ata-abidi


bojh paheli sakhi siyani
aadha phul aur aadha pani

- unknown


ek mein dekha andha nar
kandhe upar kath ka ghar
barah kos ki manzil kare
phir wo ghar ka ghar mein rahe


- syed-wasi-haidar


duniya meri diwani hai
surat jaani pahchani hai
bin pairon ke chalta hun main
kaghaz ka ek tukda hun main


rang-birangi surat meri
sab ke dil mein chahat meri
duniya bhar mein paya jaun
har mushkil mein sath nibhaun


mazduron ka hun main pyara
sahukar ki aankh ka tara
bachcha bachcha mujh pe fida hai
budhon ka dil mujh se laga hai


duniya ka har kaam hai mujh se
shohrat mujh se nam hai mujh se
meri taqat jo aa jae
nirbal ko balwan banae


samajh mein aaya nam mera kya
pahchana kuchh kaam mera kya

- aadil-aseer-dehlvi


ek dabbe mein battis dane
bujhne wale bade siyane

- unknown


aag lage mere hi bal se
har insan ke aati kaam
din mein paude mujhe banate
ab batlao mera nam


- unknown


wo kya jis ka bura hai aana jaana jis ka aur bura
uthna baithna bhi hai jis ka bais-e-gham aur sadme ka

- ata-abidi


idhar udhar motiyon ki ladi beach mein koyal khadi

- unknown


ek chiz aisi kahlae
har mazhab ka aadmi khae

- unknown


dilli dekhi aagara dekha aur dekha gujraat
aisa achambha kahin na dekha phal upar do pat

- unknown


agar kahin mujh ko pa jata
bade prem se tota khata
bachche budhe agar kha jate
wyakul ho kar jal mangwate


- unknown


jab se main paida hua hun qatl ki tadbir hai
bhag kar jaun kahan main pair mein zanjir hai
khaal ko chirenge kapdon ko phadenge
dushman-e-jaan lahu ko pi lenge


- unknown


sochen aap laga kar tek
chaupayon mein ye bhi ek

- shaanul-haq-haqqi


bandh bundh mein ne jakda
ek gadha aur ek bakra
nar-nari sab khaen sada
aadha bakra aadha gadha


- unknown


dar pe lage to dikhai pade
munh pe lage to sujhai na de
dam sadhe kyon baitho yaro
himmat ho to khol utaro


- shaanul-haq-haqqi


ek nam ke do kahlaen
ek ko chhoden ek ko khaen

- syed-wasi-haidar


sikhne wala bolta jae
sikhane wala chup
is se mera dhyan lada hai
shor na karna chup


- shaanul-haq-haqqi


ek nari ka maila rang
lagi rahe wo pi ke sang
ujiyare mein sang biraje
andhiyare mein chhor ke bhaje


- syed-wasi-haidar


lunda munda bhant
sar par naf pet mein dant
bhiga bakra us ka nanw
ya bujho ya chhodo ganw


- unknown


bel padi talab mein phul khilta jae
ajab tamasha main ne dekha phul bel ko khae

- unknown


neamaten wo kaun si hain jo hum ko tum ko rab ne din
lekin un se baba aadam man hawwa mahrum rahin

- ata-abidi