aag jab zaKHm-e-jigar be-intiha dene lage

aag jab zakhm-e-jigar be-intiha dene lage
chaara-gar ghabra ke uf uf ki sada dene lage

ab kahan tha main jo deta is mohabbat ka jawab
jis ki turbat dekh li mujh ko sada dene lage

daman-e-sabr-o-tahammul hath se khud chhut gaya
tut kar zakhmon ke tanke jab sada dene lage

hijr ki raaton ke sannate mein uf ri be-khudi
hum dil-e-gum-gashta ko apni sada dene lage

hath bhi ghabra ke main ne qalb-e-nazuk par rakhe
jab zara si chot mein shishe sada dene lage

jaankani ka waqt bhi baqi rahe tum bhi raho
dekhne aae to kya achchhi dagha dene lage

mai-kade mein hum se maston ki khushi kya ranj kya
mil gae do-chaar saghar aur dua dene lage

munhasir marne pe ho jab surat-e-taskin-e-dil
kosna main is ko samjhun jo dua dene lage

zalim-o-mazlum ka mahfil mein kal nikla tha zikr
wo hamara aur hum un ka pata dene lage

marne wale phir na ai 'jawed' kholen apni aankh
gar qasam badhti hui un ki haya dene lage


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close