ENCHANTING SHER SHAYARI

DELVE INTO THE WORLD OF POETIC EXPRESSIONS

Immerse yourself in the world of sher shayari and discover the profound beauty of poetic verses that are filled with emotions, depth, and artistic flair. Let the timeless charm of poetic expressions captivate your soul and awaken your senses.

wasl ke baad bhi puri nahin hoti khwahish
aur kuchh hai jo ye nadida badan chahta hai

- abrar-ahmad-kashif


pareshani agar hai to pareshani ka hal bhi hai
pareshan-haal rahne se pareshani nahin jati

- abrar-ahmad-kashif


aakhiri lamhat mein kya sochne lagte ho tum
jit ke nazdik aa kar haar jaya mat karo

- abrar-ahmad-kashif


us se kahna ki dhuan dekhne laiq hoga
aag pahne hue main jaunga pani ki taraf

- abhishek-shukla


zinda logon ko niwalon sa chabane wale
meri mayyat pe bhi aaenge khuda khair kare

- aftab-shah


zat ki narmi zehni thandak shafqat sari duniya ki
us ne rakh di masjid dil mein jag ki sari maon mein

- aftab-shah


zarben de kar palat ke dekha to
manfi hasil tha par wo musbat tha

- aftab-shah


ye us ka khel hai jis khel mein har bar wo yaro
musalsal haar ke bhi mujh se aakhir jit jata hai

- aftab-shah


waqt ki kokh mein sulagta sa
meri hasti ka gham paheli hai

- aftab-shah


shayad wo ja chuka hai magar dekh lo kahin
chahat ke imtihan mein ab tak yahin na ho

- aftab-shah


sach ka nikhra libas pahne hue
jhut nikla hai war karne ko

- aftab-shah


nikal gaya jo kahani se main tumhaari kahin
kisi ko kuchh na bataoge marte jaoge

- aftab-shah


mang lete hain bharose pe ki wo de dega
hum khata-kar munajat kahan jaante hain

- aftab-shah


likhwa diye hain rab ko sabhi zalimon ke nam
aaegi sab ki bari zara dekhte raho

- aftab-shah


hum to ek til pe hi bas khud ko fana kar baithe
aur kitne hain jamalat kahan jaante hain

- aftab-shah


hath chehre pe lagate hi wo ghabra si gain
meri chikhon ke tabassum se milin jab banhen

- aftab-shah


haar ko jit ke pahlu mein bitha dete hain
aisa karte hain chalo hath mila lete hain

- aftab-shah


dar-ba-dar main hi nahin waqt bhi in rahon par
zakhmi ehsas ki sangat mein dukhi dikhta hai

- aftab-shah


dar to nahin magar kahin patton ke shor se
dil ko guman hai aaj koi hadisa na ho

- aftab-shah


aap waqif hain mere dost hasin lafzon se
badle lahjon ki karamat kahan jaante hain

- aftab-shah


wahshiyon ko ye sabaq deti hui aai bahaar
tar baqi na rahe koi garebanon mein

- abr-ahsani-ganauri


tum kyon udas ho gae maidan-e-hashr mein
kah do to dil ki dil mein meri dastan rahe

- abr-ahsani-ganauri


shayad is baat pe lab mere siye jate hain
aah ke sath nikal jae na arman koi

- abr-ahsani-ganauri


palat aata hun main mayus ho kar un maqamon se
jahan se silsila nazdik-tar hota hai manzil ka

- abr-ahsani-ganauri


kaun ab kashmakash-e-zist se de mujh ko najat
kar chuka hai mera qatil nazar-andaz mujhe

- abr-ahsani-ganauri