ai intizar-e-subh-e-tamanna ye kya hua aata hai ab khayal bhi tera thaka hua pahchan bhi saki na meri zindagi mujhe itni rawa-rawi mein kahin samna hua chamka sake na tira-nasibon ki raat ko hamraaz hain tere mah-o-anjum to kya hua mujh se kahin mila gham-e-dauran to is tarah jaise meri tarah se hai wo bhi thaka hua 'jami' faza-e-mausam-e-gul yun udas hai jaise kahin qarib koi hadsa hua