RISHTE SHAYARI

EMBRACING BONDS AND RELATIONSHIPS

Explore the beauty of rishte shayari, where each verse celebrates the unique connections and relationships that shape our lives. Delve into a collection of poetic expressions that depict the essence of love, kinship, and the profound bonds shared among individuals.

तन्हा जीना भी कोई आसान नहीं है पर लोगों में रहकर भी काफ़ी देखा है -संजय ग्रोवर

-


Chhupe chhupe se rehte hain sar-e-aam nahi hua karte

kuch rishte bas ehsaas hua karte hain unke naam nahi hua karte!

-


Bahut ji khush hua 'hali' se mil kar

abhi kuch log baaqi hain jahaan mein!

-


Baap ka hai fakhr wo beta ki rakhta ho kamaal

dekh aaine ko farzand-e-rashid-e-sang hai!



*farzand-e-rashid-e-sang: son of good stone

-


Izhaar-e-ishq us se na karna tha 'shefta'

ye kya kiya ki dost ko dushman bana diya!

-


Ye soch ke maa baap ki khidmat mein laga hun

is ped ka saaya mere bachchon ko milega!

-


Kis kis se rakhiye dosti
kis kis ko dushman janiye

chehron mein ghir kr reh gayin


nadaniyan
danaiyan

rishton k bandhan tod kr hum tum yun hi milty rahen



roka krein ghar waliyan
pocha krein humsaiyan!

-


Bade anmol hai ye khoon ke rishte

inko tu bekaar na kar



mera hissa bhi tu lele bhai

ghar ke aangan me diwaar na kar!

-


Kuch rishte iss jahaan mein khaas hote hai

hawa ke rukh se jin ke ehsaas hote hai



yeh dil ki kashish nahi to aur kiya hai doston

door reh kar bhi woh dil ke kitne paas hote hai!

-


Shehron ka yun veeran hona kuch yun gazab kar geya

barson se pade gumsum gharon ko aabad kar geya!

-


Bina dard ke aansu bahaye nahi jate bina pyar ke rishte nibhaye nahi jate zindagi me ek baat yaad rakhna kisi ko rula ke apne sapne sajaye nahi jate

-


Hum agar aapse mil nahi pate aisa nahin ke hamein aap yaad nahi aate
mana jahan ke sab rishte nibhaye nahi jate
par jo bas jate hai dil me phir bhulae nahi jate

-


Rishte wo nahi jisme roz baat ho rishte wo bhi nahi jisme roz saath hi rishte to wo hai jisme kitni bhi duriyaa ho lekin hamesa apno ki yaad ho

-


Rishte vo nahi jo hum banate hai
rishte to vo hai jinhe waqt banate hai apne vo nahi jinhe hum chahte hai apne to vo hai jo hame chahte hai.

-


Rishte baste rahe itna hi bahut hai… sab hanste rahe itna hi bahut hai… har koi har waqt to sath nahi rah skta… bas dua me yaad karte rahe itna hi bahut hai….

-


Waqt mile to hamari parwaah kar lena har pal nahi par ek pal yaad kar lena .. mana ki aapke rishte honge hazaar par ek pal hamare liye barbaad kar lena .

-


Rishte hote hai zindagi bitane ke liye
hum apni hasti mita deise nibhane ke liye. milne ka to nasib nahi hota
chalo sms kiapni yaad dilane ke liya...

-


Dosti 1 pyar bhara pegam he
ye to sabse cute rishte ka naam he
aasu k badle hasi dena iska kam he is mazbut rishte ko dil se salam he.

-


Hothon pe ulfat k fasane nhi ate
jo beet gaye fir wo zamane nhi ate. dost hi hote hain dosto k humdard
koi frishte yahan sath nibhane nhi aate..

-


Kuch rishte uparwale banate hai
kuch rishte log banate hai
kuch log bina kisi rishte k hi rishte nibhate hai
shayad vahi dost kahlate hai.

-


Rishte banjaate he anjaaneme
par taklif hoti he rootjaaneme
rootnevale to rootjaate he
aur umar guzar jaati he unhe manaaneme.

-


Kuch rishte anjane mein ho jate hai
pehle dil phir zindagi se jud jate hain
kehte hai uss daur ko dosti
jisme dil se dil na jaane kab miljate hai��

-


Rishte to hai uparwale ki duniya me
hum to sirf nibhaana jante hai. pata nahi doosre janam ke baare me
par dosti aapki har janam me chahte hai..

-


Muskurahat ka koi mol nahi
kuch rishte ka koi toul nahi
vaise to bahut log mil jate hain raste mein
par har koi apki tarah'anmol' nahi.

-


Haath chhute to rishte nahi chhuta karte
waqt ki shakh se lamhe nahi tuta karte
milte hai kuch dost aise zindagi mai
jinse kabhi rishte nahi tuta karte

-