REKHTI SHAYARI

CELEBRATING CULTURAL RICHNESS

Delve into the enchanting realm of rekhti shayari, where each verse resonates with cultural diversity and poetic elegance. Enjoy a fusion of linguistic flair and cultural richness in the collection, capturing the essence of rekhti shayari's beauty and inclusivity.

kis se garmi ka rakha jae ye bhaari roza
sardi howe to rakhe mujh si bechaari roza
dekh pansure mein tarikh bata de mujh ko
ab ke aa to ji rakhungi main hazari roza


munh pe kuchh rakhti nahin apne wo pan-bhatti mein
kholti jab hai dada meri dulari roza
aaj se firni o faluda ki tayyari kar
kal hai nau-chandi rakhegi meri pyari roza


mera munh utra hua dekh ke kahti hai jiya
aaj tu kar ke na rakh minnat-o-zari roza

- rangin-saadat-yaar-khan