ye kaisa ishq hai urdu zaban ka, maza ghulta hai lafzon ka zaban par ki jaise pan mein mahnga qimam ghulta hai ye kaisa ishq hai urdu zaban ka nasha aata hai urdu bolne mein gilauri ki tarah hain munh lagi sab istelahen lutf deti hai, halaq chhuti hai urdu to, halaq se jaise mai ka ghont utarta hai badi aristocracy hai zaban mein faqiri mein nawabi ka maza deti hai urdu agarche mani kam hote hai urdu mein alfaz ki ifraat hoti hai magar phir bhi, buland aawaz padhiye to bahut hi mo'tabar lagti hain baaten kahin kuchh dur se kanon mein padti hai agar urdu to lagta hai ki din jadon ke hain khidki khuli hai, dhup andar aa rahi hai ajab hai ye zaban, urdu kabhi kahin safar karte agar koi musafir sher padh de 'mir', 'ghaalib' ka wo chahe ajnabi ho, yahi lagta hai wo mere watan ka hai badi shaista lahje mein kisi se urdu sun kar kya nahin lagta ki ek tahzib ki aawaz hai, urdu
This is a great urdu shayari in hindi. Please share if you liked this!!!