jabin-e-waqt par kaisi shikan hai hum nahin samjhe koi kyun kar harif-e-ilm-o-fan hai hum nahin samjhe kisi bhi shama se be-zar kyun ho koi parwana ye kya is daur ka diwana-pan hai hum nahin samjhe bahut samjhe the hum is daur ki firqa-parasti ko zaban bhi aaj shaikh-o-barhaman hai hum nahin samjhe agar urdu pe bhi ilzam hai bahar se aane ka to phir hindostan kis ka watan hai hum nahin samjhe chaman ka husn to har rang ke phulon se hai 'rashid' koi bhi phul kyun nang-e-chaman hai hum nahin samjhe