हिंदी ग़ज़लों शायरी: सराहना और आभार व्यक्त करें

HINDI GHAZALS SHAYARI के आदर्श का अनुभव करें

दिव्य सीमा में डूबें और आदरणीय, सराहना और धन्यवाद से भरपूर महाकवित्व शायरी की दुनिया में डूब जाएं। ये कवितात्मक अभिव्यक्तियाँ आपके भक्ति और सम्मान को प्रकट करने का माध्यम हैं। हिंदी ग़ज़लों शायरी की सुंदरता और शक्ति को खोजने दें जब आपके दिल को कृतज्ञता और आध्यात्मिकता से भर देगे। इस कविता रूप की सार्थकता को अपनी आत्मा को उच्च स्थान पर ले जाने दें और शब्दों की शक्ति के माध्यम से दिव्य उपस्थिति से जुड़ें।

क्या तेरा क्या मेरा है दुनिया रैन बसेरा है ग़ैरों का कुछ दोष नहीं अब तो दोस्त लुटेरा है शुक्र तिरे लब पर तौबा जब जागो तो सवेरा है दुनिया की जगमग वालों क़ब्र में घोर अंधेरा है तुम होते हो साथ मिरे दिन क्या रात सवेरा है रंग बिरंगी ये दुनिया कुछ लम्हों का डेरा है ®अरशद रसूल बदायूंनी

-


kisi ke khat ka bahut intizar karte hain
hamari chhat pe kabutar nahin utarte hain
khushi ke pyar ke gul ke bahaar ke lamhe
hamein mile bhi to pal bhar nahin thaharte hain


kisi taraf se bhi aaoge hum ko paoge
hamare ghar se sabhi raste guzarte hain
ye jaanta hai samundar mein kudne wala
jo dubte hain wahi log phir ubharte hain


kahin fasad kahin hadse kahin dahshat
gharon se log nikalte hue bhi darte hain

- ansar-kambari


ho gai hai pir parwat si pighalni chahiye
is himale se koi ganga nikalni chahiye
aaj ye diwar pardon ki tarah hilne lagi
shart lekin thi ki ye buniyaad hilni chahiye


har sadak par har gali mein har nagar har ganw mein
hath lahraate hue har lash chalni chahiye
sirf hangama khada karna mera maqsad nahin
meri koshish hai ki ye surat badalni chahiye


mere sine mein nahin to tere sine mein sahi
ho kahin bhi aag lekin aag jalni chahiye

- dushyant-kumar


main jise odhta bichhata hun
wo ghazal aap ko sunata hun
ek jangal hai teri aankhon mein
main jahan rah bhul jata hun


tu kisi rail si guzarti hai
main kisi pul sa thartharaata hun
har taraf e'tiraaz hota hai
main agar raushni mein aata hun


ek bazu ukhad gaya jab se
aur ziyaada wazan uthata hun
main tujhe bhulne ki koshish mein
aaj kitne qarib pata hun


kaun ye fasla nibhaega
main farishta hun sach batata hun

- dushyant-kumar