agar sune to kisi ko yaqin nahin aae

agar sune to kisi ko yaqin nahin aae
makan bulate rahe aur makin nahin aae

wo chand lafz jo kuchh bhi nahin siwa sach ke
wo chand lafz bayan mein kahin nahin aae

to kya hua jo ye tan mil rahe hain mitti mein
abhi wo khwab to zer-e-zamin nahin aae

abhi se naz na kar itna khush-libasi par
abhi to bazm mein wo nukta-chin nahin aae

kisi ki aankh mein raushan hain jaisi tabiren
idhar to khwab bhi itne hasin nahin aae


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close