NOSTALGIC YAADEIN SHAYARI

RELIVING MEMORIES THROUGH POETIC EXPRESSIONS

Indulge in the world of yaadein shayari and relive cherished memories through poetic verses that evoke nostalgia and sentiments of the past. Let the poetic expressions transport you back in time to the beautiful moments that remain etched in your heart.

Dil dhadakne ka sabab yaad aaya

wo teri yaad thi ab yaad aaya!

-


Hum use yaad bahut ayenge

jab use bhi koi thukrayega!

-


Dil ki choton ne kabhi chain se rehne na diya

jab chali sard hawa maine tujhe yaad kiya!

-


Yaad aayi jab mujhe 'farhat' se chhoti thi behan

mere dushman ki behan ne mujh ko rakhi bandh di!

-


Tere hone ka mujhe ab bhi bharam hota hai

jism se door kabhi jaise ki saaya na gaya!

-


Koi bhula hua chehra nazar aaye shayad

aaina ghaur se tune kabhi dekha hi nahi!

-


Hum use yaad bahut ayenge

jab use bhi koi thukrayega!

-


Lamha wo teri yaad ka aise guzar gaya

jaise ki phool shakh se toota bikhar gaya!

-


Yaad aayi jab mujhe 'farhat' se chhoti thi behan

mere dushman ki behan ne mujh ko rakhi bandh di!

-


Tere hone ka mujhe ab bhi bharam hota hai

jism se door kabhi jaise ki saaya na gaya!

-


Koi bhula hua chehra nazar aaye shayad

aaina ghaur se tune kabhi dekha hi nahi!

-


Kar raha tha gham-e-jahan ka hisab

aaj tum yaad be-hisab aaye!

-


Tumhari yaad ke jab zakhm bharne lagte hain

kisi bahane tumhein yaad karne lagte hain!

-


Isi khandar mein mere khwab ki gali bhi thi

gali mein ped bhi tha ped par samar bhi tha!

-


Ujli ujli khwahishon par neend ki chadar na daal

yaad ke rauzan se kuch taaza hawa bhi aayegi!

-


Us shaam wo rukhsat ka saman yaad rahega

wo shahr woh kucha wo makaan yaad rahega!

-


Milti hai mujh ko lazzat us yaad ki chubhan se

ghurbat mein aaye jaise apna koi vatan se!

-


Guzre hain tere saath jo din-raat abhi tak

aankhon mein base hain vahi lamhat abhi tak!



lamhaat - minutes
moment

-


Waqt ruk ruk ke jinhen dekhta rehta hai 'saleem'

ye kabhi waqt ki raftar hua karte the!

-


Pehle chup ki guftugu us ki samajh mein aati thi

bhool baithi hai kahi aur an-kahi donon zubaan!

-


Hum hi mein thi na koi baat yaad na tum ko aa sake

tumne humein bhula diya hum na tumhein bhula sake!

-


Aaj tak uski mohabbat ka nasha taari hai

phool baaki nahi khushboo ka safar zaari hai!

-


Kab tak dil ki khair manayein kab tak raah dikhlaoge

kab tak chain ki mohlat doge kab tak yaad naa aaoge!

-


Yaad aayi wo pahli barish

jab tujhe ek nazar dekha tha!

-


Ye ilam ka sauda ye risale ye kitabein

ek shakhs ki yaadon ko bhulane ke liye hain!

-