SOULFUL SHER-O-SHAYARI

IMMERSE YOURSELF IN THE WORLD OF POETRY

Dive into the captivating world of sher-o-shayari and witness the seamless blend of poetic verses and heart-touching emotions. Let the melodic rhythm of words and the depth of feelings enchant your senses and evoke a myriad of emotions within you.

मीर
मोमीन
ग़ालिब
इक़बाल अब जिन्दा कहाँ... इन्हें बर्दास्त कहाँ उनपे फक्र कहाँ


आज जो हम हैं क्या ताज्युब जब हैं तो ज़माने को कद्र कहाँ!

-


Tere laut aane ka intezar karte hain dekho hum tumse kitna pyar karte hain hum banate hain kagaz per tasveer teri fir us se baatein hum hazaar karte hain?

-


A real gem : samne manzil thi
peechhe thi aawaz uski
rukte to safar chhut jata
chalte to usse bhichad jate


manzil ki bhi hasrat thi
or usse muhobbat bhi
a dil ye bata muzko
us waqt me kaha jata


muddat ka safar bhi tha
or barso ki chahat bhi thi
rukte to bikhar jate
chalte to dil toot jate


u samaj lo k....... lagi pyaas gazab ki thi
or pani me bhi zaher tha
pite to mar jate
or na pite to bhi mar jate.....

-


Milan ki rut se mohbbat ko tarashne walo
akele baith ke rona bhi pyar hota hai.. ^^

-


Woh saanso se bandhi zanjeer thi jo tod di humne
ab jaldi soya karenge mohabbat chod di humne..

-


Baat umar bhar ki thi
do pal ki nahi
baat saath ki thi
halaat ki ki nahin___ jahaan ke mele mein hath chod diya tu ne


baat zubaan ki thi
kismat ki nahin___

-


Lakh chahun k use yaad na karun ...magar...!! irade apni jagah . bebasi apni jagah...!! :')

-


Mere halat ne kar diya tha mujhe khamosh ae dost... ham zra chup kya hue tmne to yaad karna hi chod diya..

-


Wo ek pal hi sahi jis me tum mil jao mujhe ......aye do$t...... or us ek pal se zyada to zindagi ki khwahish bhi nhi mujhe....

-


Fasle aise bhi honge kabhi socha na tha.. aaj samne tha mera yaar.aur woh mera na tha..

-


Fijao mein mehakti shaam ho tum
pyaar mein chalakta jaam ho tum
tumhe dil mein chupaye rakhte hain
meri zindagi ka dusra naam ho tum?

-


Najane badalon ke darmiyan kya saazish hue
mere ghar hi mitti ka tha aur mere ghar baarish hue.

-


Teri berukhi ko bhi rutba diya humne.... pyar ka har farz ada kiya humne.... mat soch ke hum bhool gaye hain tujhe... aaj bhi khuda se pehle tujhe yaad kiya humne.... ❤

-


Kis ki majal koi tok le. kis ki majal koi rok le. bekhoof ishq ki h yeh dasta. beparvah ishq ke h yeh rasta.

-


Sara jaha hai uska jo muskurana sikh le
roshni hai uski jo shma jalana sikh le
har gali mein mandir har rah mein masjid hai
par iswar uska hai jo sar jhukana sikh le. ~


-


< best ghazal for my friends > ek roz juda ho jaon ga.. na jane kahan kho jaon ga.. tum lakh pukaro gay muj ko
par lot k main na aon ga.. jab atay jatay chehron me
tum chehra mera na pao gay.. thak har k din k kamo say
jab rat ko sony jao gay.. dekho gy jab phone ko


pegham mara na pao gy.. tab yaad tumhain main aonga
par lot k main na aonga.. ek roz ye rishta chootay ga
dil itna zayada toty ga.. phir koi na ham sy rothe ga
main na ankhein kholun ga.. tm sy kabhi na bolun ga. akhir us din tm roo do gy.. tm apna dost kho do gy.

-


Koi lamha wapis is kadar aata hai . bita huaa kal saamne nazar aata hai . yaade bach jati hai . yaad karne ke liye .. jab ki waqt sab kuch lekar guzar jata hai ..

-


Har insaan ka dil bura nahi hota har ek insaan bewafa nahi hota..
bujh jate hai diye kabhi tel ki kami se.. har bar kusoor hawa ka nahi hota..!!

-


Ek sher arz hai idhar bhi gum ho gaya hai. udher bhi gum ho gaya hai. zara bhaawnaaoo ko samajhiye... idhar bhi gum ho gaya hai. udher bhi gum ho gaya hai. . . . . . . . . msg delete kar do sher khatam ho gaya hai.

-


Jailer- suna hai tum shayar ho. kuch sunaao yaar . . . . . . qaidi- "gum-e-ulfat me jo zindgi kati hamari. jis din zamaanat hui zindgi khatam tumhari.

-


Baith kar mehbuba ki baho me aisa josh aaya... wah! wah! wah!! wah!! baith kar mehbuba ki baho me aisa josh aaya. phirrrrr...? phir kya.! biwi ne dekh liya aur icu me hosh aaya.

-


Mere mola ne mujh ko aansoo?on ki saltanat de di wasi me jab bhi hansta hun to aankhain bheeg jati hain?

-


Ab yeh aalam hai k tanhai se hum tang aa kar khud hi darwazay ki zanjeer hila detay hain?!!

-


Jab tak na lagay bewafai ki thokar dost
har kisi ko apni pasand par naaz hota hay?

-


Mohabbaton mein agar koi rasm o raah nah ho sakoon tabaah nah ho
zindagi gunaah nah ho

-