agar wo KHud hi bichhaD jaane ki dua karega

agar wo khud hi bichhad jaane ki dua karega
to us se badh ke mere sath koi kya karega

suna hai aaj wo marham pe chot rakkhega
mujhi se mujh ko bhulane ka mashwara karega

taras rahi hain ye aankhen us ek manzar ko
jahan se laut ke aane ka dukh hua karega

agar ye phul hai meri bala se murjhae
agar ye zakhm hai malik use hara karega

main jaanti hun ki jitna khafa bhi ho jae
wo mere shahr mein aaya to rabta karega

main us se aur mohabbat se pesh aaungi
jo mere haq mein koi 'aisha' bura karega


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close