RUBAAI SHAYARI
EMBRACING QUATRAINS OF BEAUTY
Embark on a journey through rubaai shayari, where each quatrain is a masterpiece of brevity and depth. Explore a collection of poetic verses that convey sentiments, stories, and emotions in succinct and eloquent quatrains, capturing the essence of rubaai shayari's charm.
us ki nazron se sada husn pe raqsan ho bahaar
wo agar dekhe na hum khud ko sajaen kaise
muntazir jis ki 'sabila' hain hamari aankhen
wo na khud aae to hum us ko bulaen kaise
wo agar dekhe na hum khud ko sajaen kaise
muntazir jis ki 'sabila' hain hamari aankhen
wo na khud aae to hum us ko bulaen kaise
- sabeela-inam-siddiqui
jo gir ke rah mein uthne ka azm rakhta hai
wo par aag ka dariya bhi kar hi jaega
ye soch kar hi rawabit mein ijz bhi rakhna
hai jis ki khak jahan ki udhar hi jaega
wo par aag ka dariya bhi kar hi jaega
ye soch kar hi rawabit mein ijz bhi rakhna
hai jis ki khak jahan ki udhar hi jaega
- sabeela-inam-siddiqui
is qaid-e-tazabzub se chhuda de mujh ko
is zist se behtar hai mita de mujh ko
ai dost jo pinhan hai tere sine mein
wo raaz-e-dil-afgar bata de mujh ko
is zist se behtar hai mita de mujh ko
ai dost jo pinhan hai tere sine mein
wo raaz-e-dil-afgar bata de mujh ko
- mansoor-ahmad
ye silsila-e-zulf-e-tajassus hai daraaz
anjam kahan se? ki abhi hai aaghaz
tashkik ke hone mein koi harj nahin
lekin na ye 'inkar' ki ho jae jawaz
anjam kahan se? ki abhi hai aaghaz
tashkik ke hone mein koi harj nahin
lekin na ye 'inkar' ki ho jae jawaz
- minhaj-ali
tamir ko takhrib se milta hai kamal
takhrib hi tamir ka warna hai maal
tashkik ki buniyaad pe qaem jo na ho
dil mein wo yaqin bunta hai tashkik ke jal
takhrib hi tamir ka warna hai maal
tashkik ki buniyaad pe qaem jo na ho
dil mein wo yaqin bunta hai tashkik ke jal
- minhaj-ali
puchhungi koi baat na munh kholungi
sajan hain bharose ke to kya bolungi
lanka ka mahal ho ki khwab-gah-e-firaun
jis or chalenge main udhar ho lungi
sajan hain bharose ke to kya bolungi
lanka ka mahal ho ki khwab-gah-e-firaun
jis or chalenge main udhar ho lungi
- sana-gorakhpuri
main us ki pujaran wo pujari mera
main is ki bhikaran wo bhikari mera
ek panw pe kah dun to khada ho jae
murli ki tarah krishn murari mera
main is ki bhikaran wo bhikari mera
ek panw pe kah dun to khada ho jae
murli ki tarah krishn murari mera
- sana-gorakhpuri
jab sham dhali singar kar ke roi
sajan ka intizar kar ke roi
jab dub chale gagan mein tare dam-e-subh
ek ek gahna utar kar ke roi
sajan ka intizar kar ke roi
jab dub chale gagan mein tare dam-e-subh
ek ek gahna utar kar ke roi
- sana-gorakhpuri
har sham hui singar karna bhi hai
phir raat ka intizar karna bhi hai
tan ki mere chandi ho ki man ka sona
sajan par sab nisar karna bhi hai
phir raat ka intizar karna bhi hai
tan ki mere chandi ho ki man ka sona
sajan par sab nisar karna bhi hai
- sana-gorakhpuri
do do mere mehman chale aate hain
donon hi dil o jaan chale aate hain
sajan mere aae mera dil lene ko
jaan lene ko bhagwan chale aate hain
donon hi dil o jaan chale aate hain
sajan mere aae mera dil lene ko
jaan lene ko bhagwan chale aate hain
- sana-gorakhpuri
babul ke ghar se jab aai uth kar doli
jagi main piya ke sang ikatthe so li
dekho kaya ban gai meri un ki chhaya
wo uth kar chale to main un ke pichhe ho li
jagi main piya ke sang ikatthe so li
dekho kaya ban gai meri un ki chhaya
wo uth kar chale to main un ke pichhe ho li
- sana-gorakhpuri
aata hai jo munh mein mujhe kah deti ho
kya tum se kahun siwae is ke sakhiyo
mujh ko jo dikhaya khuda tum ko bhi dikhae
tum ne nahin dekha hai mere yusuf ko
kya tum se kahun siwae is ke sakhiyo
mujh ko jo dikhaya khuda tum ko bhi dikhae
tum ne nahin dekha hai mere yusuf ko
