GRATITUDE FOR TEACHERS

CELEBRATING THE MENTORSHIP WITH SHAYARI

Let's express our heartfelt appreciation for teachers through shayari, honoring their dedication, wisdom, and the light they bring into our lives. Celebrate the bond of guidance and respect with poetic verses that echo the sentiments of admiration and gratitude.

apne shagirdon ko ye aam hidayat hai meri
ki samajh len tah-e-dil se wo baja-o-beja
sher-goi mein rahen madd-e-nazar ye baaten
ki baghair in ke fasahat nahin hoti paida


chust bandish ho na ho sust yahi khubi hai
wo fasahat se gira sher mein jo harf daba
arabi farsi alfaz jo urdu mein kahen
harf-e-illat ka bura in mein hai girna dabna


alif-e-wasl agar aae to kuchh aib nahin
lekin alfaz mein urdu ke ye girna hai rawa
jis mein gunjlak na ho thodi bhi sarahat hai wahi
wo kinaya hai jo tasrih se bhi ho aula


aib-o-khubi ka samajhna hai ek amr-e-nazuk
pahle kuchh aur tha ab rang-e-zaban aur hua
yahi urdu hai jo pahle se chali aati hai
ahl-e-dehli ne ise aur se ab aur kiya


mustanad ahl-e-zaban khas hain dilli wale
is mein ghairon ka tasarruf nahin mana jata
jauhari naqd-e-sukhan ke hain parakhne wale
hai wo tiksal se bahar jo kasauti na chadha


baz alfaz jo do aae hain ek mana mein
ek ko tark kiya ek ko qaem rakkha
tark jo lafz kiya ab wo nahin mustamal
agle logon ki zaban par wahi deta tha maza


garche taqid buri hai magar achchhi hai kahin
ho jo bandish mein munasib to nahin aib zara
sher mein hashw-o-zawaed bhi bure hote hain
aisi bharti ko samajhte nahin shair achchha


gar kisi sher mein ita-e-jali aata hai
wo bada aib hai kahte hain use be-mana
istiara jo maze ka ho maze ki tashbih
is mein ek lutf hai is kahne ka phir kya kahna


istilah achchhi masal achchhi ho bandish achchhi
roz-marra bhi rahe saf fasahat se bhara
hai izafat bhi zaruri magar aisi to na ho
ek misre mein jo ho chaar jagah balki siwa


atf ka bhi hai yahi haal yahi surat hai
wo bhi aae mutawatir to nihayat hai bura
laff-o-nashr aae murattab wo bahut achchha hai
aur ho ghair-murattab to nahin kuchh beja


sher mein aae jo iham kisi mauqe par
kaifiyat us mein bhi hai wo bhi nihayat achchha
jo na marghub-e-tabiat ho buri hai wo radif
sher be-lutf hai gar qafiya ho be-dhanga


ek misre mein ho tum dusre misre mein ho tu
ye shutur-gurba hua main ne ise tark kiya
chand bahren mutaarif hain faqat urdu mein
farsi mein arabi mein hain magar in se siwa


sher mein hoti hai shair ko zarurat is ki
gar aruz us ne padha wo hai sukhan-war dana
mukhtasar ye hai ki hoti hai tabiat ustad
den allah ki hai jis ko ye neamat ho ata


be-asar ke nahin hota kabhi maqbul kalam
aur tasir wo shai hai jise deta hai khuda
garche duniya mein hue aur hain lakhon shair
kasb-e-fan se nahin hoti hai ye khubi paida


sayyad-'ahsan' jo mere dost bhi shagird bhi hain
jin ko allah ne di fikr-e-rasa tab-e-rasa
sher ke husn-o-qabaeh jo unhon ne puchhe
un ki darkhwast se ek qita ye barjasta kaha


pand-nama jo kaha 'dagh' ne be-kar nahin
kaam ka qita hai ye waqt pe kaam aaega

- dagh-dehlvi


mere afkar badle jo wahi ustad ho mera
mahaarat ho jise fan par wahi naqqad ho mera
mere ash'ar aafaqi meri ghazlen hon paighami
ho meri fikr sanjida qalam aazad ho mera


rahe qaem nami honton ki tera nam lene se
tere hi zikr se banjar ye dil aabaad ho mera
mere par noch kar donon dar-e-zindan hi wa kar de
ki itna mehrban mujh par kabhi sayyaad ho mera


saza-e-‘ishq de mujh ko sar-e-bazar latka kar
bada be-rahm patthar-dil koi jallad ho mera
dilasa koi jhuta dun batao kya ye mumkin hai
main sab kuchh bhul jaun aur use sab yaad ho mera


'mubarak' wajd mein aae mukarrar ki sadaon se
ilahi pur-asar aisa koi irshad ho mera

- mubarak-lone