aaya kabhi KHayal to dil se lipaT gaya

aaya kabhi khayal to dil se lipat gaya
kaise sama ke phir koi jiwan se hat gaya

purwa chali thi ganth ko aanchal se bandhne
daman ghata ka hath mein aate hi phat gaya

baithe hain sham odh ke tanhaiyon mein hum
ek hans apni dar se jaise ho kat gaya

badla nagar ne badh ka munh apni samt se
nadiya mein bah ke ganw ka chhota sa tat gaya

jhonka sa tha kya chulbula pariyon ke desh ka
barson ki sadhna ka wo aasan ulat gaya

bhule se aaya megh kabhi dhup ke nagar
man-mor nachne se wo pahle hi chhat gaya

talwaren mandiron se nikal kar jhapat padin
sadiyon purana sar ka chamakta mukat gaya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close