did ki tamanna mein aankh bhar ke roe the

did ki tamanna mein aankh bhar ke roe the
hum bhi ek chehre ko yaad kar ke roe the

samne to logon ke gham chhupa liye apne
aur jab hue tanha hum bikhar ke roe the

hum se in andheron ko kis liye shikayat hai
hum to khud charaghon ki lau katar ke roe the

jab talak the kashti par khud ko rok rakkha tha
sahilon pe aate hi hum utar ke roe the

aaine mein rota wo aks bhi hamara tha
jis ko dekh kar akasr hum biphar ke roe the

yaad hai abhi tak wo ek sham bachpan ki
jaane kya hua tha sab log ghar ke roe the

sahilon pe aati hai aaj bhi sada un ki
dubne se kuchh pahle jo ubhar ke roe the

har taraf thi khamoshi aur aisi khamoshi
raat apne sae se hum bhi dar ke roe the

tab pata chala hum ko zakhm kitne gahre hain
dard ke nashebon mein jab utar ke roe the

hum ne apni aankhon se hadsa wo dekha tha
pattharon ki basti mein zakhm sar ke roe the


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close