SOULFUL UNPUBLISHED SHER

EXPLORING THE ESSENCE OF UNPUBLISHED POETRY

Immerse yourself in the world of sher with an unpublished piece, where each verse encapsulates raw emotions and captures the essence of poetic beauty. Let the soul-stirring verses of shayari touch your heart and evoke a myriad of feelings through the unpublished gem of sher.

zakhm-e-dil tum ne dikhaya hai ki ji jaane hai
aise hanste ko rulaya hai ki ji jaane hai

- mirza-ghalib


yaad aaya jo wo kahna ki nahin wah ghalat
ki tasawwur ne ba-sahra-e-hawas rah ghalat

- mirza-ghalib


tarz-e-be-dil mein rekhta kahna
asad allah khan qayamat hai

- mirza-ghalib


shamshir saf yar jo zahrab dada ho
wo khat sabz hai ki ba rukhsar sada ho

- mirza-ghalib


saba laga wo tapanche taraf se bulbul ki
ki ru-e-ghuncha-e-gul su-e-ashyan phir jae

- mirza-ghalib


niyaz-e-ishq khirman-soz-e-asbab-e-hawas behtar
jo ho jawe nisar-e-barq musht-e-khar-o-khas behtar

- mirza-ghalib


mile do murshidon ko qudrat-e-haq se hain do talib
nizamuddin ko khusraw sirajuddin ko ghaalib

- mirza-ghalib


masjid ke zer-e-saya ek ghar bana liya hai
ye banda-e-kamina ham-saya-e-khuda hai

- mirza-ghalib


khushi jine ki kya marne ka gham kya
hamari zindagi kya aur hum kya

- mirza-ghalib


jis din se ki hum gham-zada zanjir bapa hain
kapdon mein jawin bakhiye ke tankon se siwa hain

- mirza-ghalib


in dil-farebiyon se na kyun us pe pyar aae
rutha jo be-gunah to be-uzr man gaya

- mirza-ghalib


hanste hain dekh dekh ke sab na-tawan mujhe
ye rang zard hai chaman zafaran mujhe

- mirza-ghalib


dekhta hun use thi jis ki tamanna mujh ko
aaj bedari mein hai khwab-e-zulekha mujh ko

- mirza-ghalib


dam-e-wapsin bar-sar-e-rah hai
azizo ab allah hi allah hai

- mirza-ghalib


buto tauba karo tum kya ho jab e'tibar aata hai
tu yusuf sa hasin bikne sar-e-bazar aata hai

- mirza-ghalib


zara kar zor sine par ki tir-e-pur-e-sitam nikle
jo wo nikle to dil nikle jo dil nikle to dam nikle

-


wo baat chahte ho ki jo baat chahiye
sahab ke ham-nashin ko karamat chahiye

-


wali-ahdi mein shahi ho mubarak
inayat-e-ilahi ho mubarak

-


tum salamat raho qayamat tak
daulat-o-izz-o-jah roz-afzun

-


timsal-e-jalwa arz kar ai husn kab talak
aaina-e-khayal ko dekha kare koi

-


thaka jab qatra-e-be-dast-o-pa baala dawidan se
za-bahr-e-yaadgari-ha girah deta hai gauhar ki

-


tha to khat par na tha jawab-talab
koi us ka jawab kya likhta

-


ta-qayamat shab-e-furqat mein guzar jaegi umr
sat din hum pe bhi bhaari hain sahar hone tak

-


tahrir hai ye 'ghaalib'-e-yazdan-parast ki
tarikh us ki aaj nauwin hai august ki

-


sinin-e-umr ke sattar hue shumar baras
bahut jiyun to jiyun aur tin chaar baras

-