urdu zaban

By habeeb-ahmad-anjum-datiaviApril 3, 2022
urdu hamare desh ki shirin zaban hai
tahzib ki hai waza sharafat ki jaan hai
talim-o-tarbiyat mein aham is ka hai maqam
sher-o-sukhan ki ruh adab ki ye jaan hai


chhoda hai jab se is ko talaffuz bigad gaya
ye har zaban ka juzw-e-bayan aur shan hai
paida hui ye hind mein parwan bhi chadhi
phir kis liye kaho ye wideshi zaban hai


maqbul-e-am bhi hai ye har-dil-aziz bhi
sach baat to ye hai ki ye sab ki zaban hai
hum is ke zauq se hue afsos munharif
aazadi ki tahrik ki urdu hi jaan hai


aazad hind mein na mila is ko kuchh maqam
ye mader-e-watan ke shahidon ki jaan hai
haalanki rozgar ka zariya nahin rahi
urdu padho padhao ye apni zaban hai


71704 viewsnazmEnglish