- sana-gorakhpuri
aankhon mein haya us ke jab aai shab-e-wasl
palkon pe palak us ne girai shab-e-wasl
aalam ye supurdagi ka us ne dekha
har uzw mein aankh muskurai shab-e-wasl
palkon pe palak us ne girai shab-e-wasl
aalam ye supurdagi ka us ne dekha
har uzw mein aankh muskurai shab-e-wasl
- sana-gorakhpuri
ta-mah-e-siyam hue bab-e-ummid
aur wasta-e-jashn ho ye yaum-e-said
har roz se ho tere shab-e-qadr ayan
har shab se numayan ho teri roz-e-id
aur wasta-e-jashn ho ye yaum-e-said
har roz se ho tere shab-e-qadr ayan
har shab se numayan ho teri roz-e-id
- qalaq-merathi
har roz khushi hai shab-e-gham se pamal
khali ka hai chand baad shahr-e-shawwal
kis tarah 'qalaq' umr na rote guzre
hota hai moharram se shurua har sal
khali ka hai chand baad shahr-e-shawwal
kis tarah 'qalaq' umr na rote guzre
hota hai moharram se shurua har sal
- qalaq-merathi
miliye us shakhs se jo aadam howe
naz us ko kamal par bahut kam howe
ho garm-e-sukhan to gird aawe yak khalq
khamosh rahe to ek aalam howe
naz us ko kamal par bahut kam howe
ho garm-e-sukhan to gird aawe yak khalq
khamosh rahe to ek aalam howe
- meer-taqi-meer
itne bhi na hum kharab hote rahte
kahe ko gham-o-alam se rote rahte
sab khwab-e-adam se chaunkne ke hain wabaal
behtar tha yahi ki wohin sote rahte
kahe ko gham-o-alam se rote rahte
sab khwab-e-adam se chaunkne ke hain wabaal
behtar tha yahi ki wohin sote rahte
- meer-taqi-meer
ek martaba dil pe iztirabi aai
yani ki ajal meri shitabi aai
bikhra jata hai na-tawani se ji
aashiq na hue ki ek kharabi aai
yani ki ajal meri shitabi aai
bikhra jata hai na-tawani se ji
aashiq na hue ki ek kharabi aai
- meer-taqi-meer
bharta nahin pet jis qadar bharta hun
har roz husul-e-rizq mein marta hun
jab mujh se ye kaenat hai ba-mani
jine ki jo yurish hai abas karta hun
har roz husul-e-rizq mein marta hun
jab mujh se ye kaenat hai ba-mani
jine ki jo yurish hai abas karta hun
- jamal-owaisi
sufi hun na waiz hun nahin hun mulla
bulbul nahin ai gul jo kahun main gul la
wo rind hun mil mai-kada-e-dair mein main
mulla se bhi kahta hun ki mulla mul la
bulbul nahin ai gul jo kahun main gul la
wo rind hun mil mai-kada-e-dair mein main
mulla se bhi kahta hun ki mulla mul la
- abdul-rahman-ehsan-dehlvi
hain ek hakim ji ba-shakl-e-taun
hai raqs taqsim mukhil un ka qanun
padhte hain nafis aur khud hain wo kasif
nuskhe hain ajib aur turfa majun
hai raqs taqsim mukhil un ka qanun
padhte hain nafis aur khud hain wo kasif
nuskhe hain ajib aur turfa majun
- abdul-rahman-ehsan-dehlvi
ehsan jo ajal se kaam tera bigde
is waqt na ho dil mein jahan ke jhagde
yun to kalima padhe tota bhi wale
ten ten karta hai jab billi pakde
is waqt na ho dil mein jahan ke jhagde
yun to kalima padhe tota bhi wale
ten ten karta hai jab billi pakde
- abdul-rahman-ehsan-dehlvi
kya arz-o-sama mein nazar aata hai khalal
mumkin hai kahin un mein koi radd-o-badal
be-maqsad-o-mansha nahin hangama-e-kun
har chiz ka ek maqam har shai ka amal
mumkin hai kahin un mein koi radd-o-badal
be-maqsad-o-mansha nahin hangama-e-kun
har chiz ka ek maqam har shai ka amal
- abdul-aziz-khalid
kar lutf-o-mudaraat se dil-e-khalq ko ram
ban afw-o-muwasat se makhdum-e-anam
mustaghni-e-tard-o-tan kotah-nazran
rakh apne ko wabasta-e-injah-e-maram
ban afw-o-muwasat se makhdum-e-anam
mustaghni-e-tard-o-tan kotah-nazran
rakh apne ko wabasta-e-injah-e-maram
- abdul-aziz-khalid
ai ahl-e-farasat badho be-khauf-o-hiras
ham-rahi-e-tahqiq hain be-shak-o-iblas
hain pech-o-kham-e-asar-e-sawad-e-manzil
aawaz-e-jaras waswasa-ha-e-khannas
ham-rahi-e-tahqiq hain be-shak-o-iblas
hain pech-o-kham-e-asar-e-sawad-e-manzil
aawaz-e-jaras waswasa-ha-e-khannas
- abdul-aziz-khalid