main jise oDhta bichhata hun

main jise odhta bichhata hun
wo ghazal aap ko sunata hun

ek jangal hai teri aankhon mein
main jahan rah bhul jata hun

tu kisi rail si guzarti hai
main kisi pul sa thartharaata hun

har taraf e'tiraaz hota hai
main agar raushni mein aata hun

ek bazu ukhad gaya jab se
aur ziyaada wazan uthata hun

main tujhe bhulne ki koshish mein
aaj kitne qarib pata hun

kaun ye fasla nibhaega
main farishta hun sach batata hun


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close