QITA SHAYARI

UNRAVELING EMOTIONS IN FRAGMENTS

Delve into the world of qita shayari, where each fragment is a window into a world of emotions and stories. Explore the profound beauty and captivating depth present in qita shayari, with each fragment painting vivid tales and echoing sentiments that touch the soul.

ye teri takhliq-e-na-farjam ye tedhi zamin
hashr tak tedhi rahegi is mein tu ma'zur hai
aa ki sine se lagaen khaliq-e-bar-haq tujhe
jitne hum majbur hain utna hi tu majbur hai


- akhtar-ansari-akbarabadi


main ne jab us se kaha tum se mohabbat hai mujhe
us ne sharmate hue mujh ko jawab is ka diya
aah lekin dil-e-nashad ye ghaarat ho jae
is qadar zor se dhadka ki main kuchh sun na saka


- akhtar-ansari-akbarabadi


jo puchhta hai koi surkh kyon hain aaj aankhen
to aankhen mal ke ye kahta hun raat so na saka
hazar chahun magar ye na kah sakunga kabhi
ki raat rone ki khwahish thi aur ro na saka


- akhtar-ansari-akbarabadi


in aansuon ko tapakne diya na tha main ne
ki khak mein na milen meri aankh ke tare
main in ko zabt na karta agar khabar hoti
pahunch ke qalb mein ban jaenge ye angare


- akhtar-ansari-akbarabadi


aarzuen na rahin hasrat-o-arman na rahe
ya'ni pahlu se mere wo dil-e-diwana gaya
chhut gae aur sab andaz-e-junun to lekin
dusre tisre din ka mera rona na gaya


- akhtar-ansari-akbarabadi


shokhi ye leaderon ki ye millat ki abtari
tarik shab mein kashmakash-e-barq-o-abr hai
mahfuz misl-e-anjum-e-taban hain wo buzurg
zauq-e-salat jin ko hai aur tab-e-sabr hai


- akbar-allahabadi


khizan se jang karun ye nahin mujhe sauda
malul main bhi hun lekin hai intizar-e-bahaar
nafis tukhm bana rakkho apne ‘azmon ko
aur us ke ba'd raho tum umid-war-e-bahaar


- akbar-allahabadi


ek taraf tamkin hai aur be-qarari ek taraf
intizam-e-tab’-e-insan hai khuda ke hath mein
hai wahi diwar mein mitti bagule mein jo hai
ninw ke panje mein wo hai ye hawa ke hath mein


- akbar-allahabadi


be-parda kal jo aain nazar chand bibayan
'akbar' zamin mein ghairat-e-qaumi se gad gaya
puchha jo main ne aap ka parda wo kya hua
kahne lagin ki aql pe mardon ke pad gaya


- akbar-allahabadi


ab na chhutega kabhi sat janam ka bandhan
apne dulha se bade pyar se boli dulhan
laj rakhna mere sindur ki marte dam tak
mere bhayya mere chanda mere anmol ratan


- ahmad-alvi


tumhaare pas pahunch jaenge ghadi-bhar mein
guman ye kaisa shikasta paron pe hota hai
tumhaare sahn mein jab chandni utarti hai
hamare shahr mein suraj saron pe hota hai


- dr.-yasin-aatir


muddat ke ba'd khwab mein aaya tha mera bap
aur us ne mujh se itna kaha khush raha karo
pahle to us ne gham ke fawaed bayan kiye
phir waqfa le ke kahne laga khush raha karo


- abbas-tabish


main ek muddat se sochta hun
ki apni be-nam wahshaton ka
nafas nafas tere nam likkhun
ya tujh ko bas ek salam likkhun


- dr.-yasin-aatir


waqt ke sath sath insan ka
ek 'ajab rang hota jata hai
himmaten sath chhod deti hain
daera tang hota jata hai


- dr.-yasin-aatir


wo jin mein teri khushbu bas gai thi
unhi kapdon ko phir se dho raha hun
wahi chhatri hai ab bhi barishon mein
wahi kambal hai jis mein so raha hun


- dr.-yasin-aatir


qarib aa ki mohabbat ka ehtimam karen
zamana bit gaya dil pe chot khae hue
mujhe bhi ek nae zakhm ki zarurat hai
tujhe bhi ho gai muddat mujhe satae hue


- dr.-yasin-aatir


hai apne hath mein ab to nizam-e-kashana
ki apna shisha-o-saqi hai apna paimana
piyo pilao wo hubb-e-watan ki mai 'laeq'
nazar na aae zamane mein koi begana


- babu-ladli-lal-laeq


wo jo sarhadon ki lakir thi
use chah ke bhi na mita saki
hua yun ki umr guzar gai
na wo aa sake na main ja saki


- shagufta-naim-hashmi


lahad ki god mein aa kar sukun paya hai
hayat talkh thi barson akela roya hun
kahan uthunga qayamat ke roz se pahle
barahna panw safar kar ke thak ke soya hun


- shagufta-naim-hashmi


ek tamanna hai sitam jaan ke gar sah jao
kal chale jaana magar aaj ka din rah jao
khush-nasibi hai ki tum aaj yahan ho par kal
ye na ho waqt ke dhaare mein kahin bah jao


- shagufta-naim-hashmi


aao ki sahilon se zara sipiyan chunen
jo khwab rah gae the unhen phir se dekh len
suraj ko aao hath mein dekhen pakad ke aaj
hiddat ko us ki ab zara mahsus hum karen


- shagufta-naim-hashmi


allah se kare dur to talim bhi fitna
imlak bhi aulad bhi jagir bhi fitna
nahaq ke liye utthe to shamshir bhi fitna
shamshir hi kya nara-e-takbir bhi fitna


- sarfaraz-bazmi


ye darmiyan mein thahri ajib khamoshi
khatak rahi hai mujhe ai habib khamoshi
sukut-e-shab ki kisi be-murad saat mein
fasil-e-qalb pe utri muhib khamoshi


- saima-aftab


parai soch ka partau rahe hain
kisi ka bojh kyon hum dho rahe hain
ajab ye masala darpesh aaya
jo paya hi nahin wo kho rahe hain


- saima-aftab


kis tarah anjam pai ye kahani puchh mat
khun-e-dil ranj-o-musibat raegani puchh mat
mahram-e-jaan hai to aa mujh ko kaleje se laga
tu mera ahwal aise munh-zabani puchh mat


- saima-aftab