agar chahun jhaTak kar toD dun zanjir-e-tanhai

agar chahun jhatak kar tod dun zanjir-e-tanhai
main tinka hun magar maujon se hai meri shanasai

sharik-e-rah thi jab tak hamari aabla-pai
na mathe par shikan ubhri na panw mein thakan aai

hawa se subh-e-na-asudgi achchha kiya tu ne
kitab-e-zindagi ke kuchh waraq tu bhi uda lai

hazaron marhale the fasl-e-gul se chaak-e-daman tak
khizan guzri to kab guzri bahaar aai to kab aai

'nasim' ek din wo aaega ki mazlumon ke qadmon mein
panahen dhundhti hogi sitam-ranon ki darai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close