urdu zaban

By javed-rasheed-amirNovember 9, 2021
wo to aabaad rakha hum ne jahan-e-urdu
warna tum kab ka mita dete nishan-e-urdu
na siyahi ka samundar na falak sa kaghaz
kaise likkhe koi tarif-e-zaban-e-urdu


hum pe tum fakhr karo hind ke rahne walo
hum se qaem hai zamane mein nishan-e-urdu
ye hai tahzib ki dewi ye adibon ki zaban
be-adab kaise bhala jaanenge shan-e-urdu


talkh baaton ko bhi narmi se nibha leti hai
kitni masum tabiat hai zaban-e-urdu
mushk-o-ambar ki mahak aati hai baam-o-dar se
aise lafzon se muzayyan hai makan-e-urdu


aise urdu ko rag-e-jaan mein samo lo 'amir'
ye zamana tumhein kahne lage jaan-e-urdu
77931 viewsnazmEnglish